SHAWORDS

ek tartib se jab ashk numudaar hue — Aarib Hashmi

HomeAarib HashmiGhazal
"ek tartib se jab ashk numudaar hue phir ye jaanaa ki mohabbat mein giraftaar hue ab miri niind ke raste mein khaDe rahte hain chand saae jo mire khauf se tayyaar hue tire badle hue lahje ne ravayya badlaa aise badle ki tire naam se bezaar hue ab to koi bhi nahin haal sunaaein jis ko muddatein ho gaiin be-yaar-o-madadgaar hue taa-dam-e-marg siyah-posh hamein rahnaa hai yaani ham log to paidaa hi azaadaar hue"
Urdu

ایک ترتیب سے جب اشک نمودار ہوئے پھر یہ جانا کہ محبت میں گرفتار ہوئے اب مری نیند کے رستے میں کھڑے رہتے ہیں چند سائے جو مرے خوف سے تیار ہوئے ترے بدلے ہوئے لہجے نے رویہ بدلا ایسے بدلے کہ ترے نام سے بیزار ہوئے اب تو کوئی بھی نہیں حال سنائیں جس کو مدتیں ہو گئیں بے یار و مددگار ہوئے تا دم مرگ سیہ پوش ہمیں رہنا ہے یعنی ہم لوگ تو پیدا ہی عزادار ہوئے

Hindi

एक तरतीब से जब अश्क नुमूदार हुए फिर ये जाना कि मोहब्बत में गिरफ़्तार हुए अब मिरी नींद के रस्ते में खड़े रहते हैं चंद साए जो मिरे ख़ौफ़ से तय्यार हुए तिरे बदले हुए लहजे ने रवय्या बदला ऐसे बदले कि तिरे नाम से बेज़ार हुए अब तो कोई भी नहीं हाल सुनाएँ जिस को मुद्दतें हो गईं बे-यार-ओ-मददगार हुए ता-दम-ए-मर्ग सियह-पोश हमें रहना है या'नी हम लोग तो पैदा ही अज़ादार हुए

ek tartīb se jab ashk numūdār hue
Aarib Hashmi
Aarib Hashmi
Aarib Hashmi
poet24 quotes

More by Aarib Hashmi

View all →
Quote
"nahin chaahaa thaa ye kyaa ho gayaa hai use mujh par bharosa ho gayaa hai ye ik duuje kaa dukh bhi baanTte naiin mere logon ko ye kyaa ho gayaa hai bujhaa do taaq mein jalte diyon ko idhar dekho ujaalaa ho gayaa hai mayassar hai sabhi ko teri qurbat to kyaa tu itnaa sastaa ho gayaa hai buraa kahti thi jis ko saari duniyaa kahaa tum ne to achchhaa ho gayaa hai uThi jo aankh manzil saamne thi dharaa paaon to rasta ho gayaa hai falak ko chhu ke lauT aaiin duaaein ye mere saath dhokaa ho gayaa hai udhar niklaa vo mashkiza uThaa kar idhar har shakhs pyaasaa ho gayaa hai tire bin bhi guzaaraa zindagi ko sitam ye hai guzaaraa ho gayaa hai mujhe us ki khabar kaise ho 'aarib' mile jo ek arsa ho gayaa hai"
Aarib HashmiAarib Hashmi
Quote
"ghamon ki dhuup thi aur saaebaan na miltaa thaa gharon se nikle huon ko makaan na miltaa thaa hamaare paanv ke niche zamin thi lekin hamaare sar pe koi aasmaan na miltaa thaa tumhaaraa khoyaa huaa lams apne kamre mein vahin pe DhunDh rahe the jahaan na miltaa thaa jo dard ham ne sanbhaalaa huaa thaa siine mein kise sunaate koi mehrbaan na miltaa thaa jo saans saans mayassar rahaa mujhe barson bichhaD gae to phir us kaa nishaan na miltaa thaa nai nai thi mohabbat magar dilon mein thi ye aisi aag thi jis kaa dhuaan na miltaa thaa vo roz baagh mein aati thi sair karne ko parinde khush the unhein aab-o-daana miltaa thaa ye log jis ke bahaao ke giit gaate the hamein vo dariyaa kabhi bhi ravaan na miltaa thaa ham aise bolne vaale kahaan the par 'aarib' vo boltaa to hamein bhi bahaana miltaa thaa"
Aarib HashmiAarib Hashmi

More on Mohabbat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud