SHAWORDS

ek main bhi huun kulah-daaron ke biich — Obaidullah Aleem

"ek main bhi huun kulah-daaron ke biich 'mir' saahab ke parastaaron ke biich raushni aadhi idhar aadhi udhar ik diyaa rakkhaa hai divaaron ke biich main akeli aankh thaa kyaa dekhtaa aaina-khaane the nazzaaron ke biich hai yaqin mujh ko ki sayyaare pe huun aadmi rahte hain sayyaaron ke biich khaa gayaa insaan ko aashob-e-maaash aa gae hain shahr baazaaron ke biich main faqir ibn-e-faqir ibn-e-faqir aur askandar huun sardaaron ke biich apni viraani ke gauhar roltaa raqs mein huun aur baazaaron ke biich koi us kaafir ko us lamhe sune guftugu kartaa hai jab yaaron ke biich ahl-e-dil ke darmiyaan the 'mir' tum ab sukhan hai shoabada-kaaron ke biich aankh vaale ko nazar aae 'alim' ik mohammad-mustafaa saaron ke biich"
Urdu

ایک میں بھی ہوں کلہ داروں کے بیچ میرؔ صاحب کے پرستاروں کے بیچ روشنی آدھی ادھر آدھی ادھر اک دیا رکھا ہے دیواروں کے بیچ میں اکیلی آنکھ تھا کیا دیکھتا آئینہ خانہ تھے نظاروں کے بیچ ہے یقیں مجھ کو کہ سیارے پہ ہوں آدمی رہتے ہیں سیاروں کے بیچ کھا گیا انساں کو آشوب معاش آ گئے ہیں شہر بازاروں کے بیچ میں فقیر ابن فقیر ابن فقیر اور اسکندر ہوں سرداروں کے بیچ اپنی ویرانی کے گوہر رولتا رقص میں ہوں اور بازاروں کے بیچ کوئی اس کافر کو اس لمحے سنے گفتگو کرتا ہے جب یاروں کے بیچ اہل دل کے درمیاں تھے میرؔ تم اب سخن ہے شعبدہ کاروں کے بیچ آنکھ والے کو نظر آئے علیمؔ اک محمد مصطفی ساروں کے بیچ

Hindi

एक मैं भी हूँ कुलह-दारों के बीच 'मीर' साहब के परस्तारों के बीच रौशनी आधी इधर आधी उधर इक दिया रक्खा है दीवारों के बीच मैं अकेली आँख था क्या देखता आईना-ख़ाने थे नज़्ज़ारों के बीच है यक़ीं मुझ को कि सय्यारे पे हूँ आदमी रहते हैं सय्यारों के बीच खा गया इंसाँ को आशोब-ए-मआश आ गए हैं शहर बाज़ारों के बीच मैं फ़क़ीर इब्न-ए-फ़क़ीर इब्न-ए-फ़क़ीर और अस्कंदर हूँ सरदारोँ के बीच अपनी वीरानी के गौहर रोलता रक़्स में हूँ और बाज़ारों के बीच कोई उस काफ़िर को उस लम्हे सुने गुफ़्तुगू करता है जब यारों के बीच अहल-ए-दिल के दरमियाँ थे 'मीर' तुम अब सुख़न है शोबदा-कारों के बीच आँख वाले को नज़र आए 'अलीम' इक मोहम्मद-मुस्तफ़ा सारों के बीच

ek maiñ bhī huuñ kulah-dāroñ ke biich
Obaidullah Aleem
Obaidullah Aleem
Obaidullah Aleem
poet18 quotes

More by Obaidullah Aleem

View all →
Quote
"hanso to rang huun chehre kaa rovo to chashm-e-nam mein huun tum mujh ko mahsus karo to har mausam mein huun chaahaa thaa jise vo mil bhi gayaa par khvaab bhare hain aankhon mein ai mere lahu ki lahar bataa ab kaun se main aalam mein huun log mohabbat karne vaale dekheinge tasvir apni ek shuaa-e-aavaara huun aaina-e-shabnam mein huun us lamhe to gardish-e-khun ne meri ye mahsus kiyaa jaise sar pe zamin uThaae ik raqs-e-paiham mein huun yaar miraa zanjirein pahne aayaa hai baazaaron mein main ki tamaashaa dekhne vaale logon ke maatam mein huun jo likkhe vo khvaab mire ab aankhon aankhon zinda hain jo ab tak nahin likh paayaa main un khvaabon ke gham mein huun"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"saahib-e-mehr-o-vafaa arz-o-samaa kyuun chup hai ham pe to vaqt ke pahre hain khudaa kyuun chup hai be-sabab gham mein sulagnaa miri aadat hi sahi saaz khaamosh hai kyuun shola-navaa kyuun chup hai phuul to sahm gae dast-e-karam se dam-e-subh gungunaati hui aavaara sabaa kyuun chup hai khatm hogaa na kabhi silsila-e-ahl-e-vafaa soch ai daavar-e-maqtal ye fazaa kyuun chup hai mujh pe taari hai rah-e-ishq ki aasuda thakan tujh pe kyaa guzri mire chaand bataa kyuun chup hai jaanne vaale to sab jaan gae honge 'alim' ek muddat se tiraa zehn-e-rasaa kyuun chup hai"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"chehra huaa main aur miri tasvir hue sab main lafz huaa mujh mein hi zanjir hue sab buniyaad bhi meri dar-o-divaar bhi mere taamir huaa main ki ye taamir hue sab vaise hi likhoge to miraa naam bhi hogaa jo lafz likhe vo miri jaagir hue sab marte hain magar maut se pahle nahin marte ye vaaqia aisaa hai ki dil-gir hue sab vo ahl-e-qalam saaya-e-rahmat ki tarah the ham itne ghaTe apni hi taazir hue sab us lafz ki maanind jo khultaa hi chalaa jaae ye zaat-o-zamaan mujh se hi tahrir hue sab itnaa sukhan-e-'mir' nahin sahl khudaa khair naqqaad bhi ab mo'taqid-e-'mir' hue sab"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"ye aur baat ki is ahd ki nazar mein huun abhi main kyaa ki abhi manzil-e-safar mein huun abhi nazar nahin aisi ki duur tak dekhun abhi khabar nahin mujh ko ki kis asar mein huun pighal rahe hain jahaan log shoala-e-jaan se sharik main bhi isi mahfil-e-hunar mein huun jo chaahe sajda guzaare jo chaahe Thukraa de paDaa huaa main zamaane ki rahguzar mein huun jo saaya ho to Darun aur dhuup ho to jalun ki ek nakhl-e-numu khaak-e-nauha-gar mein huun kiran kiran kabhi khurshid ban ke niklungaa abhi charaagh ki surat mein apne ghar mein huun bichhaD gai hai vo khushbu ujaD gayaa hai vo rang bas ab to khvaab saa kuchh apni chashm-e-tar mein huun"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"paa-ba-zanjir sahi zamzama-khvaan hain ham log mahfil-e-vaqt tiri ruh-e-ravaan hain ham log dosh par baar-e-shab-e-gham liye gul ki maanind kaun samjhe ki mohabbat ki zabaan hain ham log khuub paayaa hai sila teri parastaari kaa dekh ai subh-e-tarab aaj kahaan hain ham log ik mataa-e-dil-o-jaan paas thi so haar chuke haae ye vaqt ki ab khud pe garaan hain ham log nikhat-e-gul ki tarah naaz se chalne vaalo ham bhi kahte the ki aasuda-e-jaan hain ham log koi batlaae ki kaise ye khabar aam karein DhunDti hai jise duniyaa vo nishaan hain ham log qismat-e-shab-zadagaan jaag hi jaaegi 'alim' jaras-e-qaafila-e-khush-khabraan hain ham log"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"kuchh to bataao shaair-e-bedaar kyaa huaa kis ki talaash hai tumhein aur kaun kho gayaa aankhon mein raushni bhi hai viraaniyaan bhi hain ik chaand saath saath hai ik chaand gah gayaa tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa tum hi kaho ki ho bhi sakegaa miraa ilaaj agli mohabbaton ke mire zakhm-aashnaa jhaankaa hai main ne khalvat-e-jaan mein nigaar-e-jaan koi nahin hai koi nahin hai tire sivaa vo aur thaa koi jise dekhaa hai bazm mein gar mujh ko DhunDnaa hai miri khalvaton mein aa ai mere khvaab aa miri aankhon ko rang de ai meri raushni tu mujhe raastaa dikhaa ab aa bhi jaa ki subh se pahle hi bujh na jaaun ai mere aaftaab bahut tez hai havaa yaa-rab ataa ho zakhm koi sher-aafrin ik umr ho gai ki miraa dil nahin dukhaa vo daur aa gayaa hai ki ab saahibaan-e-dard jo khvaab dekhte hain vahi khvaab naa-rasaa daaman bane to rang huaa dastaras se duur mauj-e-havaa hue to hai khushbu gurez-paa likkhein bhi kyaa ki ab koi ahvaal-e-dil nahin chikhein bhi kyaa ki ab koi suntaa nahin sadaa aankhon mein kuchh nahin hai ba-juz khaak-e-rahguzar siine mein kuchh nahin hai ba-juz naala-o-navaa pahchaan lo hamein ki tumhaari sadaa hain ham sun lo ki phir na aaeinge ham se ghazal-saraa"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil