"jaane kis kis ko khaa gai miTTi ziist kyaa hai bataa gai miTTi jo jahaan ko bataa chuke apnaa un ko apnaa banaa gai miTTi jin kaa duniyaa mein naam chaltaa thaa un ki hasti miTaa gai miTTi chaar kaandhe pe jab gayaa koi niind mein thaa jagaa gai miTTi paas sab kuchh thaa ab nahin kuchh bhi aaina jab dikhaa gai miTTi 'aam insaan ki kahaan ginti aasmaanon ko khaa gai miTTi dost dushman sabhi ko gham us kaa jis ko dulhaa banaa gai miTTi"
hamaari bebasi dekhi nahin hai — Dharmraj Deshraj
"hamaari bebasi dekhi nahin hai hui muddat ki ham ne pi nahin hai bhale hi aasmaan hai raahbar tu khudaa ke saamne kuchh bhi nahin hai jahaan ne chaand taare chhu liye hain paheli ziist ki samjhi nahin hai sataayaa is qadar ham ko jahaan ne kisi ki baat ab chubhti nahin hai uThaa luun sang haathon mein kahin na zabaan khaamosh hai par si nahin hai miraa ‘aib-o-hunar kuchh bhi samajh lo zaraa bhi lahje mein talkhi nahin hai vo kahte dil lagaao par 'dharam' ne abhi to zindagi dekhi nahin hai"
ہماری بے بسی دیکھی نہیں ہے ہوئی مدت کہ ہم نے پی نہیں ہے بھلے ہی آسماں ہے راہبر تو خدا کے سامنے کچھ بھی نہیں ہے جہاں نے چاند تارے چھو لیے ہیں پہیلی زیست کی سمجھی نہیں ہے ستایا اس قدر ہم کو جہاں نے کسی کی بات اب چبھتی نہیں ہے اٹھا لوں سنگ ہاتھوں میں کہیں نہ زباں خاموش ہے پر سی نہیں ہے مرا عیب و ہنر کچھ بھی سمجھ لو ذرا بھی لہجے میں تلخی نہیں ہے وہ کہتے دل لگاؤ پر دھرمؔ نے ابھی تو زندگی دیکھی نہیں ہے
हमारी बेबसी देखी नहीं है हुई मुद्दत कि हम ने पी नहीं है भले ही आसमाँ है राहबर तू ख़ुदा के सामने कुछ भी नहीं है जहाँ ने चाँद तारे छू लिए हैं पहेली ज़ीस्त की समझी नहीं है सताया इस क़दर हम को जहाँ ने किसी की बात अब चुभती नहीं है उठा लूँ संग हाथों में कहीं न ज़बाँ ख़ामोश है पर सी नहीं है मिरा ‘ऐब-ओ-हुनर कुछ भी समझ लो ज़रा भी लहजे में तल्ख़ी नहीं है वो कहते दिल लगाओ पर 'धरम' ने अभी तो ज़िंदगी देखी नहीं है
More by Dharmraj Deshraj
View all →"dard-o-gham aur muflisi achchhi nahin vaqt ki ye dil-lagi achchhi nahin phuul ban kar vo chaman mahkaaegi shaakh se TuuTi kali achchhi nahin qimti saanson ko maqsad dijiye be-sabab si zindagi achchhi nahin aankh se aansu chhalak jaate yahaan had se zyaada bhi hansi achchhi nahin dhaDkanein baDhti hain un ko dekh kar dil se dil ki mukhbiri achchhi nahin aadmi ban kar raho do-chaar din sau baras ki zindagi achchhi nahin log kahte aadmi to Thiik hai par 'dharam' ki shaaeri achchhi nahin"
"dil mein un ki aarzu hone lagi aaine se guftugu hone lagi ham ne keval phuul kaa bosa liyaa jaane kyon vo surkh-ru hone lagi zakhm kuchh kuchh bhar chale yaa yuun kahein zindagi phir se shuru' hone lagi ab to ham ko ashk piinaa aa gayaa baat ye sab ku-ba-ku hone lagi sirf apne aap mein hi gum huaa aur meri justuju hone lagi chaahtaa huun main use aur vo mujhe ab ye charchaa ru-ba-ru hone lagi sirf un ki baat mahfil mein chali un ki khushbu chaar-su hone lagi"
"chaand ki jab se zarurat ho gai zindagi tab se musibat ho gai hichkiyaan aane kaa hai shaayad sabab un ki dil par bhi hukumat ho gai un ki aankhein nam hain mere vaaste mere zakhmon ki bhi 'izzat ho gai dard-o-gham baDhte gae kuchh is tarah dil pe un ki baadshaahat ho gai bik rahaa imaan bhi is shahr mein gum yaqinan hi sharaafat ho gai jab se rishte khuun ke bikhre mere dil ke zakhmon mein bhi barkat ho gai chaar chhe ghazlein 'dharam' ne kyaa kahin ye mire rab ki 'inaayat ho gai"
"sochtaa huun ki bhulaa duun us ko bebasi apni bataa duun us ko yaar ke lab pe tabassum rakh ke ashk piine ki sazaa duun us ko apni hasrat kaa janaaza le kar jaa rahaa huun ye bataa duun us ko apne hisse ki khushi bhi de kar gham uThaane ki sazaa duun us ko din-o-imaan ke luTere hain bahut sochtaa huun ki jagaa duun us ko mere rone pe khushi milti hai kyon na phir aaj hansaa duun us ko vo 'dharam' mujh ko buraa kahtaa hai aaina kyon na dikhaa duun us ko"
"dard tum ne diyaa vo thoDaa thaa raat ham ne hisaab joDaa thaa aaj bhi us jagah khaDaa huun main tum ne jaisaa jahaan pe chhoDaa thaa chaand baadal mein chhup gayaa meraa hasratein saath le ke dauDaa thaa aasmaan khaak mein milaa dekhaa maut ne har ghurur toDaa thaa naqsh-e-paa kah rahe kahaan manzil kaun hai ret par jo dauDaa thaa aansuon se vo tar-ba-tar niklaa maan kaa aanchal zaraa nichoDaa thaa raah roke khaDaa rahaa imaan meri manzil mein ye hi roDaa thaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"