SHAWORDS

dil se sunegaa kaun yahaan par bayaan-e-dil — Abdullah Saqib

HomeAbdullah SaqibGhazal
"dil se sunegaa kaun yahaan par bayaan-e-dil kis ke huzur pesh karun armughaan-e-dil baad-e-mukhaalifaan ki sa'i raaegaan gai khulne ko musta'id hi nahin baadbaan-e-dil uktaa ke har makin ne hijrat ki Thaan li kitni kharaashein aa gai hain darmiyaan-e-dil us ne baDhaa li ghair se rasm-o-rah-e-khirad ham ne sajaanaa chhoD diyaa hai makaan-e-dil saaya-fagan hai naqsh-e-kaf-e-paa-e-mustafaa manzil ki khaak fikr kare kaarvaan-e-dil ruk jaa abhi na rahm-o-karam ki nigaah kar ujDegaa be-hisaab abhi gulsitaan-e-dil har dam use 'aziz hai paaki nigaah ki khuun se likhi hui hai miri daastaan-e-dil"
Urdu

دل سے سنے گا کون یہاں پر بیان دل کس کے حضور پیش کروں ارمغان دل باد مخالفاں کی سعی رائیگاں گئی کھلنے کو مستعد ہی نہیں بادبان دل اکتا کے ہر مکین نے ہجرت کی ٹھان لی کتنی خراشیں آ گئی ہیں درمیان دل اس نے بڑھا لی غیر سے رسم و رہ خرد ہم نے سجانا چھوڑ دیا ہے مکان دل سایہ فگن ہے نقش کف پائے مصطفیٰ منزل کی خاک فکر کرے کاروان دل رک جا ابھی نہ رحم و کرم کی نگاہ کر اجڑے گا بے حساب ابھی گلستان دل ہر دم اسے عزیز ہے پاکی نگاہ کی خوں سے لکھی ہوئی ہے مری داستان دل

Hindi

दिल से सुनेगा कौन यहाँ पर बयान-ए-दिल किस के हुज़ूर पेश करूँ अरमुग़ान-ए-दिल बाद-ए-मुख़ालिफ़ाँ की स'ई राएगाँ गई खुलने को मुस्त'इद ही नहीं बादबान-ए-दिल उक्ता के हर मकीन ने हिजरत की ठान ली कितनी ख़राशें आ गई हैं दरमियान-ए-दिल उस ने बढ़ा ली ग़ैर से रस्म-ओ-रह-ए-ख़िरद हम ने सजाना छोड़ दिया है मकान-ए-दिल साया-फ़गन है नक़्श-ए-कफ़-ए-पा-ए-मुस्तफ़ा मंज़िल की ख़ाक फ़िक्र करे कारवान-ए-दिल रुक जा अभी न रहम-ओ-करम की निगाह कर उजड़ेगा बे-हिसाब अभी गुल्सितान-ए-दिल हर दम उसे 'अज़ीज़ है पाकी निगाह की ख़ूँ से लिखी हुई है मिरी दास्तान-ए-दिल

dil se sunegā kaun yahāñ par bayān-e-dil
Abdullah Saqib
Abdullah Saqib
Abdullah Saqib
poet19 quotes

