SHAWORDS

dushvaar hai is anjuman-aaraa ko samajhnaa — Ajmal Siraj

HomeAjmal SirajGhazal
"dushvaar hai is anjuman-aaraa ko samajhnaa tanhaa na kabhi tum dil-e-tanhaa ko samajhnaa ho jaae to ho jaae izaafa gham-e-dil mein kyaa aql se saudaa-e-tamannaa ko samajhnaa ik lamha-e-hairat ke sivaa kuchh bhi nahin hai kuchh aur na is tundidariyaa ko samajhnaa kuchh tez havaaon ne bhi dushvaar kiyaa hai qadmon ke nishaanaat se sahraa ko samajhnaa"
Urdu

دشوار ہے اس انجمن آرا کو سمجھنا تنہا نہ کبھی تم دل تنہا کو سمجھنا ہو جائے تو ہو جائے اضافہ غم دل میں کیا عقل سے سودائے تمنا کو سمجھنا اک لمحۂ حیرت کے سوا کچھ بھی نہیں ہے کچھ اور نہ اس تندیٔ دریا کو سمجھنا کچھ تیز ہواؤں نے بھی دشوار کیا ہے قدموں کے نشانات سے صحرا کو سمجھنا

Hindi

दुश्वार है इस अंजुमन-आरा को समझना तन्हा न कभी तुम दिल-ए-तन्हा को समझना हो जाए तो हो जाए इज़ाफ़ा ग़म-ए-दिल में क्या अक़्ल से सौदा-ए-तमन्ना को समझना इक लम्हा-ए-हैरत के सिवा कुछ भी नहीं है कुछ और न इस तुंदी-ए-दरिया को समझना कुछ तेज़ हवाओं ने भी दुश्वार किया है क़दमों के निशानात से सहरा को समझना

dushvār hai is anjuman-ārā ko samajhnā
Ajmal Siraj
Ajmal Siraj
Ajmal Siraj
poet50 quotes

More by Ajmal Siraj

View all →
Quote
"jo ashk barsaa rahe hain saahib ye raaegaan jaa rahe hain saahib yahi taghayyur to zindagi hai abas ghule jaa rahe hain saahib jo ho gayaa hai so ho gayaa hai fuzul pachhtaa rahe hain saahib ye sirf ginti ke chaar din hain baDe maze aa rahe hain saahib abhi to ye khaak ho rahegaa jo jism chamkaa rahe hain saahib koi iraada na koi jaada kahaan kidhar jaa rahe hain saahib idhar zaraa ghaur se to dekhein ye phuul murjhaa rahe hain saahib jahaan ki naayaaft ke sabab mein jahaan kaa gham khaa rahe hain saahib ye main nahin huun ye meraa dil hai ye kis ko samjhaa rahe hain saahib sukun ki niind soiyegaa vo din bhi bas aa rahe hain saahib jo aap ke hijr mein mile hain ye din gine jaa rahe hain saahib bas ab nahin kuchh bhi yaad mujh ko bas aap yaad aa rahe hain saahib"
Ajmal SirajAjmal Siraj
Quote
"maaal-e-ahl-e-zamin bar-sar-e-zamin aataa jo be-yaqin hain un ko bhi phir yaqin aataa kahin to ham bhi Thaharte jo ham-nashini ko nikal ke khvaab se vo yaar-e-dil-nashin aataa vo jab talak nahin aataa pukaarte rahte to dekh lete ki vo kab talak nahin aataa khayaal aayaa to ye bhi khayaal aayaa hai yahi khayaal agar roz-e-avvalin aataa chalo ab us ki khushi vo jahaan bhi mil jaae mazaa to jab thaa ki milne ko vo yahin aataa bas ek baat hamaari samajh mein aati hai samajh mein varna hamaari bhi kuchh nahin aataa"
Ajmal SirajAjmal Siraj
Quote
"nazar aa rahe hain jo tanhaa se ham so yuun hai ki bhar paae duniyaa se ham na parvaa hamein haal-e-behaal ki na sharminda umr-e-guzishta se ham bhalaa koi kartaa hai murdon se baat kahein kyaa dil-e-be-tamannaa se ham nazar mein hai jab se saraapaa tiraa jabhi se hain kuchh be-sar-o-paa se ham koi jal-pari kyaa pari bhi na aai magar khush hue raat dariyaa se ham tamaashaai shash-jihat hain so hain khud apne liye bhi tamaashaa se ham samajhnaa thaa duniyaa ko yuun bhi muhaal samajhte the duniyaa ko duniyaa se ham"
Ajmal SirajAjmal Siraj
Quote
"'ishq se 'aql kaa fuqdaan kharidaa ham ne aur vo bhi 'alal-ai'laan kharidaa ham ne ham ne patthar bhi kharidaa to vo aaina thaa kabhi yaaqut na marjaan kharidaa ham ne bhulne ke liye vo saa'at-e-paimaan-e-alast vaqt se ik nayaa paimaan kharidaa ham ne shor uThThaa thaa ki naabud huaa hai koi jab tire vasl kaa armaan kharidaa ham ne kitne lamhaat ko apne liye dushvaar kiyaa tab koi lamha-e-aasaan kharidaa ham ne band hone ko dukaan hai to khayaal aayaa hai faaeda chhoD ke nuqsaan kharidaa ham ne fees bharne ke liye jeb mein paise bhi na the jin dinon 'mir' kaa divaan kharidaa ham ne"
Ajmal SirajAjmal Siraj

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud