SHAWORDS

ek dam us ne judaa ki na naqaab-e-aariz — Faheem Gorakhpuri

"ek dam us ne judaa ki na naqaab-e-aariz na huaa duur shab-e-vasl hijaab-e-aariz kis pe barham hain buton kaa jo banaa hai chehraa kis pe laaegaa ghazab aaj itaab-e-aariz laala-o-gul hain zamin par to falak par mah-o-mehr lekin in mein se nahin koi javaab-e-aariz dekh kar jalva-e-rukhsaar huaa main behosh tez kis darja thi allaah sharaab-e-aariz shoala-e-tur gul-e-tar mah-o-khurshid-e-falak aashiqon mein tire kyaa kyaa hain khitaab-e-aariz na diyaa mushaf-e-rukhsaar kaa bosa ham ko us ne kholi na shab-e-vasl kitaab-e-aariz"
Urdu

ایک دم اس نے جدا کی نہ نقاب عارض نہ ہوا دور شب وصل حجاب عارض کس پہ برہم ہیں بتوں کا جو بنا ہے چہرا کس پہ لائے گا غضب آج عتاب عارض لالہ و گل ہیں زمیں پر تو فلک پر مہ و مہر لیکن ان میں سے نہیں کوئی جواب عارض دیکھ کر جلوۂ رخسار ہوا میں بے ہوش تیز کس درجہ تھی اللہ شراب عارض شعلۂ طور گل تر مہ و خورشید فلک عاشقوں میں ترے کیا کیا ہیں خطاب عارض نہ دیا مصحف رخسار کا بوسہ ہم کو اس نے کھولی نہ شب وصل کتاب عارض

Hindi

एक दम उस ने जुदा की न नक़ाब-ए-आरिज़ न हुआ दूर शब-ए-वस्ल हिजाब-ए-आरिज़ किस पे बरहम हैं बुतों का जो बना है चेहरा किस पे लाएगा ग़ज़ब आज इताब-ए-आरिज़ लाला-ओ-गुल हैं ज़मीं पर तो फ़लक पर मह-ओ-मेहर लेकिन इन में से नहीं कोई जवाब-ए-आरिज़ देख कर जल्वा-ए-रुख़्सार हुआ मैं बेहोश तेज़ किस दर्जा थी अल्लाह शराब-ए-आरिज़ शो'ला-ए-तूर गुल-ए-तर मह-ओ-ख़ुर्शीद-ए-फ़लक आशिक़ों में तिरे क्या क्या हैं ख़िताब-ए-आरिज़ न दिया मुसहफ़-ए-रुख़्सार का बोसा हम को उस ने खोली न शब-ए-वस्ल किताब-ए-आरिज़

ek dam us ne judā kī na naqāb-e-āriz
Faheem Gorakhpuri
Faheem Gorakhpuri
Faheem Gorakhpuri
poet21 quotes

More by Faheem Gorakhpuri

View all →
Quote
"taDpein kab tak tiri furqat mein mohabbat vaale aa idhar bhi kabhi o naaz-o-nazaakat vaale shaikh-o-vaaiz hon na kis tarah karaamat vaale hazrat-e-pir-e-mughaan ki hain ye sohbat vaale kab tak izaaein sahein teri mohabbat vaale rahm kar rahm kar o zulm ki aadat vaale shaikh rindon ko buraa kah ke gunahgaar na ban are kambakht yahi log hain jannat vaale dekh jaa aa ke ki ab nazaa ki haalat hai miri itni taklif kar ai meri nazaakat vaale mujh se aasi ko jo mahshar mein milaa baagh-e-bahisht rah gae dekh ke munh zohd-o-ibaadat vaale teri furqat mein taDaptaa hai miraa dil kaisaa dekh aa kar kabhi o sakht tabiat vaale jhuum kar aane to de abr-e-siyah ai saaqi abhi aa jaaeinge maikhaane ki sohbat vaale dil to kyaa jaan fidaa kar dein tire qadmon par aashiqon mein tire aise bhi hain himmat vaale chikh uThe aate hi masjid mein janaab-e-vaaiz chaunk uThte hain yuun hi khvaab se ghaflat vaale koi kartaa hai mai-e-ishq ko jaaez koi mana dekhein kyaa hukm lagaate hain shariat vaale sohbat-e-mai mein bhi miltaa nahin vaaiz ko maza aise dekhe hi nahin khushk tabiat vaale rah gayaa chup hi savaalon pe nakirain ke main sun chukaa thaa ki farishte hain ye jannat vaale kal se hai vaada-e-vasl aaj na kah yaad nahin is qadar bhuul na o bhuul ki aadat vaale qabr se uTh ke qayaamat mein vahin pahuncheinge hauz-e-kausar hi pe dam leinge tire matvaale mayyat-e-aashiq-e-shaidaa hai uThaanaa laazim itnaa naazuk na ban o mere nazaakat vaale munfail ho ke hue pursish-e-isyaan se bari sab se achchhe rahe mahshar mein nadaamat vaale ham kahein kyaa ki hamein kuchh nahin aataa hai 'fahim' naaz karte hain tabiat pe tabiat vaale"
Faheem GorakhpuriFaheem Gorakhpuri
Quote
"ai shaikh mujh ko khvaahish-e-baagh-e-iram nahin kucha buton kaa mere liye us se kam nahin pahli si us mein aadat-e-jaur-o-sitam nahin afsos ab yahi hai ki is vaqt ham nahin haan ku-e-ghair mein tire naqsh-e-qadam nahin tujh par miraa gumaan khudaa ki qasam nahin mujh nim-jaan ke qatl mein taakhir is qadar maalum ho gayaa tire khanjar mein dam nahin naalo tumhaare haath hai furqat mein apni sharm dekhein to aaj charkh nahin hai ki ham nahin aab-e-baqaa ho mujh ko pilaao jo aab-e-tegh tum zahr bhi jo do to vo amrit se kam nahin kartaa hai mujh se ahd-e-vafaa to vo but magar mujh ko kuchh e'tibaar khudaa ki qasam nahin mumkin nahin kahin ho Thikaanaa 'fahim' kaa teri nigaah-e-lutf agar ai sanam nahin"
Faheem GorakhpuriFaheem Gorakhpuri
Quote
"shaidaa mujhe banaayaa gesu-e-ambarin kaa dil hi miraa huaa hai lo saanp aastin kaa us ko khayaal aayaa phir us but-e-hasin kaa allaah hai nigahbaan mere dil-e-hazin kaa go paas vo nahin hain par dekhtaa huun har dam letaa huun main tasavvur se kaam durbin kaa huron ke zikr par main aayaa nahin huun vaaiz mujh ko khayaal is dam aayaa hai ik hasin kaa kuchh iztiraab dil kaa be-taabi-e-jigar kuchh us ko sunaa diyaa yuun qissa kahin kahin kaa tujh ko jo hai mukarnaa mahshar mein mere khuun se qaatil chhuDaa le pahle dhabbaa tu aastin kaa"
Faheem GorakhpuriFaheem Gorakhpuri
Quote
"kyon kahun main ki sitam kaa main sazaa-vaar na thaa dil diyaa thaa tujhe kis tarah gunahgaar na thaa umr bhar mujh se thi har ek ko be-vajh khalish kyunki main gulshan-e-aalam mein koi khaar na thaa kyaa na kuchh ho gayaa ik ghairat-e-yusuf ke liye kab mohabbat mein main rusvaa sar-e-baazaar na thaa kyaa ye kartaa mire zakhm-e-jigar-o-dil kaa ilaaj charkh-e-be-rahm koi marham-e-zangaar na thaa fard niklaa fan-e-duzdi mein khayaal-e-dilbar us kaa aanaa thaa ki pahlu mein dil-e-zaar na thaa kyaa bahaltaa gul-o-sumbul se chaman mein miraa dil vo tiri zulf na thaa ye tiraa rukhsaar na thaa apni qismat hi kaa shaaki main mohabbat mein rahaa shikva-e-charkh na thaa kuchh gila-e-yaar na thaa hashr ke roz mire husn-e-gunah kaa yaarab teri rahmat ke sivaa koi kharidaar na thaa teri aankhon ki mohabbat kaa faqat thaa use rog varna kuchh nargis-e-bimaar ko aazaar na thaa tum ne mahfil mein jagah di use hasrat hai mujhe ghair is aav-bhagat kaa to sazaa-vaar na thaa nargis us aankh ki bimaar-e-gul us rukh pe nisaar baagh-e-aalam mein kise ishq kaa aazaar na thaa ho gai rasm-e-mulaaqaat chalo bahs hai kyaa tum khataa par na the aur main bhi vafaadaar na thaa do pyaalon mein hai saaqi ke ajab kaif 'fahim' aankhein milte hi vo thaa kaun jo sarshaar na thaa"
Faheem GorakhpuriFaheem Gorakhpuri
Quote
"iqraar hi ke saath ye inkaar abhi se dil toDte ho kyon miraa paimaan-shikani se har ik ko hai ab uns usi but ki gali se viraan huiin masjidein suune hain kalise bosa hi mujhe do jo nahin vasl pe raazi achchhaa hai vahi kaam jo ho jaae khushi se vaaiz jo pataa khuld kaa puchhe to bataa duun jannat ki taraf jaate hain us but ki gali se baaz aao buto apni jafaaon se khudaa-raa toDo na miraa shisha-e-dil tang-dili se tum aaj zarur aaoge lekin ye bataa do sachchaa koi iqraar kiyaa bhi hai kisi se puuraa kare allaah mire dil kaa iraada mar kar bhi na uTThun but-e-kaafir ki gali se vaaiz ye baraste hue baadal ye ghaTaaein main bach nahin saktaa kabhi tauba-shikani se main kis se 'fahim' aur kahun haal-e-gham apnaa allaah hai aagaah mire dard-e-dili se"
Faheem GorakhpuriFaheem Gorakhpuri
Quote
"aaj hain kaaba-nashin kal saakin-e-but-khaana ham apne begaane se yaksaan rakhte hain yaaraana ham ham to qaail hain tire ai be-khudi-e-ishq jab ghair kyaa hai khud hon apni yaad se begaana ham le liyaa logon ne haathon haath ham pahonche jahaan mahfil-e-aalam mein hain shaayad koi paimaana ham chashm-e-mast-e-saaqi-e-madhosh ki rahti hai yaad saath-saath apne liye phirte hain ik mai-khaana ham aatish-e-rashk-e-adu se raat-bhar ai shama-ru teri mahfil mein jale hain surat-e-parvaana ham hijr-e-saaqi mein hai ye kaifiyyat-e-josh-e-junun pheinkte hain toDte hain shisha-o-paimaana ham ishq mein divaangi kaa naam hai farzaangi jo na samjhe is ko samjheinge use divaana ham qaid-e-mazhab se tire paaband-e-ulfat hain bari kyaa gharaz kyon jaaein su-e-kaaba-o-but-khaana ham aaj hai is shart par tauba-shikan hone kaa qasd abr udhar chhaae to chalkaaein idhar paimaana ham daagh-haa-e-dil chamak kar ab ye kahte hain 'fahim' hai ye ghar raushan hamin se hain charaagh-e-khaana ham"
Faheem GorakhpuriFaheem Gorakhpuri

More on Gul

View all →
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
Irfan SattarIrfan Sattar