Quote
"vo baat kyaa thi ki jis kaa asar nahin jaataa kisi kaa zehn tiri baat par nahin jaataa zamin ke itne se TukDe pe itni divaarein ki ek shakhs idhar se udhar nahin jaataa vo chaand taar-e-garebaan mein jaa ke aTkaa hai tamaam aasmaan daaman mein bhar nahin jaataa sitam ke haath the aur aasmaan ko chhute the zaraa jhukaa diyaa hotaa to sar nahin jaataa vahi lapak hai sinaan mein chamak hai khanjar mein agarche mere qabile kaa Dar nahin jaataa gumaan ke haath se mash'al kahaan pe jaa ke giri agar main apni hadon se guzar nahin jaataa kuchh aur teri taraf se umiid rakhtaa huun main is tarah ki 'inaayaat par nahin jaataa vo tum hi the jo basar kar gae 'atiqullaah jahaan se itnaa koi be-khabar nahin jaataa"
