SHAWORDS

dasht mein ghar banaati rahti hai — Mohammad Ali Ayaz

"dasht mein ghar banaati rahti hai aankh manzar banaati rahti hai zindagi kuchh hasin pal de kar apne number banaati rahti hai band kamre mein saans lene ko soch bhi dar banaati rahti hai ashk hote hain motiyon jaise aankh zevar banaati rahti hai apni vusat se zyaada uDne ko zindagi par banaati rahti hai jaltaa rahtaa hai bulb kamre mein raushni Dar banaati rahti hai bhaap uD-uD ke meri chaae se us kaa paikar banaati rahti hai"
Urdu

دشت میں گھر بناتی رہتی ہے آنکھ منظر بناتی رہتی ہے زندگی کچھ حسین پل دے کر اپنے نمبر بناتی رہتی ہے بند کمرے میں سانس لینے کو سوچ بھی در بناتی رہتی ہے اشک ہوتے ہیں موتیوں جیسے آنکھ زیور بناتی رہتی ہے اپنی وسعت سے زیادہ اڑنے کو زندگی پر بناتی رہتی ہے جلتا رہتا ہے بلب کمرے میں روشنی ڈر بناتی رہتی ہے بھاپ اڑاڑ کے میری چائے سے اس کا پیکر بناتی رہتی ہے

Hindi

दश्त में घर बनाती रहती है आँख मंज़र बनाती रहती है ज़िंदगी कुछ हसीन पल दे कर अपने नंबर बनाती रहती है बंद कमरे में साँस लेने को सोच भी दर बनाती रहती है अश्क होते हैं मोतियों जैसे आँख ज़ेवर बनाती रहती है अपनी वुसअ'त से ज़्यादा उड़ने को ज़िंदगी पर बनाती रहती है जलता रहता है बल्ब कमरे में रौशनी डर बनाती रहती है भाप उड़-उड़ के मेरी चाय से उस का पैकर बनाती रहती है

dasht meñ ghar banātī rahtī hai
Mohammad Ali Ayaz
Mohammad Ali Ayaz
Mohammad Ali Ayaz
poet9 quotes

More by Mohammad Ali Ayaz

View all →
Quote
"khvaahish-e-vasl ke zindaan mein rakkhaa huaa hai khud ko ik shakhs ke imkaan mein rakkhaa huaa hai hausla paDtaa nahin kaise uThaaun us ko hijr kaa dukh bhi to saamaan mein rakkhaa huaa hai dekhne vaale bhi hairaan hue jaate hain dil ne har zakhm namakdaan mein rakkhaa huaa hai titliyaan phuul samajhte hue aa jaati hain us ki tasvir ko gul-daan mein rakkhaa huaa hai ik paristaan mein Thahraayaa hai us ishq ne aur dusre shakhs ko multaan mein rakkhaa huaa hai aate-jaate hue dil us ke tasavvur mein rahe hijr is vaaste daalaan mein rakkhaa huaa hai aur to kuchh bhi nahin is mein fazilat aisi ik tajassus hai jo insaan mein rakkhaa huaa hai dil ki taskin ko ye baat bhi kyaa kam hai 'ayaaz' us ne kuchh roz tujhe dhyaan mein rakkhaa huaa hai"
Mohammad Ali AyazMohammad Ali Ayaz
Quote
"zamin kaa baasi na vo aasmaan se aaya hai jo shakhs mere yaqin mein gumaan se aaya hai main ehtiraam ke qaabil samajhtaa huun us ko har ek shakhs jo ku-e-butaan se aaya hai ki shaam hone se pahle charaagh raushan hon ye silsila to mire raftagaan se aaya hai har ek saans aqidat se jheltaa huun use ki jaise hijr tiraa aasmaan se aaya hai judaa saa lagtaa hai bilkul zamin vaalon se tumhaare haath ye chehra kahaan se aaya hai mohabbaton ke asiir aise hi nahin hain log mujhe hunar ye kisi mehrbaan se aaya hai"
Mohammad Ali AyazMohammad Ali Ayaz
Quote
"suraj agarche tujh ko bataataa nahin huun main din mein bhi ab charaagh bujhaataa nahin huun main aavaargaan-e-dasht kaa kartaa huun ehtiraam naqsh-e-qadam kisi ke miTaataa nahin huun main lab par machalte rahte hain mere kai savaal lekin koi savaal uThaataa nahin huun main aataa hai rashk us ko miri zindagi pe bas jis ko bhi apne dard sunaataa nahin huun main main be-takallufi kaa bhi qaail to huun magar divaar-e-ehtiraam giraataa nahin huun main rakkhaa huaa hai dil mein tire gham ko is tarah is mein kisi kaa gham bhi milaataa nahin huun main"
Mohammad Ali AyazMohammad Ali Ayaz

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar