SHAWORDS

faaeda hai yaa khasaara ham ko sab maalum hai — Ahmad Iftikhar Khatak

"faaeda hai yaa khasaara ham ko sab maalum hai kyon karein ham istikhaara ham ko sab maalum hai log kyon khud ko bataate hain hamaaraa khair-khvaah kaun hai kitnaa hamaaraa ham ko sab maalum hai kis ke ghar mein tirgi kaa raaj thaa kal raat ko chaand kis ke ghar utaaraa ham ko sab maalum hai zindagi hai naam jis kaa zindagi hargiz nahin kar rahe hain sab guzaaraa ham ko sab maalum hai sau samundar aankh mein to sau kinaare haath par kyaa samundar kyaa kinaaraa ham ko sab maalum hai kyaa khuli hai kaaenaati ramz ki sachchi kitaab kyaa huaa hai aashkaaraa ham ko sab maalum hai jaan de kar hi bachaayaa ham ne is dastaar ko phir uThaa hai sar hamaaraa ham ko sab maalum hai apni aadat se to vaaqif hi nahin ab tak ye log lauT aaeinge dobaara ham ko sab maalum hai chaand zarra hai hamaari hi zamin kaa 'iftikhaar' aasmaan hai ik sitaaraa ham ko sab maalum hai"
Urdu

فائدہ ہے یا خسارہ ہم کو سب معلوم ہے کیوں کریں ہم استخارہ ہم کو سب معلوم ہے لوگ کیوں خود کو بتاتے ہیں ہمارا خیر خواہ کون ہے کتنا ہمارا ہم کو سب معلوم ہے کس کے گھر میں تیرگی کا راج تھا کل رات کو چاند کس کے گھر اتارا ہم کو سب معلوم ہے زندگی ہے نام جس کا زندگی ہرگز نہیں کر رہے ہیں سب گزارا ہم کو سب معلوم ہے سو سمندر آنکھ میں تو سو کنارے ہاتھ پر کیا سمندر کیا کنارا ہم کو سب معلوم ہے کیا کھلی ہے کائناتی رمز کی سچی کتاب کیا ہوا ہے آشکارا ہم کو سب معلوم ہے جان دے کر ہی بچایا ہم نے اس دستار کو پھر اٹھا ہے سر ہمارا ہم کو سب معلوم ہے اپنی عادت سے تو واقف ہی نہیں اب تک یہ لوگ لوٹ آئیں گے دوبارہ ہم کو سب معلوم ہے چاند ذرہ ہے ہماری ہی زمیں کا افتخارؔ آسماں ہے اک ستارا ہم کو سب معلوم ہے

Hindi

फ़ाएदा है या ख़सारा हम को सब मा'लूम है क्यों करें हम इस्तिख़ारा हम को सब मा'लूम है लोग क्यों ख़ुद को बताते हैं हमारा ख़ैर-ख़्वाह कौन है कितना हमारा हम को सब मा'लूम है किस के घर में तीरगी का राज था कल रात को चाँद किस के घर उतारा हम को सब मा'लूम है ज़िंदगी है नाम जिस का ज़िंदगी हरगिज़ नहीं कर रहे हैं सब गुज़ारा हम को सब मा'लूम है सौ समुंदर आँख में तो सौ किनारे हाथ पर क्या समुंदर क्या किनारा हम को सब मा'लूम है क्या खुली है काएनाती रम्ज़ की सच्ची किताब क्या हुआ है आश्कारा हम को सब मा'लूम है जान दे कर ही बचाया हम ने इस दस्तार को फिर उठा है सर हमारा हम को सब मा'लूम है अपनी आदत से तो वाक़िफ़ ही नहीं अब तक ये लोग लौट आएँगे दोबारा हम को सब मा'लूम है चाँद ज़र्रा है हमारी ही ज़मीं का 'इफ़्तिख़ार' आसमाँ है इक सितारा हम को सब मा'लूम है

fā.eda hai yā ḳhasāra ham ko sab ma.alūm hai
Ahmad Iftikhar Khatak
Ahmad Iftikhar Khatak
Ahmad Iftikhar khatak
poet10 quotes

More by Ahmad Iftikhar Khatak

View all →
Quote
"miraa ham-safar kabhi vahm thaa kabhi khvaab thaa kabhi kyaa rahaa main ajiib haal mein mast thaa so miraa mazaaq banaa rahaa miri mushkilon ne ayaan kiyaa miraa yaar dost koi nahin so qabil-e-hirs-o-havaas mein main akelaa DaT ke khaDaa rahaa mire aashiyaan ko jalaa gaiin mire khaam soch ki hiddatein miraa sar hayaa se na uTh sakaa main nadaamaton mein paDaa rahaa tujhe fakhr thaa tire husn par mujhe zoam thaa mire ishq kaa tu paDi rahi kisi sej par main bhi gard-e-raah banaa rahaa tire lams lams se ji uThaa mire sard jism kaa rome rome tu miri gali se chali gai main tiri gali mein paDaa rahaa mire baagh-e-dil pe khizaan rahi miri shaakh shaakh ujaD gai mire paanv khuun se tar-ba-tar miraa zakhm yuun bhi haraa rahaa"
Ahmad Iftikhar KhatakAhmad Iftikhar Khatak
Quote
"tujh se mil kar yaqin huaa hai mujhe ishq ab tak nahin huaa hai mujhe khaak hi khaak hai jahaan dekhun aasmaan bhi zamin huaa hai mujhe khuun aankhon se kyon nahin Tapkaa dard dil ke qarin huaa hai mujhe naqs laataa hai saamne mere aaina nukta-chin huaa hai mujhe ye jo ehsaas-e-zindagi hai ye shaairi ke taiin huaa hai mujhe main kaDi dhuup mein huun aur tiraa dhyaan saaya-e-ambarin huaa hai mujhe is se pahle main khairiyat se thaa jo huaa hai yahin huaa hai mujhe meri yaad-daasht kho gai 'ahmad' kyaa huaa kyaa nahin huaa hai mujhe"
Ahmad Iftikhar KhatakAhmad Iftikhar Khatak
Quote
"khvaab to khulte the mujh par dar koi khultaa na thaa aasmaan sab khul chuke the par koi khultaa na thaa saamne se saare manzar saaf dikhte the magar ek manzar aisaa ki andar koi khultaa na thaa jaane kaise shahr mein apne qadam paDne lage band dil ke log the khul kar koi khultaa na thaa gu-magu ke din the vo masjid koi chalti na thi khauf ki devi kaa Dar mandir koi khultaa na thaa ab jidhar se bhi main guzrun dekhte hain mujh ko log mujh pe aise din bhi guzre dar koi khultaa na thaa dekhtaa rahtaa thaa shab bhar aasmaanon ki taraf dida-e-khun-baar se manzar koi khultaa na thaa mil hi jaanaa thaa mujhe apne lahu kaa bhi suraagh bad-nasibi thi miri khanjar koi khultaa na thaa khvaab dekhaa aarzu-e-shahr mein vo 'iftikhaar' sab guzarte the magar mujh par koi khultaa na thaa"
Ahmad Iftikhar KhatakAhmad Iftikhar Khatak
Quote
"badan ke dasht ko aabaad kyon nahin karte havas bhi hai to kuchh ijaad kyon nahin karte har ik khayaal ko baandhaa huaa hai lafzon se na jaane tum unhein aazaad kyon nahin karte jalaate kyon nahin is qabr par charaagh koi miraa khayaal mire baad kyon nahin karte agar milaa hai tumhein dard to bataao hamein karaahte nahin fariyaad kyon nahin karte tamaam log azal se hain gosh-bar-aavaaz khamosh rahte ho irshaad kyon nahin karte ye jabr-e-naaravaa apni samajh se hai baahar jo yaad aae use yaad kyon nahin karte buraa hi kyaa hai mohabbat mein raat-din 'ahmad' sulag ke yaad ki imdaad kyon nahin karte"
Ahmad Iftikhar KhatakAhmad Iftikhar Khatak

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi