"hairaan huun main dekh ke parvardigaar kyon khuun ro rahaa hai aaj dil-e-daagh-daar kyon aao yahaan pe baiTho mujhe ye javaab do tabdil ho gayaa hai 'adaavat mein pyaar kyon teri tarah karegi mujhe ye bhi munhadim taDpaa rahi hai yaad tiri baar-baar kyon vaa'da kiyaa thaa phir bhi na aae na aaeinge ai khvaab-khvaab chashm 'abas intizaar kyon 'aafi' jab un se koi ta'alluq nahin rahaa hotaa hai un ke naam pe dil be-qaraar kyon"
dil mein aaseb-e-tamanna ko chhupaane vaale — Aafreen Faheem Aafi
"dil mein aaseb-e-tamanna ko chhupaane vaale saath mein ro le kabhi mujh ko rulaane vaale laakh taa'viz bandhe khuub du'aaein maangin magar aae hi nahin lauT ke aane vaale kyaa guzarti hai mire dil pe judaai mein tiri tujh ko ehsaas bhi hai chhoD ke jaane vaale yaad aate hain to aate hi chale jaate hain dil se jaate hi nahin dil ko dukhaane vaale 'umr bhar DhunDte phirte rahe qadmon ke nishaan mere qadmon se qadam apne milaane vaale zindagi tu ne hamein chain se jiine na diyaa ab nahin ham bhi tire naaz uThaane vaale meri taqdir faqat tu hi badal saktaa hai meri taqdir badal duniyaa banaane vaale dekho kis tarh badal jaaegaa ye vaqt kaa khel khud bhi gir jaaeinge auron ko giraane vaale Dubnaa in kaa muqaddar thaa so Duube varna tair bhi sakte the ye kashti banaane vaale"
دل میں آسیب تمنا کو چھپانے والے ساتھ میں رو لے کبھی مجھ کو رلانے والے لاکھ تعویذ بندھے خوب دعائیں مانگیں مگر آئے ہی نہیں لوٹ کے آنے والے کیا گزرتی ہے مرے دل پہ جدائی میں تری تجھ کو احساس بھی ہے چھوڑ کے جانے والے یاد آتے ہیں تو آتے ہی چلے جاتے ہیں دل سے جاتے ہی نہیں دل کو دکھانے والے عمر بھر ڈھونڈتے پھرتے رہے قدموں کے نشاں میرے قدموں سے قدم اپنے ملانے والے زندگی تو نے ہمیں چین سے جینے نہ دیا اب نہیں ہم بھی ترے ناز اٹھانے والے میری تقدیر فقط تو ہی بدل سکتا ہے میری تقدیر بدل دنیا بنانے والے دیکھو کس طرح بدل جائے گا یہ وقت کا کھیل خود بھی گر جائیں گے اوروں کو گرانے والے ڈوبنا ان کا مقدر تھا سو ڈوبے ورنہ تیر بھی سکتے تھے یہ کشتی بنانے والے
दिल में आसेब-ए-तमन्ना को छुपाने वाले साथ में रो ले कभी मुझ को रुलाने वाले लाख ता'वीज़ बंधे ख़ूब दु'आएँ माँगीं मगर आए ही नहीं लौट के आने वाले क्या गुज़रती है मिरे दिल पे जुदाई में तिरी तुझ को एहसास भी है छोड़ के जाने वाले याद आते हैं तो आते ही चले जाते हैं दिल से जाते ही नहीं दिल को दुखाने वाले 'उम्र भर ढूँडते फिरते रहे क़दमों के निशाँ मेरे क़दमों से क़दम अपने मिलाने वाले ज़िंदगी तू ने हमें चैन से जीने न दिया अब नहीं हम भी तिरे नाज़ उठाने वाले मेरी तक़दीर फ़क़त तू ही बदल सकता है मेरी तक़दीर बदल दुनिया बनाने वाले देखो किस तरह बदल जाएगा ये वक़्त का खेल ख़ुद भी गिर जाएँगे औरों को गिराने वाले डूबना इन का मुक़द्दर था सो डूबे वर्ना तैर भी सकते थे ये कश्ती बनाने वाले

More by Aafreen Faheem Aafi
View all →"zulm ki jo bhi mazammat nahin karne vaale aise logon ki ham 'izzat nahin karne vaale saath le aaegi phir se koi bint-e-havvaa is liye khvaahish-e-jannat nahin karne vaale aakhiri saans talak Tuut ke chaaheinge tumhein 'ishq ham hasb-e-zarurat nahin karne vaale 'ishq mein teri jagah aur kisi ko de kar ham amaanat mein khayaanat nahin karne vaale khvaab aankhon ke jinhein saunp diye hain tum ne vo to khvaabon ki hifaazat nahin karne vaale ham se 'aafi' jo milo milnaa khulus-e-dil se ham munaafiq ki to 'izzat nahin karne vaale"
"is liye aate hain sailaab miri aankhon mein jaagte rahte hain kuchh khvaab miri aankhon mein ye mohabbat ke baDe khaas sabaq hote hain tum ne dekhe hain jo aadaab miri aankhon mein main vo sahraa jahaan ummid nahin baarish ki Dubte jaate hain sairaab miri aankhon mein us ki yaad aae to aankhon se ravaan ho jaaein aaj kuchh ashk hain betaab miri aankhon mein ik taraf ghumti duniyaa kaa har ik manzar hai ik taraf chehra-e-naayaab miri aankhon mein bhej do 'aafi' tabassum ki koi taaza khizaan zakhm hone lage shaadaab miri aankhon mein"
"ik mulaaqaat kaa bas tum se bahaanaa chaahaa ham ne kab apne liye saaraa zamaana chaahaa tum ne jo zakhm diye ham ko bataur-e-tohfa chaadar-e-ashk mein har gham ko chhupaanaa chaahaa main ne kab maangi hukumat yaa koi takht yaa taaj zindagaani mein faqat saath tumhaaraa chaahaa tum ne daaman ko pakaD kar mujhe rokaa har dam main ne jab jab bhi mohabbat se kinaaraa chaahaa"
"zindagi kaise 'ajab moD pe le aai hai bhiiD si bhiiD hai tanhaai si tanhaai hai jo bhi miltaa hai du'aa detaa hai marne ki mujhe dil lagaane ki bhi kyaa khuub sazaa paai hai sar uThaati hui hasrat kaa huaa qatl-e-'aam dil vo duniyaa hai jahaan 'aalam-e-tanhaai hai tum mire saamne aao to 'inaayat hogi dil ki dahliz pe baiThi hui tanhaai hai jis ke jiine ke liye tum ne du'aa maangi ho aise 'aashiq ko bhalaa maut kahaan aai hai khaak rakkhegaa mire zakhm pe marham 'aafi' ye zamaana jo haqiqat mein tamaashaai hai"
"dost aane mein baDi der lagaa di tum ne dil dukhaane mein baDi der lagaa di tum ne mujh ko duniyaa se gae ek zamaana guzraa gham manaane mein baDi der lagaa di tum ne apnaa dil ham to hatheli pe liye baiThe the aazmaane mein baDi der lagaa di tum ne main ne aahon se sanjoya thaa mohabbat kaa chaman khaar laane mein baDi der lagaa di tum ne jism ne ruuh se kal puchh liyaa thaa 'aafi' qaid-khaane mein baDi der lagaa di tum ne"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"