SHAWORDS

dard se dil ko nisbat hai — Mahender Kumar Sani

"dard se dil ko nisbat hai ye bhi us ki rahmat hai tanhaai hai fursat hai jiine mein kyaa lazzat hai paiham khvaab-e-safar mein huun mujh ko ghar mein hijrat hai baahar rah kar ye jaanaa apne andar jannat hai biich safar se lauT aayaa mujh mein kitni himmat hai dard kahaan koi baanT sakaa tum ho saath 'inaayat hai 'saani' us ki chintaa chhoD dekh tiri kyaa haalat hai"
Urdu

درد سے دل کو نسبت ہے یہ بھی اس کی رحمت ہے تنہائی ہے فرصت ہے جینے میں کیا لذت ہے پیہم خواب سفر میں ہوں مجھ کو گھر میں ہجرت ہے باہر رہ کر یہ جانا اپنے اندر جنت ہے بیچ سفر سے لوٹ آیا مجھ میں کتنی ہمت ہے درد کہاں کوئی بانٹ سکا تم ہو ساتھ عنایت ہے ثانیؔ اس کی چنتا چھوڑ دیکھ تری کیا حالت ہے

Hindi

दर्द से दिल को निस्बत है ये भी उस की रहमत है तन्हाई है फ़ुर्सत है जीने में क्या लज़्ज़त है पैहम ख़्वाब-ए-सफ़र में हूँ मुझ को घर में हिजरत है बाहर रह कर ये जाना अपने अन्दर जन्नत है बीच सफ़र से लौट आया मुझ में कितनी हिम्मत है दर्द कहाँ कोई बाँट सका तुम हो साथ 'इनायत है 'सानी' उस की चिंता छोड़ देख तिरी क्या हालत है

dard se dil ko nisbat hai
Mahender Kumar Sani
Mahender Kumar Sani
Mahender Kumar Sani
poet101 quotes

More by Mahender Kumar Sani

View all →
Quote
"raat din gardish mein hain lekin paDaa rahtaa huun main kaam kyaa meraa yahaan hai sochtaa rahtaa huun main baahar andar ke jahaanon se milaa mujh ko faraagh tisri duniyaa ke chakkar kaaTtaa rahtaa huun main ek be-khaufi mujhe le aai saahil ke qarib aa ke ab nazdik saahil ke Daraa rahtaa huun main jaane kaisi raushni thi kar gai andhaa mujhe is bhayaanak tirgi mein bhi bujhaa rahtaa huun main kar diyaa kis ne miraa aaina-e-dil gard gard aks huun kis kaa havaa se puchhtaa rahtaa huun main ek jangal saa ugaa hai mere tan ke chaaron or aur apne man ke andar zard saa rahtaa huun main ek nuqte se ubharti hai ye saari kaaenaat ek nuqte par simaTtaa phailtaa rahtaa huun main raushni mein lafz ke tahlil ho jaane se qabl ik khalaa paDtaa hai jis mein ghumtaa rahtaa huun main saans ki lai par thirakti hai koi azli tarang rang-e-'saani' dekh kar hairat-zada rahtaa huun main"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"raasta jangal shajar darvesh hai yaa'ni mujh mein jalva-gar darvesh hai jism ik sahraa hai sahraa ke darun ek dariyaa chashm-e-tar darvesh hai khalq khaali sipiyaan hain dahr mein dahr mein koi guhar darvesh hai maavaraa maujud se dekhegaa kaun vo koi saahab-nazar darvesh hai jaane kis fursat mein phirtaa hai vo shakhs is tarah to dar-ba-dar darvesh hai us ko kis manzil ki baabat sochiye khaali-khaali ik safar darvesh hai ek sapnaa saare 'aalam par muhit ik haqiqat lamha-bhar darvesh hai"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"ye teraa khvaab mujhe ek khvaab kar ke rahegaa magar ye 'ishq mujhe kaamyaab kar ke rahegaa main khud ko kitnaa chhupaaun bachaaun us se bahar-haal vo meraa 'ishq miraa intikhaab kar ke rahegaa bikhar gayaa hai miri ruuh mein vo khaar ke maanind vo gul-badan mujhe shaayad gulaab kar ke rahegaa main laakh rok lagaaun hazaar baandh banaaun vo sail-e-hijr mujhe zer-e-aab kar ke rahegaa main apnaa bakht agar sone ke qalam se bhi likhvaaun vo meri zindagi phir bhi kharaab kar ke rahegaa"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani
Quote
"mile hue hain ik muddat se khud ko kho kar dekhein bhi apne hi dil mein dubaara apni khvaahish bo kar dekhein bhi apne pairaahan ki saj-dhaj mein ham bhule gard ki maar andar andar utar gai hai mail use dho kar dekhein bhi apni sadaaqat ko manvaanaa bhi to jabr pe hai israar dusre ki sachchaai ke saamne jhuTaa ho kar dekhein bhi ye vahdat kis kaam ki jis mein donon ke naam-o-nishaan na rahein aao ham ik-dusre ko ab ek se do kar dekhein bhi rone vaalaa jaantaa hai kyaa hansnaa hai kyaa ronaa hai phir bhi kisi ke dukh mein 'saani' aankh bhigo kar dekhein bhi"
Mahender Kumar SaniMahender Kumar Sani

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud