SHAWORDS

duaa karo ki ye paudaa sadaa haraa hi lage — Bashir Badr

HomeBashir BadrGhazal
"duaa karo ki ye paudaa sadaa haraa hi lage udaasiyon mein bhi chehra khilaa khilaa hi lage vo saadgi na kare kuchh bhi to adaa hi lage vo bhol-pan hai ki bebaaki bhi hayaa hi lage ye zaafraani pullover usi kaa hissa hai koi jo dusraa pahne to dusraa hi lage nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi ye khiDki kholo zaraa subh ki havaa hi lage ajiib shakhs hai naaraaz ho ke hanstaa hai main chaahtaa huun khafaa ho to vo khafaa hi lage hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage hazaaron bhes mein phirte hain raam aur rahim koi zaruri nahin hai bhalaa bhalaa hi lage"
Urdu

دعا کرو کہ یہ پودا سدا ہرا ہی لگے اداسیوں میں بھی چہرہ کھلا کھلا ہی لگے وہ سادگی نہ کرے کچھ بھی تو ادا ہی لگے وہ بھول پن ہے کہ بے باکی بھی حیا ہی لگے یہ زعفرانی پلوور اسی کا حصہ ہے کوئی جو دوسرا پہنے تو دوسرا ہی لگے نہیں ہے میرے مقدر میں روشنی نہ سہی یہ کھڑکی کھولو ذرا صبح کی ہوا ہی لگے عجیب شخص ہے ناراض ہو کے ہنستا ہے میں چاہتا ہوں خفا ہو تو وہ خفا ہی لگے حسیں تو اور ہیں لیکن کوئی کہاں تجھ سا جو دل جلائے بہت پھر بھی دل ربا ہی لگے ہزاروں بھیس میں پھرتے ہیں رام اور رحیم کوئی ضروری نہیں ہے بھلا بھلا ہی لگے

Hindi

दुआ करो कि ये पौदा सदा हरा ही लगे उदासियों में भी चेहरा खिला खिला ही लगे वो सादगी न करे कुछ भी तो अदा ही लगे वो भोल-पन है कि बेबाकी भी हया ही लगे ये ज़ाफ़रानी पुलओवर उसी का हिस्सा है कोई जो दूसरा पहने तो दूसरा ही लगे नहीं है मेरे मुक़द्दर में रौशनी न सही ये खिड़की खोलो ज़रा सुब्ह की हवा ही लगे अजीब शख़्स है नाराज़ हो के हँसता है मैं चाहता हूँ ख़फ़ा हो तो वो ख़फ़ा ही लगे हसीं तो और हैं लेकिन कोई कहाँ तुझ सा जो दिल जलाए बहुत फिर भी दिलरुबा ही लगे हज़ारों भेस में फिरते हैं राम और रहीम कोई ज़रूरी नहीं है भला भला ही लगे

duā karo ki ye paudā sadā harā hī lage
Bashir Badr
Bashir Badr
Bashir Badr
poet340 quotes

More by Bashir Badr

View all →
Quote
"hamaaraa dil savere kaa sunahraa jaam ho jaae charaaghon ki tarah aankhein jalein jab shaam ho jaae kabhi to aasmaan se chaand utre jaam ho jaae tumhaare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabbat ki haveli jis tarah nilaam ho jaae samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko havaaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaae mujhe maalum hai us kaa Thikaanaa phir kahaan hogaa parinda aasmaan chhune mein jab naakaam ho jaae ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae"
Bashir BadrBashir Badr
Quote
"suraj chandaa jaisi joDi ham donon din kaa raaja raat ki raani ham donon jagmag jagmag duniyaa kaa mela jhuTaa sachchaa sonaa sachchi chaandi ham donon ik duuje se mil kar puure hote hain aadhi aadhi ek kahaani ham donon ghar-ghar dukh-sukh kaa ik dipak jale bujhe har dipak mein tel aur baati ham donon duniyaa ki ye maayaa kankar patthar hai aansu shabnam hiiraa moti ham donon chaaron or samandar baDhti chintaa hai lahar lahar lahraati kashti ham donon parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran ujle par vaale do panchhi ham donon main dahliz kaa dipak huun aa tez havaa raat guzaarein apni apni ham donon"
Bashir BadrBashir Badr

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim