SHAWORDS

dil mein mere phir khayaal aataa hai aaj — Mah Laqa Chanda

"dil mein mere phir khayaal aataa hai aaj koi dilbar be-misaal aataa hai aaj kyuun paDaa behosh uTh haatif se ab hai nidaa saahab-e-jamaal aataa hai aaj sang-e-rah huun ek Thokar ke liye tis pe vo daaman sanbhaal aataa hai aaj mushtari o zohra baaham saa'd hain is liye abru hilaal aataa hai aaj tum sivaa 'chandaa' ke dil mein yaa 'ali kis ki 'azmat kaa jalaal aataa hai aaj"
Urdu

دل میں میرے پھر خیال آتا ہے آج کوئی دلبر بے مثال آتا ہے آج کیوں پڑا بے ہوش اٹھ ہاتف سے اب ہے ندا صاحب جمال آتا ہے آج سنگ رہ ہوں ایک ٹھوکر کے لیے تس پہ وہ دامن سنبھال آتا ہے آج مشتری و زہرہ باہم سعد ہیں اس لیے ابرو ہلال آتا ہے آج تم سوا چنداؔ کے دل میں یا علی کس کی عظمت کا جلال آتا ہے آج

Hindi

दिल में मेरे फिर ख़याल आता है आज कोई दिलबर बे-मिसाल आता है आज क्यूँ पड़ा बेहोश उठ हातिफ़ से अब है निदा साहब-ए-जमाल आता है आज संग-ए-रह हूँ एक ठोकर के लिए तिस पे वो दामन सँभाल आता है आज मुश्तरी ओ ज़ोहरा बाहम सा'द हैं इस लिए अबरू हिलाल आता है आज तुम सिवा 'चंदा' के दिल में या 'अली किस की 'अज़्मत का जलाल आता है आज

dil meñ mere phir ḳhayāl aatā hai aaj
Mah Laqa Chanda
Mah Laqa Chanda
Mah Laqa Chanda
poet26 quotes

More by Mah Laqa Chanda

View all →
Quote
"garche gul ki sej ho tis par bhi uD jaati hai niind sar rakhun qadmon pe jab tere mujhe aati hai niind dekh saktaa hi nahin aankhon se Tuk aankhein milaa muntazir se misl-e-nargis tere sharmaati hai niind jab se ye mizhgaan hue dar par tire jaarub-kash ru-ba-ru tab se miri aankhon ke Tal jaati hai niind dhyaan mein gul-ru ke chain aataa nahin afsaana-gar le sabaa se gaah bu-e-yaar bahlaati hai niind ashk to itne bahe 'chandaa' ki chashm-e-khalq se qurrat-ul-ain-e-ali ke gham mein bah jaati hai niind"
Mah Laqa ChandaMah Laqa Chanda
Quote
"na gul se hai gharaz tere na hai gulzaar se matlab rakhaa chashm-e-nazar shabnam mein apne yaar se matlab ye dil daam-e-nigah mein tark ke bas jaa hi aTkaa hai bar aave kis tarah allaah ab khun-khvaar se matlab ba-juz haq ke nahin hai ghair se hargiz tavaqqo kuchh magar duniyaa ke logon mein mujhe hai pyaar se matlab na samjhaa ham ko tu ne yaar aisi jaan-fishaani par bhalaa paaveinge ai naadaan kisi hushyaar se matlab na 'chandaa' ko tamaa jannat ki ne khauf-e-jahannam hai rahe hai do-jahaan mein haidar-e-karraar se matlab"
Mah Laqa ChandaMah Laqa Chanda
Quote
"rahe nau-roz ishrat-aafrin josh-e-bahaar-afzaa gul-afshaan hai karam teraa chaman mein dahr ke har jaa na puchho koi aish-o-khurrami ko ahd mein us ke ki jis ke faiz se ghar ghar hai daur-e-saaghar-e-sahbaa arastu-jaah vo farrukh-nazhaad-e-ahl-e-aalam hai ki jis ke fazl-o-bakhshish kaa jahaan mein hai alam barpaa duaa hai ye mavaali ki tasadduq se aimma ke rakhe saae mein apne lutf ke tujh ko ali maulaa nahin kuchh zeb ai mehr-e-siphar-e-ma'adalat is mein ayaan 'chandaa' pe jo kuchh hai navaazish ye karam-farmaa"
Mah Laqa ChandaMah Laqa Chanda
Quote
"basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahbaa hai khudaa ke fazl se aish-o-tarab ki ab kami kyaa hai bayaan main kyaa karun us ke shabistaan kaa ta'al-allah qazaa-o-qadr jis ke jashn kaa ab kaar-farmaa hai sakhaavat mein koi ham-sar na ho us kaa zamaanae mein vahi kartaa hai puuraa jis ke dil mein jo iraada hai khizar ki umr ho us ki tasadduq se aimma ke nizaam-ud-daula aasaf-jaah jo sab kaa masihaa hai bahi-khvaan-e-karam se hai sadaa ummid 'chandaa' ko kisi ki bhi na ho muhtaaj tum se ye tamannaa hai"
Mah Laqa ChandaMah Laqa Chanda

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil