"yuun un ke hasin rukh par zulfon ki har ik laT hai jaise gul-e-naazuk par patton kaa ye ghunghaT hai taazim karo yaaro taazim karo yaaro ye baar ki chaukhaT hai sarkaar ki chaukhaT hai har haal mein rakhnaa hai saaqi kaa bharam tum ko mai-kash ho to pi jaao gar jaam mein talchhaT hai ye jaan aur imaan ki dushman hi sahi lekin angur ki ye beTi zaalim baDi naTkhaT hai chehra ho mohabbat ho khushbu ho tabassum ho ji chaahe jise dekho har shai mein milaavaT hai ab us ki mohabbat par kaise ho yaqin jis ke chehre pe hai naqqaali baaton mein banaavaT hai ai 'nur' samajhnaa hai bhukamp ke maqsad ko ye qahr-e-ilaahi hai yaa vaqt ki karvaT hai"
dil akelaa hai be-qaraari hai — Noor Indori
"dil akelaa hai be-qaraari hai aur udhar kaaenaat saari hai laala-o-gul ye chaand ye taare ek ek shai yahaan tumhaari hai tum ne kaisi nazar se dekh liyaa aaj tak dil pe kaif taari hai jo kabhi subh tak pahunch na saki ham ne aisi bhi shab guzaari hai phuul bhi hain chaman mein kaanTe bhi apni har chiiz ham ko pyaari hai ye to gul ki hansi bataaegi kis ne ro ro ke shab guzaari hai haae majburi-e-mohabbat 'nur' ziist kyaa ek shab guzaari hai"
دل اکیلا ہے بے قراری ہے اور ادھر کائنات ساری ہے لالہ و گل یہ چاند یہ تارے ایک ایک شے یہاں تمہاری ہے تم نے کیسی نظر سے دیکھ لیا آج تک دل پہ کیف طاری ہے جو کبھی صبح تک پہنچ نہ سکی ہم نے ایسی بھی شب گزاری ہے پھول بھی ہیں چمن میں کانٹے بھی اپنی ہر چیز ہم کو پیاری ہے یہ تو گل کی ہنسی بتائے گی کس نے رو رو کے شب گزاری ہے ہائے مجبوریٔ محبت نورؔ زیست کیا ایک شب گزاری ہے
दिल अकेला है बे-क़रारी है और उधर काएनात सारी है लाला-ओ-गुल ये चाँद ये तारे एक एक शय यहाँ तुम्हारी है तुम ने कैसी नज़र से देख लिया आज तक दिल पे कैफ़ तारी है जो कभी सुब्ह तक पहुँच न सकी हम ने ऐसी भी शब गुज़ारी है फूल भी हैं चमन में काँटे भी अपनी हर चीज़ हम को प्यारी है ये तो गुल की हँसी बताएगी किस ने रो रो के शब गुज़ारी है हाए मजबूरी-ए-मोहब्बत 'नूर' ज़ीस्त क्या एक शब गुज़ारी है
More by Noor Indori
View all →"jabr aur sabr baar hotaa hai dil pe kab ikhtiyaar hotaa hai vo zamaane ki khaar tak mahkein yaadgaar-e-bahaar hotaa hai raat aur din ki koi qaid nahin aap kaa intizaar hotaa hai band kartaa huun jab bhi main aankhein saamne ru-e-yaar hotaa hai ahl-e-gulshan ko kyaa khizaan ko bhi intizaar-e-bahaar hotaa hai ji rahaa huun bas is nazariye par haasil-e-zist pyaar hotaa hai apne akhlaaq hi se duniyaa mein aadmi baa-vaqaar hotaa hai naakhudaa ko ye kyaa gharaz koi Dubtaa hai ki paar hotaa hai 'nur' vo gul jo ho khizaan-dida haasil-e-sad-bahaar hotaa hai"
"aaDi-tirchhi baat na kar hissa de khairaat na kar pyaar jo hai to saamne aa tauhin-e-jazbaat na kar dil ki lagi ashkon se bujhaa izhaar-e-haalaat na kar chehre par zulfein na giraa nikhre din ko raat na kar rok le aansu aankhon mein bin mausam barsaat na kar mujh ko de de ik saaghar pesh koi saughaat na kar nichaa jis se arsh lage aisi maalumaat na kar main ne kiyaa tujh par vishvaas ghair se mil kar ghaat na kar qaadir hai qudrat kaa nizaam 'nur' gham-e-haalaat na kar"
"dil hi nahin to dil ke sahaaron ko kyaa karun jab paas tum nahin to bahaaron ko kyaa karun jalvon se jis ke chaand sitaaron mein thi ziyaa ab vo hasin nahin to sitaaron ko kyaa karun tasvir aur tasavvur-e-jaanaan ye sab fareb main un se duur un ke nazaaron ko kyaa karun go jannat-e-nigaah hon firdaus-e-rang hon guzri hui hasin bahaaron ko kyaa karun khvaabon se 'nur' chhin liyaa hai khayaal-e-yaar tere baghair tere ishaaron ko kyaa karun"
"muskuraate the jo meraa chaak-daamaan dekh kar aaj sharminda hain vo apnaa garebaan dekh kar aarzu-e-did dil ki dil mein aakhir rah gai mahv-e-hairat ho gayaa tasvir-e-jaanaan dekh kar kis qadar badli hai duniyaa ne mohabbat ki ravish pher letaa hai nazar insaan ko insaan dekh kar aae the taskin dene vo dil-e-betaab ko khud pareshaan ho gae mujh ko pareshaan dekh kar chumti hain manzilein khud ahl-e-himmat ke qadam hausla mat haar jaanaa zor-e-tufaan dekh kar vaa-e-qismat vo to meraa hi jalaa thaa aashiyaan khush huaa thaa main gulistaan mein charaaghaan dekh kar 'nur' andaaza bahaaron kaa lagaa lete hain sab meraa daamaan dekh kar meraa girebaan dekh kar"
"jo lab par tiri daastaan rakh rahe hain charaaghon ki lau par zabaan rakh rahe hain hamein log kahte hain ghaddaar yaaro kahaan ki khabar hai kahaan rakh rahe hain vo kyaa khaak pahuncheinge unchaaiyon par zaminon pe jo aasmaan rakh rahe hain hamein vaapsi kaa yaqin hai tabhi to kinaare pe ham kashtiyaan rakh rahe hain diyaa ban ke jaltaa huun main jin ki khaatir vahi raah mein aandhiyaan rakh rahe hain vo ai 'nur' talvaar kaise uThaaein kitaabon mein jo titliyaan rakh rahe hain"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"