More by Abdullah Saqib

View all →
Quote
"maa'siyat raah ki divaar hui jaati hai ab Dagar aur bhi pur-khaar hui jaati hai vo qanaa'at hai tabi'at mein ki vaqt-e-rukhsat ik nazar haasil-e-didaar hui jaati hai kaun hai naghma-saraa aaj ki ruh-e-murda raqs karti hai to sarshaar hui jaati hai 'aql raqba hai ki aabaad huaa jaataa hai dil 'imaarat hai ki mismaar hui jaati hai do-rukhe-pan pe zaraa hone lagaa kyaa maail ik hamiyyat hai ki bedaar hui jaati hai kyaa huaa tujh ko miri himmat-e-dushvaar-pasand zimmedaari bhi giraan-baar hui jaati hai kaun se dar pe paTak aauun sar-e-naa-ahlaan khud-pasandi bhi dil-aazaar hui jaati hai kal yahi tark-e-ta'alluq pe musir thi 'saaqib' aaj dekho yahi dil-daar hui jaati hai"
Abdullah SaqibAbdullah Saqib
Quote
"sitam-rasida huun mujh par vo irtikaaz kare pa-e-visaal manaahi kaa Tuk javaaz kare siyaah raat judaai kaa zakhm de jaae sarir-e-khaama sadaaon se dil-gudaaz kare nigaah-e-dil ko use dekhne ki jaldi hai 'alattamaam na aae pa nim-baaz kare use kaho na kare un pe mudda'aa zaahir use kaho ki raqibon se ehtiraaz kare use kaho ki ta'alluq mein mukhlisi barte vafaa-sarisht-o-farebi mein imtiyaaz kare miri talab to bas itni hai mohtasib saahib miri taraf bhi vo pal ko nigaah-e-naaz kare"
Abdullah SaqibAbdullah Saqib
Quote
"dil ko tire khayaal mein hal kar diyaa gayaa be-e'tibaar chiiz ko shal kar diyaa gayaa ab tirgi ko chaahiye gustaakh dusraa apni ridaa sameT ke jal kar diyaa gayaa be-laus pesh ki gaiin munkir ko sohbatein ham ko 'ishaaiya bhi sanbhal kar diyaa gayaa laahut tak rasaai ki khaate the jo qasam shahr-e-tarab mein un ko muzal kar diyaa gayaa har gham dil-e-nazaar kaa khuun mein lapeT kar bazm-e-sukhan-varaan mein ghazal kar diyaa gayaa allaah kyaa balaa hai ye daur-e-jadidiyat har aagahi ko aan mein chhal kar diyaa gayaa kaisaa javaab chaahiye min-jaanib-e-dilaan lubb-e-lubaab jab ki kuchal kar diyaa gayaa"
Abdullah SaqibAbdullah Saqib
Quote
"tuur dekhaa bhi nahin parda-kushaai bhi nahin hosh khoyaa bhi nahin jaan ganvaai bhi nahin rahbar-e-'arsh-e-mua'allaa ki savaari pohnchi aur madine mein abhi koi nidaai bhi nahin paa-e-dil-basta-e-zanjir-e-nazar hotaa gayaa aur qismat mein kisi taur rihaai bhi nahin mere daaman pe ye kis raah se chhinTein aaiin daastaan bar-sar-e-mahfil to sunaai bhi nahin meri tanhaai ke sannaaTe mein larzaan hai sukut surat-e-qais to vahshat ne dikhaai bhi nahin ye faqat vaaqi'a-e-daar se khun-baar hui khun-tarashshoh se to divaar sajaai bhi nahin"
Abdullah SaqibAbdullah Saqib
Quote
"ragon kaa khuun sukhan mein nichoD kar rakh duun bisaat-e-‘ijz pe kyaa chaahiye ye sar rakh duun khudaa-e-'ishq ki zau-reziyaan tamaam huiin maaal-e-kaar-e-hunar ye hai ab hunar rakh duun kisi ki yaad mein aankhon se nuur bahtaa ho kisi ki yaad mein aankhon ko reg par rakh duun agar kaho to sar-e-‘ishq main rahun madhosh agar kaho to yahin saare karr-o-far rakh duun pae-adab ye qadam-bos hone lagtaa hai furaat-e-ram mein qadam bhi kahin agar rakh duun kisi ki yaad ki hurmat se bach nikaltaa hai khayaal aataa hai siine ko chiir kar rakh duun"
Abdullah SaqibAbdullah Saqib
Quote
"khil uThe chehra-e-gumnaam jab us ne dekhaa aaine bhuul gae kaam jab us ne dekhaa saa-re-gaa-maa-paa hui subh zabaan jab kholi faa'ilaatun pe hui shaam jab us ne dekhaa nim-jaan kaan liye us ke qarin jaa pahunche pukhta pukhta bhi hue khaam jab us ne dekhaa allah allaah ye kyaa khuub nazar-baazi hai mai-kashi pi gai khud jaam jab us ne dekhaa hazrat-e-dil to sag-e-ku-e-malaamat Thahre aa gayaa aap ko aaraam jab us ne dekhaa jaan-kani muntazir-e-chashm-e-ghazaali thi miri aur taarik hui shaam jab us ne dekhaa"
Abdullah SaqibAbdullah Saqib

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud