SHAWORDS

kasrat-e-jalva ko aaina-e-vahdat samjho — Saba Akbarabadi

"kasrat-e-jalva ko aaina-e-vahdat samjho jis ki surat nazar aae vahi surat samjho gham ko gham aur na musibat ko musibat samjho jo dar-e-dost se mil jaae ghanimat samjho jhuk ke jo sainkaDon fitnon ko jagaa sakti hain vo nigaahein agar uTThein to qayaamat samjho nahin hote hain riyaa-kaari ke sajde mujh se main agar sar na jhukaaun to ibaadat samjho rafta rafta miri khuddaari se vaaqif hoge abhi kuchh din mire andaaz-e-mohabbat samjho jalva dekhoge kahaan dil ke alaava apnaa mire TuuTe hue aaine ki qismat samjho kam nahin duur asiri mein sahaaraa ye bhi qaid mein yaad-e-nasheman ko ghanimat samjho khuub samjhaayaa hai ye kaatib-e-qismat ne hamein jo mayassar ho jahaan mein use qismat samjho ham-jafaaon ko bhi andaaz-e-inaayat samjhein aur tum shukr-e-sitam ko bhi shikaayat samjho meri aankhon mein abhi ashk bahut baaqi hain tum jo mahfil mein charaaghon ki zarurat samjho ai 'sabaa' kyuun ho dar-e-ghair pe tauhin-talab apne hi dar ko hamesha dar-e-daulat samjho"
Urdu

کثرت جلوہ کو آئینۂ وحدت سمجھو جس کی صورت نظر آئے وہی صورت سمجھو غم کو غم اور نہ مصیبت کو مصیبت سمجھو جو در دوست سے مل جائے غنیمت سمجھو جھک کے جو سینکڑوں فتنوں کو جگا سکتی ہیں وہ نگاہیں اگر اٹھیں تو قیامت سمجھو نہیں ہوتے ہیں ریاکاری کے سجدے مجھ سے میں اگر سر نہ جھکاؤں تو عبادت سمجھو رفتہ رفتہ مری خودداری سے واقف ہو گے ابھی کچھ دن مرے انداز محبت سمجھو جلوہ دیکھو گے کہاں دل کے علاوہ اپنا مرے ٹوٹے ہوئے آئینے کی قسمت سمجھو کم نہیں دور اسیری میں سہارا یہ بھی قید میں یاد نشیمن کو غنیمت سمجھو خوب سمجھایا ہے یہ کاتب قسمت نے ہمیں جو میسر ہو جہاں میں اسے قسمت سمجھو ہم جفاؤں کو بھی انداز عنایت سمجھیں اور تم شکر ستم کو بھی شکایت سمجھو میری آنکھوں میں ابھی اشک بہت باقی ہیں تم جو محفل میں چراغوں کی ضرورت سمجھو اے صباؔ کیوں ہو در غیر پہ توہین طلب اپنے ہی در کو ہمیشہ در دولت سمجھو

Hindi

कसरत-ए-जल्वा को आईना-ए-वहदत समझो जिस की सूरत नज़र आए वही सूरत समझो ग़म को ग़म और न मुसीबत को मुसीबत समझो जो दर-ए-दोस्त से मिल जाए ग़नीमत समझो झुक के जो सैंकड़ों फ़ित्नों को जगा सकती हैं वो निगाहें अगर उट्ठें तो क़यामत समझो नहीं होते हैं रिया-कारी के सज्दे मुझ से मैं अगर सर न झुकाऊँ तो इबादत समझो रफ़्ता रफ़्ता मिरी ख़ुद्दारी से वाक़िफ़ होगे अभी कुछ दिन मिरे अंदाज़-ए-मोहब्बत समझो जल्वा देखोगे कहाँ दिल के अलावा अपना मिरे टूटे हुए आईने की क़िस्मत समझो कम नहीं दूर असीरी में सहारा ये भी क़ैद में याद-ए-नशेमन को ग़नीमत समझो ख़ूब समझाया है ये कातिब-ए-क़िस्मत ने हमें जो मयस्सर हो जहाँ में उसे क़िस्मत समझो हम-जफ़ाओं को भी अंदाज़-ए-इनायत समझें और तुम शुक्र-ए-सितम को भी शिकायत समझो मेरी आँखों में अभी अश्क बहुत बाक़ी हैं तुम जो महफ़िल में चराग़ों की ज़रूरत समझो ऐ 'सबा' क्यूँ हो दर-ए-ग़ैर पे तौहीन-तलब अपने ही दर को हमेशा दर-ए-दौलत समझो

kasrat-e-jalva ko ā.īna-e-vahdat samjho
Saba Akbarabadi
Saba Akbarabadi
Saba Akbarabadi
poet44 quotes

More by Saba Akbarabadi

View all →
Quote
"yagaana ban ke ho jaae vo begaana to kyaa hogaa jo pahchaanaa to kyaa hogaa na pahchaanaa to kyaa hogaa kisi ko kyaa khabar aansu hain kyuun chashm-e-mohabbat mein fughaan se guunj uTThegaa jo viraana to kyaa hogaa hamaari si mohabbat tum ko ham se ho to kyaa guzre banaa de shama ko bhi ishq parvaana to kyaa hogaa yahi hogaa ki duniyaa aql kaa anjaam dekhegi had-e-vahshat se baDh jaaegaa divaana to kyaa hogaa taassub darmiyaan se aap ko vaapas na le aae haram ki raah mein niklaa sanam-khaana to kyaa hogaa tasavvur kijiye us aane vaale daur-e-barham kaa gadaa toDeinge jab pindaar-e-shaahaana to kyaa hogaa miTaa do hasrat-e-aabaadi-e-dil bhi mire dil se ye jitnaa ab hai is se aur viraana to kyaa hogaa na tum aaoge na aavaaz apni lauT paaegi pukaaregaa tumhein sahraa mein divaana to kyaa hogaa fareb-e-zindagi ki daastaan kahne ko kyaa kam hai qayaamat mein zabaan par aur afsaana to kyaa hogaa lahu ke daagh baDh jaaeinge kuchh divaar-e-zindaan par khafaa ho jaaegaa zindaan se divaana to kyaa hogaa mudaavaa ho nahin saktaa hai dil par choT khaane kaa mire qadmon pe rakh do taaj-e-shaahaana to kyaa hogaa 'sabaa' jo zindagi bhigi hui hai baarish-e-gul se bulaaegaa kisi din us ko viraana to kyaa hogaa"
Saba AkbarabadiSaba Akbarabadi
Quote
"us kaa vaada taa-qayaamat kam se kam aur yahaan marne ki fursat kam se kam sah sake dard-e-mohabbat kam se kam dil mein itni to ho taaqat kam se kam is ki yaadon se kahaan hai dushmani shama jalti shaam-e-furqat kam se kam us ke milne se na hoti raushni ghaT to jaati gham ki zulmat kam se kam dekhne se un ke ye haasil huaa ho gai apni ziyaarat kam se kam us ke khat mein aur sab kuchh thaa magar sirf matlab ki ibaarat kam se kam dard dene ke vahaan saamaan bahut aur taDapne ki ijaazat kam se kam kyuun gham-e-dauraan ziyaada mil gayaa thi hamein jis ki zarurat kam se kam khair tum se dosti mushkil sahi rahne do saahib-salaamat kam se kam dekh kar un ko ye andaaza huaa hogi aisi hi qayaamat kam se kam daulat-e-gham ki faraavaani sahi daaman-e-dil mein hai vusat kam se kam gham nahin jo chand yaadein saath thiin kar to li dil ki hifaazat kam se kam sina-chaaki umr bhar ki hai 'sabaa' zakhm silne ki thi muddat kam se kam"
Saba AkbarabadiSaba Akbarabadi
Quote
"aaina ban jaaiye jalva-asar ho jaaiye saamne vo hon to sar-taa-paa nazar ho jaaiye soz-e-dil se gosha-e-tanhaai mein kyaa faaeda is tarah jaliye charaagh-e-rahguzar ho jaaiye is udaasi kaa dhundlakaa khatm ho shaayad kabhi shaam se pahle hi unvaan-e-sahar ho jaaiye manzil-e-ulfat pe dil tanhaa pahunch saktaa nahin aap agar chaahein to mere ham-safar ho jaaiye khud-bakhud saare zamaane ko khabar ho jaaegi hoshiyaari hai ki sab se be-khabar ho jaaiye shauq kahtaa hai ki sajdon mein tasalsul chaahiye dil ye kahtaa hai ki jazb-e-sang-e-dar ho jaaiye jab kisi se pesh-qadmi zulm ki rukti na ho us jagah laazim hai khud sina-sipar ho jaaiye ik azaab-e-mustaqil hai fikr-e-taamir-e-makaan saakin-e-sahraa-e-be-divaar-o-dar ho jaaiye kashmakash mein infiraadiyyat zaruri hai 'sabaa' jis taraf koi nahin hotaa udhar ho jaaiye"
Saba AkbarabadiSaba Akbarabadi
Quote
"tujh se daaman-kashaan nahin huun main ai zamin aasmaan nahin huun main kaarvaan mere baad aaegaa gard huun kaarvaan nahin huun main phail saktaa huun chhaa nahin saktaa raushni huun dhuaan nahin huun main naaz hai mujh pe mere saane ko zahmat-e-raaegaan nahin huun main juzv huun ek jaavedaan kul kaa haan agar jaavedaan nahin huun main apni taqdir par yaqin nahin aap se bad-gumaan nahin huun main dar-o-bast-e-chaman ko kyaa jaanun phuul huun baaghbaan nahin huun main zindagi par bahaar hai mujh se zindagi ki khizaan nahin huun main yaa nigaah-e-talab huun yaa jalva parda-e-darmiyaan nahin huun main sochne dijiye maaal-e-vafaa aap se sargiraan nahin huun main maut se chheD-chhaaD jaari hai ziist kaa nauha-khvaan nahin huun main aashiyaan kyaa banaaun gulshan mein qaabil-e-aashiyaan nahin huun main ai gham-e-sabr-aazmaa sun le qaabil-e-imtihaan nahin huun main yusufon kaa hai kaarvaan mire saath yusuf-e-kaarvaan nahin huun main main 'sabaa' aah bhi nahin kartaa aashnaa-e-fughaan nahin huun main"
Saba AkbarabadiSaba Akbarabadi
Quote
"tum ne rasm-e-jafaa uThaa di hai hamein kis jurm ki sazaa di hai sham-e-ummid kyuun jalaa di hai ishq taarikiyon kaa aadi hai aap ne khud mujhe sadaa di hai yaa miri quvvat-e-iraadi hai ham to muddat ke mar gae hote maut ne zindagi baDhaa di hai ab duaa par bhi e'timaad nahin naa-muraadi si naa-muraadi hai tujh saa bedaad-gar kahaan hogaa lab-e-har-zakhm ne duaa di hai mukhtalif hain tasavvuraat-e-jamaal ye aqida bhi infiraadi hai dekh fitrat ki bazm-aaraai khaak par chaandni bichhaa di hai ye jo chhoTi si hai kali sar-e-shaakh baagh ki baad shaahzaadi hai lab-e-tasvir-e-dost kuchh to bataa kis ne ye khaamushi sikhaa di hai ai 'sabaa' kimiya-e-gham ke liye zindagi khaak mein milaa di hai"
Saba AkbarabadiSaba Akbarabadi
Quote
"puuri mire junun ki zarurat na kar sake sahraa-e-jaan bhi ho to kifaalat na kar sake sai-o-amal ki ruuh mohabbat ke saath thi vo kuchh na kar sake jo mohabbat na kar sake duniyaa mein jitne gham mile dil mein basaa liye ham sirf tere gham pe qanaaat na kar sake apnaa hi haal-e-zaar sunaate rahe tujhe lekin tire sitam ki shikaayat na kar sake taaraaj kar ke ishq ki basti chale gae tum fath kar ke dil pe hukumat na kar sake duniyaa mein ab bhi log vafaa ke hain muddai haasil hamaare haal se ibrat na kar sake hai kaafir-e-adab mire mashrab mein ai 'sabaa' shaair jo ehtiraam rivaayat na kar sake"
Saba AkbarabadiSaba Akbarabadi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari