SHAWORDS

ek TuuTi kamaan rakhtaa huun — Khayal Laddakhi

"ek TuuTi kamaan rakhtaa huun phir hatheli pe jaan rakhtaa huun munfarid apni shaan rakhtaa huun ik balaa kaa gumaan rakhtaa huun un ko un ki anaa mubaarak ho main bhi apnaa jahaan rakhtaa huun dair-o-masjid se huun agar vaaqif mai-kade kaa bhi dhyaan rakhtaa huun tarz-e-masnad hai ye zamin mujh ko chhat ko ik aasmaan rakhtaa huun der lagti hai mujh ko girne mein saath mein paasbaan rakhtaa huun meraa bolaa koi nahin bole main kahaan ham-zabaan rakhtaa huun tegh rakhtaa huun main qalam apni lek miThi zabaan rakhtaa huun khuun diyaa hai 'khayaal' harfon ko ab main lafzon mein jaan rakhtaa huun"
Urdu

ایک ٹوٹی کمان رکھتا ہوں پھر ہتھیلی پہ جان رکھتا ہوں منفرد اپنی شان رکھتا ہوں اک بلا کا گمان رکھتا ہوں ان کو ان کی انا مبارک ہو میں بھی اپنا جہان رکھتا ہوں دیر و مسجد سے ہوں اگر واقف میکدے کا بھی دھیان رکھتا ہوں طرز مسند ہے یہ زمیں مجھ کو چھت کو اک آسمان رکھتا ہوں دیر لگتی ہے مجھ کو گرنے میں ساتھ میں پاسبان رکھتا ہوں میرا بولا کوئی نہیں بولے میں کہاں ہم زبان رکھتا ہوں تیغ رکھتا ہوں میں قلم اپنی لیک میٹھی زبان رکھتا ہوں خوں دیا ہے خیالؔ حرفوں کو اب میں لفظوں میں جان رکھتا ہوں

Hindi

एक टूटी कमान रखता हूँ फिर हथेली पे जान रखता हूँ मुनफ़रिद अपनी शान रखता हूँ इक बला का गुमान रखता हूँ उन को उन की अना मुबारक हो मैं भी अपना जहान रखता हूँ दैर-ओ-मस्जिद से हूँ अगर वाक़िफ़ मय-कदे का भी ध्यान रखता हूँ तर्ज़-ए-मसनद है ये ज़मीं मुझ को छत को इक आसमान रखता हूँ देर लगती है मुझ को गिरने में साथ में पासबान रखता हूँ मेरा बोला कोई नहीं बोले मैं कहाँ हम-ज़बान रखता हूँ तेग़ रखता हूँ मैं क़लम अपनी लेक मीठी ज़बान रखता हूँ ख़ूँ दिया है 'ख़याल' हर्फ़ों को अब मैं लफ़्ज़ों में जान रखता हूँ

ek TuuTī kamān rakhtā huuñ
Khayal Laddakhi
Khayal Laddakhi
Khayal Laddakhi
poet10 quotes

More by Khayal Laddakhi

View all →
Quote
"maazi ke khayaalaat se rishta nahin meraa bhuli hui har baat se rishta nahin meraa behosh qadam le ke chale jaate hain mujh ko varna to kharaabaat se rishta nahin meraa us daur ke haalaat ko bhulaa nahin ab tak is daur ke haalaat se rishta nahin meraa main apne hi ashkon kaa muhaafiz huun vagarna be-vaqt ki barsaat se rishta nahin meraa vaan shaad ho har koi yaan afsurda nigaahein kuchh aise musaavaat se rishta nahin meraa main fitna-e-imkaan-e-samaavaat se hairaan duniyaa ke khuraafaat se rishta nahin meraa mujh ko miri har ek 'ibaadat se sarokaar lafzon ke savaalaat se rishta nahin meraa apnon kaa sataayaa huun 'khayaal' aaj bhi lekin apni hi kisi zaat se rishta nahin meraa"
Khayal LaddakhiKhayal Laddakhi
Quote
"havaaon ko main paDhnaa siikh lungaa agar patton saa jhaDnaa siikh lungaa haqiqat se mukarnaa siikh lungaa chalo sajnaa sanvarnaa siikh lungaa rihaa kar do mujhe tum bandishon se main tanhaai se laDnaa siikh lungaa kharaaba raah mein mil jaae koi zaraa main bhi Thaharnaa siikh lungaa lakirein khul ke aaein saamne gar main qismat ko bhi paDhnaa siikh lungaa miri har ek khvaahish hogi puuri diye ko jab ragaDnaa siikh lungaa agar rishte nibhaanaa ho zaruri to main laDnaa-jhagaDnaa siikh lungaa safar ki Thokaron ke baa'd main bhi koi daaman pakaDnaa siikh lungaa abhi khauf-e-khudaa sar par hai taari kabhi khud se bhi Darnaa siikh lungaa banaanaa khud ko sikhaa zindagi-bhar 'khayaal' ab ke bigaDnaa siikh lungaa"
Khayal LaddakhiKhayal Laddakhi
Quote
"teraa husn-o-jamaal likhtaa huun 'ishq kaa 'arz-e-haal likhtaa huun meraa apnaa nahin hai kuchh bhi yahaan main kisi ke khayaal likhtaa huun maut ko apni taaq par rakh kar khud main apni majaal likhtaa huun us qayaamat se fursatein le kar is qayaamat kaa haal likhtaa huun khush-khiraami se munh chhupaa kar main dard-o-zaar-o-vabaal likhtaa huun raushnaai hai raushni mujh ko surkh rang-e-gulaal likhtaa huun vo hai ik but khamosh rahtaa hai main huun saail savaal likhtaa huun ek puuri ghazal likhi lekin ik adhuraa malaal likhtaa huun yuun to likhtaa nahin huun main aksar likh diyaa to kamaal likhtaa huun log sunte nahin hain jab mujh ko tab main jaa kar 'khayaal' likhtaa huun"
Khayal LaddakhiKhayal Laddakhi
Quote
"jab kali par shabaab aataa hai nikhat-e-gul ko taab aataa hai der ho jaae shaikh tauba mein jald vaqt-e-hisaab aataa hai itni be-sudh hain dhaDkanein meri kyaa koi be-hijaab aataa hai phir vo kahte hain dekh kar mujh ko lo vo khaana-kharaab aataa hai naam baaton mein jab miraa aae rukh pe rang-e-gulaab aataa hai do ghaDi maut rok le koi le ke qaasid javaab aataa hai daur-e-furqat na puchhiye ham se niind aae na khvaab aataa hai jab bhi hotaa huun mai-kade daakhil mujh pe daur-e-shabaab aataa hai vo jo ho jaaein ru-baru ham se ham ko un se hijaab aataa hai subh-dam us kaa baam par aanaa kaakulein pech-o-taab aataa hai jab jabin-e-'khayaal' jhuk jaae 'arsh se maahtaab aataa hai"
Khayal LaddakhiKhayal Laddakhi
Quote
"main shaayad khelne khaane lagaa huun ye lutf-e-zist jo paane lagaa huun main rasm-o-raah-o-andaaz-e-vafaa ko koi aaina dikhlaane lagaa huun haqiqat kuchh nahin duniyaa jahaan ki haqiqat khud ko samjhaane lagaa huun abhi hain marhale khushiyon ke baaqi ye kah kar dil ko bahlaane lagaa huun gurezaan ashk barsaane se aankhein magar main khuun barsaane lagaa huun abhi manjdhaar mein utri na nayyaa abhi lahron se ghabraane lagaa huun na suljhaa mujh se koi ek lamha tanaab-e-zist suljhaane lagaa huun bhalaa ho zindagi ke haadson kaa 'ajab lutf-e-qazaa paane lagaa huun lagaa kar maut ko siine se apne mujhe lagtaa hai ghar jaane lagaa huun mubaarak raunaqein duniyaa ki tum ko khudaa-haafiz ki main jaane lagaa huun vo jis ne zakhm-e-dil behtar diye hain usi ke zakhm sahlaane lagaa huun buraa ho raushni teri anaa kaa siyaahi se bhi ghabraane lagaa huun baDaa uubaa huaa huun sarkhushi se 'khayaal' ab gham ke sirhaane lagaa huun"
Khayal LaddakhiKhayal Laddakhi

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud