"kuchh rishton mein baT jaataa hai teraa pyaar bhi ghaT jaataa hai bhaanp ke chaadar ki kotaahi tan bhi meraa simaT jaataa hai log bhulaa dete hain us ko jo manzar se kaT jaataa hai miTTi ki shah paa kar paudaa gamle mein bhi DaT jaataa hai tum se milne aa jaataa huun jab ji meraa uchaT jaataa hai totaa bhi panDit ke ghar kaa ik do mantar raT jaataa hai baansuri bante bante baadal baans kaa siina phaT jaataa hai"
duur hi se nihaar leinge ham — Ajit Singh Badal
"duur hi se nihaar leinge ham tum ko sharminda kyaa kareinge ham sufiyon ki tarah jiyeinge ham dard mein raqs bhi kareinge ham muskuraa kar karo hamein rukhsat tum bhi roe to kyaa kareinge ham de ke jaate ho zindagi ki duaa kyaa tumhaare binaa jiyeinge ham apne ghar mein bhale laDein jhagDein ek hi chhat tale raheinge ham pahle maan-baap ki karein khidmat baal-bachche bhi paal leinge ham iid kaa roz hai chalo 'baadal' aaj un se gale mileinge ham"
دور ہی سے نہار لیں گے ہم تم کو شرمندہ کیا کریں گے ہم صوفیوں کی طرح جئیں گے ہم درد میں رقص بھی کریں گے ہم مسکرا کر کرو ہمیں رخصت تم بھی روئے تو کیا کریں گے ہم دے کے جاتے ہو زندگی کی دعا کیا تمہارے بنا جئیں گے ہم اپنے گھر میں بھلے لڑیں جھگڑیں ایک ہی چھت تلے رہیں گے ہم پہلے ماں باپ کی کریں خدمت بال بچے بھی پال لیں گے ہم عید کا روز ہے چلو بادلؔ آج ان سے گلے ملیں گے ہم
दूर ही से निहार लेंगे हम तुम को शर्मिंदा क्या करेंगे हम सूफ़ियों की तरह जिएँगे हम दर्द में रक़्स भी करेंगे हम मुस्कुरा कर करो हमें रुख़्सत तुम भी रोए तो क्या करेंगे हम दे के जाते हो ज़िंदगी की दुआ क्या तुम्हारे बिना जिएँगे हम अपने घर में भले लड़ें झगड़ें एक ही छत तले रहेंगे हम पहले माँ-बाप की करें ख़िदमत बाल-बच्चे भी पाल लेंगे हम ईद का रोज़ है चलो 'बादल' आज उन से गले मिलेंगे हम

More by Ajit Singh Badal
View all →"ban mein rain baseraa hotaa main jaagaa tu soyaa hotaa meraa haat aur us kaa daaman kaash kisi din aisaa hotaa tu gadde ki raani banti main bhangDe kaa raajaa hotaa tere chehre ke darpan mein aks miri chaahat kaa hotaa sakht sazaa dene se pahle sach kyaa hai samjhaayaa hotaa ghar mein tu daftar ki uljhan saath na apne laayaa hotaa un ke saat kabhi to 'baadal' ik thaali mein khaayaa hotaa"
"un ke adnaa ghulaam ho kar bhi ham rahe khaas aam ho kar bhi bevafaai na ki samundar se mauj ne be-lagaam ho kar bhi dil ki duniyaa na kar sake raushan aap maah-e-tamaam ho kar bhi kaise raavan kaa kaam kar baiThe naam ke aap raam ho kar bhi ham nahin tere pyaar ke laaeq qaabil-e-ehtiraam ho kar bhi pyaar karne ki bhuul kar baiThaa shakhs vo nek naam ho kar bhi pyaasi pyaasi hi rah gai 'baadal' zindagi nazr-e-jaam ho kar bhi"
"tum mile to hui ajiib si baat dost karne lage raqib si baat niind aae to makhmali ehsaas varna bistar mein hai salib si baat falsafa zindagi kaa mat puchho main kahungaa baDi ajiib si baat tum yahaan dost se mukhaatab ho mat karo shaair-o-adib si baat puchh mat un ke saamne 'baadal' mere dil mein hai kyaa ajiib si baat"
"na shohrat hai na rusvaai mire pichhe magar hai meri tanhaai mire pichhe sipaahi mere lashkar mein bahut kam hain hazaaron hain tamaashaai mire pichhe main tanhaa thaa magar jab aaina dekhaa tiri surat nazar aai mire pichhe mahak aane lagi pardes mein us ki chali kuchh aisi purvaai mire pichhe koi khush ho gayaa mujh se alag ho kar kisi ki aankh bhar aai mire pichhe"
"us ko shaayad buri lage cigarette mat jalaa us ke saamne cigarette meraa mahbub aane vaalaa hai aur kuchh der saath de cigarette mere siine mein aag hai aisi phunk maarun to jal paDe cigarette mat baDhaao miri taraf saaghar chhin lo mere haath se cigarette meri bhi kyon kharaab ki miTTi jaate jaate bataa to de cigarette saans leti hai aakhiri 'baadal' zahr saanson mein ghol ke cigarette"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"