SHAWORDS

dil-e-dard-aashnaa kaa muddaaa kyaa — Gulzar Dehlvi

HomeGulzar DehlviGhazal
"dil-e-dard-aashnaa kaa muddaaa kyaa kisi bedaad ki kiije davaa kyaa huaa insaan hi jab insaan kaa dushman shikaayat phir kisi ki kyaa gila kyaa bahaar-e-taaza aai gulsitaan mein khilaae jaane gul baad-e-sabaa kyaa vo kahte hain nasheman tark kiije chali gulshan mein ye taaza havaa kyaa uThi insaaniyat yaksar yahaan se yakaayak khu-e-insaan ko huaa kyaa nahin maalum mustaqbil kisi ko maraahil pesh aaein jaane kyaa kyaa ujaD kar rah gayaa do din mein he he mire 'gulzaar'-e-hindi ko huaa kyaa"
Urdu

دل درد آشنا کا مدعا کیا کسی بیداد کی کیجے دوا کیا ہوا انساں ہی جب انساں کا دشمن شکایت پھر کسی کی کیا گلہ کیا بہار تازہ آئی گلستاں میں کھلائے جانے گل باد صبا کیا وہ کہتے ہیں نشیمن ترک کیجے چلی گلشن میں یہ تازہ ہوا کیا اٹھی انسانیت یکسر یہاں سے یکایک خوئے انساں کو ہوا کیا نہیں معلوم مستقبل کسی کو مراحل پیش آئیں جانے کیا کیا اجڑ کر رہ گیا دو دن میں ہے ہے مرے گلزارؔ ہندی کو ہوا کیا

Hindi

दिल-ए-दर्द-आश्ना का मुद्दआ' क्या किसी बेदाद की कीजे दवा क्या हुआ इंसाँ ही जब इंसाँ का दुश्मन शिकायत फिर किसी की क्या गिला क्या बहार-ए-ताज़ा आई गुल्सिताँ में खिलाए जाने गुल बाद-ए-सबा क्या वो कहते हैं नशेमन तर्क कीजे चली गुलशन में ये ताज़ा हवा क्या उठी इंसानियत यकसर यहाँ से यकायक ख़ू-ए-इंसाँ को हुआ क्या नहीं मा'लूम मुस्तक़बिल किसी को मराहिल पेश आएँ जाने क्या क्या उजड़ कर रह गया दो दिन में हे हे मिरे 'गुलज़ार'-ए-हिन्दी को हुआ क्या

dil-e-dard-āshnā kā mudda.ā kyā
Gulzar Dehlvi
Gulzar Dehlvi
Gulzar Dehlvi
poet22 quotes

More by Gulzar Dehlvi

View all →
Quote
"tahzib-e-husn-o-rang-e-bahaaraan liye hue kaanTe bhi hain ghurur-e-gulistaan liye hue jaise koi nashe mein sune 'mir' ki ghazal aankhein hain vo surur-e-ghazaalaan liye hue gul-gasht ko chaman mein vo aayaa hai rashk-e-gul chehre pe 'aks-e-laa'l-e-badakhshaan liye hue main kab se muntazir huun tumhaare varud kaa palkon pe apni jashn-e-charaaghaan liye hue zulf-e-siyaah rukh pe hai kaakul bhi khaal par daaman mein kitne hindu hain quraan liye hue kyaa vaqt qaafile pe paDaa hai ki bahr-e-qatl khanjar hain aastin mein hudi-khvaan liye hue 'gulzaar' dehlavi ki ghazal ki zabaan ko phirte hain shahr-shahr zabaan-daan liye hue"
Gulzar DehlviGulzar Dehlvi
Quote
"yaa milaa qaum ko khud apnaa nigahbaan ho kar sau tarah dekh liyaa ham ne pareshaan ho kar kaafir-e-'ishq hi achchhe the sanam-khaanon mein shaan-e-imaan na mili saahab-e-imaan ho kar naqs-e-tanzim se ho tark-e-chaman kyaa maa'ni ham ko rahnaa hai yahin taar-e-rag-e-jaan ho kar kyaa huaa gar koi hindu ki musalmaan Thahraa aadmiyyat kaa nahin paas jo insaan ho kar ham bujhein bhi to bujhein misl-e-charaagh-e-sahari aur jo raushan hon to hon sham-e-shabistaan ho kar dil mein ahbaab ke ham ban ke asar baiTheinge aur uTheinge isi gulshan se bahaaraan ho kar kyaa gulistaan mein nayaa hukm-e-zabaan-bandi hai baaghbaan bhi huaa sayyaad-e-nigahbaan ho kar sidq niyyat se agar us ki chaman-bandi ho phir rahe kyuun na vatan mulk-e-sulemaan ho kar ab ham apne liye khud sud-o-ziyaan socheinge ham ko jiinaa hi nahin banda-e-ehsaan ho kar rashk-e-gulzaar-e-iram arz-e-vatan jab hogi apne begaane basein sumbul-o-raihaan ho kar"
Gulzar DehlviGulzar Dehlvi
Quote
"pahle to daam-e-zulf mein uljhaa liyaa mujhe bhule se phir kabhi na dilaasaa diyaa mujhe kyaa dardnaak manzar-e-kashti thaa ruud mein main naa-khudaa ko dekh rahaa thaa khudaa mujhe baiThaa huaa hai rashk-e-masihaa mire qarib kas bebasi se dekh rahi hai qazaa mujhe un kaa bayaan meri zabaan par jo aa gayaa lahje ne un ke kar diyaa kyaa khush-navaa mujhe jin ko rahi sadaa mire marne ki aarzu jiine ki de rahe hain vahi ab du'aa mujhe jaane kaa vaqt aayaa to aai sadaa-e-haq muddat se aarzu thi mile ham-navaa mujhe har baam-o-dar se ek ishaara hai roz-o-shab ne main vafaa ko chhoD sakaa ne vafaa mujhe duniyaa ne kitne mujh ko dikhaae hain sabz baagh un se na koi kar sakaa lekin judaa mujhe tasvir us ke haath mein lab par miri ghazal dekhaa na ek aankh na jis ne sunaa mujhe fard-e-'amal mein meri hon shaamil sab un ke jaur un ke kiye ki shauq se diije sazaa mujhe meri vafaa kaa un ko mile hashr mein sila mil jaaein un ke naam ke jaur-o-jafaa mujhe har roz mujh ko apnaa badalnaa paDaa javaab roz ik sabaq paDhaataa hai qaasid nayaa mujhe dekhaa tumhaari shakl mein husn-e-azal ki zau sajda tumhaare dar pe huaa hai ravaa mujhe jhonkaa koi nasim kaa 'gulzaar'-e-naaz mein un kaa payaam kaash sunaae sabaa mujhe"
Gulzar DehlviGulzar Dehlvi
Quote
"kaun dekhegaa zamaane inqilaab-e-naaz ke bhuul baiThe hain vo vaade ishq ke aaghaaz ke hote hain tir-e-sitam sar chaahne vaalon pe ab ye nae andaaz dekhe ghamza-o-ghammaaz ke mere aah-o-naale ko zaalim samajh naadaan na ban saaz ke naghme nahin ye hain shikast-e-saaz ke baal-o-par ab tak bandhe hain huun muqayyad taa-hanuz hukm saadir ho chuke hain go meri parvaaz ke ishq-e-din hubb-e-vatan zauq-e-amal paas-e-vafaa jauhar-e-insaaniyat hain ye kisi dam-saaz ke is kharaab-aabaad ki tanzim kuchh aasaan na thi moajize hain ye masihaa-dam tere andaaz ke saaz-e-hasti teri ik aavaaz se thaa naghma-kaar muntazir divaane dil hain dusri aavaaz ke chaar kaliyon ke sahaare hai gulistaan kaa qayaam zaahiran jo gul hain varna khaar hain eajaaz ke go ghanimat panja-e-aghyaar ke chhuTnaa sahi kyuun magar ham said hon chashm-e-zamaana-saaz ke inqalaab ik apne haq mein aur bhi aane ko hai ye maaani hain haqiqat mein navaa-e-raaz ke zulm par tum zulm Dhaao ham na khinchein aah tak vaah kyaa kahiye tumhaare ishva-o-andaaz ke hind mein qaaem rahe daaim bahaar-e-be-khizaan ye duaa lab par ho har 'gulzaar' ke dam-saaz ke"
Gulzar DehlviGulzar Dehlvi
Quote
"ab to sahraa mein raheinge chal ke divaanon ke saath dahr mein mushkil huaa jiinaa jo farzaanon ke saath khatm ho jaaeinge qisse kal ye divaanon ke saath phir inhein dohraaoge tum kitne unvaanon ke saath bazm mein ham ko bulaa kar aap uTh kar chal diye kyaa suluk-e-naaravaa jaaez hai mehmaanon ke saath nafratein phailaa rahe hain kaisi shaikh-o-barhaman kyaa shumaar in kaa kareinge aap insaanon ke saath un ki aankhon ki gulaabi se jo ham makhmur hain ik ta’alluq hai qadimi ham ko paimaanon ke saath har taraf ku-e-butaan mein hasraton kaa hai hujum ek dil laae the ham to apnaa armaanon ke saath kal talak daanaaon ki sohbat mein the sab ke imaam aaj kaise sust hain yuun shaikh naa-daanon ke saath un ki aankhein ik taraf ye jaam-o-minaa ik taraf kis tarah gardish mein hain paimaane paimaanon ke saath 'aashiqon ke dil mein shab faanus raushan ho gae sham' kaa jiinaa hai laazim apne parvaanon ke saath haif gulzaar-e-jahaan mein gul yagaane ho gae lahlahaa kar ab rahegaa sabza begaanon ke saath"
Gulzar DehlviGulzar Dehlvi
Quote
"khudaa ne husn diyaa hai tumhein shabaab ke saath subu-o-jaam khanakte hue rabaab ke saath labon se chhu ke pilaao sharaab vaa'iz ko puraane log hain piite hain ye gulaab ke saath ye kis ki zulf-e-pareshaan kaa faiz hai yaaro tamaam 'umr guzaari hai pech-o-taab ke saath khili hui jo hai suraj-mukhi gulistaan mein ye kis ne aankh milaai hai aaftaab ke saath kahaan vo garmi-e-'azm-o-'amal vo qurbaani vo josh khatm huaa daur-e-inqilaab ke saath khudi ko fakhr hai hamdam anaa ko ham par naaz ki ham ne 'umr guzaari hai aab-o-taab ke saath rivaayaton ko kabhi chhoDte nahin 'gulzaar' shagufe rahte hain har vaqt kuchh janaab ke saath"
Gulzar DehlviGulzar Dehlvi

More on Dil

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud