SHAWORDS

dhundle dhundle peD ugti shaam ki sargoshiyaan — Marghoob Ali

HomeMarghoob AliGhazal
"dhundle dhundle peD ugti shaam ki sargoshiyaan jo hai shah-e-rag ke qarin us naam ki sargoshiyaan jab bhi sochaa sar uThaa kar ab jiyeinge kuchh dinon gher leti hain hamein anjaam ki sargoshiyaan phir gali kuchon mein sannaaTon kaa shaayad raqs ho baanTte hain log ik paighaam ki sargoshiyaan kyuun qabile mein bahut se log bad-zan ho gae chaand ne sun li thiin kal kyaa baam ki sargoshiyaan raat qatra qatra Tapkein aankh se majburiyaan shaam lamha lamha ubhrin jaam ki sargoshiyaan aane vaali rut mein bhi shaayad na banne dein hamein aaj tak guzre hue ayyaam ki sargoshiyaan"
Urdu

دھندلے دھندلے پیڑ اگتی شام کی سرگوشیاں جو ہے شہ رگ کے قریں اس نام کی سرگوشیاں جب بھی سوچا سر اٹھا کر اب جئیں گے کچھ دنوں گھیر لیتی ہیں ہمیں انجام کی سرگوشیاں پھر گلی کوچوں میں سناٹوں کا شاید رقص ہو بانٹتے ہیں لوگ اک پیغام کی سرگوشیاں کیوں قبیلے میں بہت سے لوگ بد ظن ہو گئے چاند نے سن لی تھیں کل کیا بام کی سرگوشیاں رات قطرہ قطرہ ٹپکیں آنکھ سے مجبوریاں شام لمحہ لمحہ ابھریں جام کی سرگوشیاں آنے والی رت میں بھی شاید نہ بننے دیں ہمیں آج تک گزرے ہوئے ایام کی سرگوشیاں

Hindi

धुँदले धुँदले पेड़ उगती शाम की सरगोशियाँ जो है शह-ए-रग के क़रीं उस नाम की सरगोशियाँ जब भी सोचा सर उठा कर अब जिएँगे कुछ दिनों घेर लेती हैं हमें अंजाम की सरगोशियाँ फिर गली कूचों में सन्नाटों का शायद रक़्स हो बाँटते हैं लोग इक पैग़ाम की सरगोशियाँ क्यूँ क़बीले में बहुत से लोग बद-ज़न हो गए चाँद ने सुन ली थीं कल क्या बाम की सरगोशियाँ रात क़तरा क़तरा टपकें आँख से मजबूरियाँ शाम लम्हा लम्हा उभरीं जाम की सरगोशियाँ आने वाली रुत में भी शायद न बनने दें हमें आज तक गुज़रे हुए अय्याम की सरगोशियाँ

dhuñdle dhuñdle peḌ ugtī shaam kī sargoshiyāñ
Marghoob Ali
Marghoob Ali
Marghoob Ali
poet25 quotes

More by Marghoob Ali

View all →
Quote
"kachche rang utar jaaein to sab kuchh yunhi lagtaa hai saare khvaab bikhar jaaein to sab kuchh yuun hi lagtaa hai ret kaa Dher nazar aate hain shahr ke saare pukhta ghar chikhon se dil Dar jaaein to sab kuchh yunhi lagtaa hai talvon mein siine ki dhaDkan honTon par muddat ki pyaas jab ham ''jaan-nagar'' jaaein to sab kuchh yunhi lagtaa hai bhige bhige chaand sitaare shabnam rut niilaa aakaash us ke baal sanvar jaaein to sab kuchh yunhi lagtaa hai kursi mez kitaabein? bistar anjaane se takte hain der se apne ghar jaaein to sab kuchh yunhi lagtaa hai TuuTi kashti duur kinaaraa zehn mein kuchh guzre qisse ham jab biich bhanvar jaaein to sab kuchh yunhi lagtaa hai"
Marghoob AliMarghoob Ali
Quote
"yaqin gum ho chukaa ham se gumaan mahfuz rakkhaa hai khayaal-o-khvaab saa rangin jahaan mahfuz rakkhaa hai huaa mismaar sab lekin jahaan tum ghar banaate the vo dil kaa ek TukDaa jaan-e-jaan mahfuz rakkhaa hai shikasta ho chuke jal bujh chuke taarikh shaahid hai fazaaon mein magar ab tak dhuaan mahfuz rakkhaa hai zamin par jo bhi mumkin thaa vo sab kuchh kar liyaa yaarab hai ham se duur teraa aasmaan mahfuz rakkhaa hai nahin mumkin magar yuun bhi huaa dil ke samundar mein hui gharqaab kashti baadbaan mahfuz rakkhaa hai"
Marghoob AliMarghoob Ali

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud