SHAWORDS

dasht-o-sahraa mein aab aanaa hai — Jaani Lakhnavi

HomeJaani LakhnaviGhazal
"dasht-o-sahraa mein aab aanaa hai yaa'ni koi saraab aanaa hai roz ye soch kar main sotaa huun aaj to us kaa khvaab aanaa hai mujh ko maa'lum hai miri qismat mere hisse 'azaab aanaa hai ab main jo chaahe puchh luun us se qabr se kyaa javaab aanaa hai"
Urdu

دشت و صحرا میں آب آنا ہے یعنی کوئی سراب آنا ہے روز یہ سوچ کر میں سوتا ہوں آج تو اس کا خواب آنا ہے مجھ کو معلوم ہے مری قسمت میرے حصے عذاب آنا ہے اب میں جو چاہے پوچھ لوں اس سے قبر سے کیا جواب آنا ہے

Hindi

दश्त-ओ-सहरा में आब आना है या'नी कोई सराब आना है रोज़ ये सोच कर मैं सोता हूँ आज तो उस का ख़्वाब आना है मुझ को मा'लूम है मिरी क़िस्मत मेरे हिस्से 'अज़ाब आना है अब मैं जो चाहे पूछ लूँ उस से क़ब्र से क्या जवाब आना है

dasht-o-sahrā meñ aab aanā hai
Jaani Lakhnavi
Jaani Lakhnavi
Jaani Lakhnavi
poet17 quotes

More by Jaani Lakhnavi

View all →
Quote
"khalvat mein jo dil-daar ki vahshat nahin karte vo raah-e-tasavvuf mein karaamat nahin karte Thokar mein paDaa rahtaa hai ye 'aalam-e-rangin divaane to mar jaate hain bai'at nahin karte maqbul-e-khudaa hone ki chaahat mein ham aise dil khol ke dushman se bhi nafrat nahin karte ham ghar hi faqat jaaein nahin aisaa nahin hai sahraa bhi chale jaate hain bid'at nahin karte kyaa dekh rahaa hai tu is andaaz-e-hunar ko ham she'r-o-sukhan baa’is-e-shohrat nahin karte nazraane mein jo sar nahin de sakte hain 'jaani' vo saltanat-e-‘ishq ki hasrat nahin karte"
Jaani LakhnaviJaani Lakhnavi
Quote
"bachpan ke zakhm ko kahin marham nahin milaa us par miri javaani ko gham kam nahin milaa sahraa mein har kisi se nahin hote mo'jize vo vaadiyaan bhi hain jinhein zamzam nahin milaa nusrat kaa shauq thaa ki ye baazu kaTaa diye lekin hamaare haath ko parcham nahin milaa mahrumiyon kaa meri bhalaa kyaa hisaab ho mujh ko to marne vaale kaa maatam nahin milaa tanhaaiyon ki maari hui main idhar udhar tasvir huun jise koi album nahin milaa har baar saf se aage nikal aae ham magar ham ko kisi bhi jang mein parcham nahin milaa duniyaa ki bhiiD mein hue rusvaa jahaan gae 'jaani' nahin milaa koi hamdam nahin milaa"
Jaani LakhnaviJaani Lakhnavi
Quote
"teri rahmat ke sahaare tire paale hue log shahr-e-be-mehr mein saazish ke havaale hue log tujh ko is baat kaa andaaza nahin ho saktaa kaise jiite hain tire dil se nikaale hue log sab ne maangaa thaa jise us ko nahin maangaa thaa aur maangaa thaa jise us ke izaale hue log isi dariyaa pe udaasi kaa badan chumte hain aakhir-e-shab tire darvaaze se Taale hue log aasmaanon mein uDaa karte the itraate the ek ik karke zaminon ke nivaale hue log dukh banaate hain banaa kar mire paas aate hain apne purkhon ki rivaayaat sanbhaale hue log raat-din dard ki dahliz pe aate-jaate jiite ji maut ki chaukhaT ke havaale hue log"
Jaani LakhnaviJaani Lakhnavi
Quote
"qaafile luT gae sar nok-e-sinaan tak pahunche jab bahaaron ke talabgaar khizaan tak pahunche aap kaa ishq masaafat hai to bas itnaa ki ham dasht-e-imkaan se chale dasht-e-ziyaan tak pahunche ham se puchho ki simaT aataa hai kaise girya lamhe lamhe kaa safar baar-e-garaan tak pahunche mere hisse mein dilaase pe dilaase aae khush-nasibaan-e-safar teri amaan tak pahunche muddaton khaak uDaai gai sahraa sahraa tab kahin jaa ke tire naam-o-nishaan tak pahunche baarhaa zabt-e-musalsal ko bikharte dekhaa lafz-dar-lafz vo jab meri zabaan tak pahunche phir nai raah nazar aane lagi hai mujh ko jab mire saare yaqin husn-e-gumaan tak pahunche"
Jaani LakhnaviJaani Lakhnavi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb