SHAWORDS

dard-o-gham aur muflisi achchhi nahin — Dharmraj Deshraj

"dard-o-gham aur muflisi achchhi nahin vaqt ki ye dil-lagi achchhi nahin phuul ban kar vo chaman mahkaaegi shaakh se TuuTi kali achchhi nahin qimti saanson ko maqsad dijiye be-sabab si zindagi achchhi nahin aankh se aansu chhalak jaate yahaan had se zyaada bhi hansi achchhi nahin dhaDkanein baDhti hain un ko dekh kar dil se dil ki mukhbiri achchhi nahin aadmi ban kar raho do-chaar din sau baras ki zindagi achchhi nahin log kahte aadmi to Thiik hai par 'dharam' ki shaaeri achchhi nahin"
Urdu

درد و غم اور مفلسی اچھی نہیں وقت کی یہ دل لگی اچھی نہیں پھول بن کر وہ چمن مہکائے گی شاخ سے ٹوٹی کلی اچھی نہیں قیمتی سانسوں کو مقصد دیجیے بے سبب سی زندگی اچھی نہیں آنکھ سے آنسو چھلک جاتے یہاں حد سے زیادہ بھی ہنسی اچھی نہیں دھڑکنیں بڑھتی ہیں ان کو دیکھ کر دل سے دل کی مخبری اچھی نہیں آدمی بن کر رہو دو چار دن سو برس کی زندگی اچھی نہیں لوگ کہتے آدمی تو ٹھیک ہے پر دھرمؔ کی شاعری اچھی نہیں

Hindi

दर्द-ओ-ग़म और मुफ़लिसी अच्छी नहीं वक़्त की ये दिल-लगी अच्छी नहीं फूल बन कर वो चमन महकाएगी शाख़ से टूटी कली अच्छी नहीं क़ीमती साँसों को मक़्सद दीजिए बे-सबब सी ज़िंदगी अच्छी नहीं आँख से आँसू छलक जाते यहाँ हद से ज़्यादा भी हँसी अच्छी नहीं धड़कनें बढ़ती हैं उन को देख कर दिल से दिल की मुख़्बिरी अच्छी नहीं आदमी बन कर रहो दो-चार दिन सौ बरस की ज़िंदगी अच्छी नहीं लोग कहते आदमी तो ठीक है पर 'धरम' की शायरी अच्छी नहीं

dard-o-ġham aur muflisī achchhī nahīñ
D
Dharmraj Deshraj
Dharmraj Deshraj
poet17 quotes

More by Dharmraj Deshraj

View all →
Quote
"chaand ki jab se zarurat ho gai zindagi tab se musibat ho gai hichkiyaan aane kaa hai shaayad sabab un ki dil par bhi hukumat ho gai un ki aankhein nam hain mere vaaste mere zakhmon ki bhi 'izzat ho gai dard-o-gham baDhte gae kuchh is tarah dil pe un ki baadshaahat ho gai bik rahaa imaan bhi is shahr mein gum yaqinan hi sharaafat ho gai jab se rishte khuun ke bikhre mere dil ke zakhmon mein bhi barkat ho gai chaar chhe ghazlein 'dharam' ne kyaa kahin ye mire rab ki 'inaayat ho gai"
D
Dharmraj Deshraj
Quote
"hamaari bebasi dekhi nahin hai hui muddat ki ham ne pi nahin hai bhale hi aasmaan hai raahbar tu khudaa ke saamne kuchh bhi nahin hai jahaan ne chaand taare chhu liye hain paheli ziist ki samjhi nahin hai sataayaa is qadar ham ko jahaan ne kisi ki baat ab chubhti nahin hai uThaa luun sang haathon mein kahin na zabaan khaamosh hai par si nahin hai miraa ‘aib-o-hunar kuchh bhi samajh lo zaraa bhi lahje mein talkhi nahin hai vo kahte dil lagaao par 'dharam' ne abhi to zindagi dekhi nahin hai"
D
Dharmraj Deshraj

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim