SHAWORDS

faisle vo na jaane kaise the — Farooq Engineer

"faisle vo na jaane kaise the raat ki raat ghar se nikle the yaad aate hain ab bhi rah rah kar shahr mein kuchh to aise chehre the kyaa zamaana thaa vo ki ham donon ek-duje kaa dukh samajhte the kis kaDi dhuup ke safar mein hain naam peDon pe jin ke likkhe the jaane kis gul-badan ki yaad aai fasl-e-gul mein udaas baiThe the vaqt saa chaaragar bhi haar gayaa hijraton ke to zakhm aise the pahli baarish hi le gai 'faaruq' rang saare ke saare kachche the"
Urdu

فیصلے وہ نہ جانے کیسے تھے رات کی رات گھر سے نکلے تھے یاد آتے ہیں اب بھی رہ رہ کر شہر میں کچھ تو ایسے چہرے تھے کیا زمانہ تھا وہ کہ ہم دونوں ایک دوجے کا دکھ سمجھتے تھے کس کڑی دھوپ کے سفر میں ہیں نام پیڑوں پہ جن کے لکھے تھے جانے کس گل بدن کی یاد آئی فصل گل میں اداس بیٹھے تھے وقت سا چارہ گر بھی ہار گیا ہجرتوں کے تو زخم ایسے تھے پہلی بارش ہی لے گئی فاروقؔ رنگ سارے کے سارے کچے تھے

Hindi

फ़ैसले वो न जाने कैसे थे रात की रात घर से निकले थे याद आते हैं अब भी रह रह कर शहर में कुछ तो ऐसे चेहरे थे क्या ज़माना था वो कि हम दोनों एक-दूजे का दुख समझते थे किस कड़ी धूप के सफ़र में हैं नाम पेड़ों पे जिन के लिक्खे थे जाने किस गुल-बदन की याद आई फ़स्ल-ए-गुल में उदास बैठे थे वक़्त सा चारागर भी हार गया हिजरतों के तो ज़ख़्म ऐसे थे पहली बारिश ही ले गई 'फ़ारूक़' रंग सारे के सारे कच्चे थे

faisle vo na jaane kaise the
Farooq Engineer
Farooq Engineer
Farooq Engineer
poet28 quotes

More by Farooq Engineer

View all →
Quote
"gul-o-gulzaar guhar chaand sitaare bachche rang-o-bu nuur ke paikar hain ye saare bachche aaine hain ki damakte hue chehre in ke aise shaffaaf ki dariyaaon ke dhaare bachche kitne maasum ke ye saanp pakaDnaa chaahein kitne bhole hain ki chhute hain sharaare bachche aane vaalon ko bataa dete hain ghar ki baatein kab samajhte hain ye aankhon ke ishaare bachche khud se das-bis baras aur baDe lagte hain ghar banaate hue dariyaa ke kinaare bachche gaanv jaataa huun to chaupaal kaa ik buDhaa darakht baahein phailaa ke ye kahtaa ki aa re bachche ab na vo khel khilaune na sharaarat 'faaruq' kitne khaamosh akele hain hamaare bachche"
Farooq EngineerFarooq Engineer
Quote
"phuul khushbu chaandni mahtaab vo par miri khaatir hai koi khvaab vo apni apni uljhanon mein yaar gum ab kahaan hai halqa-e-ahbaab vo is qadar betaab aakhir kis liye ye nahin hai ai dil-e-be-taab vo bujh gayaa kuchh dil bhi ab ke hijr mein aur chehre par kahaan hai taab vo ek sahraa ki tarah main tishna-lab ek naddi ki tarah sairaab vo dushman-e-jaan hai magar achchhaa lagaa jaantaa hai kuchh adab aadaab vo jaagne kaa kaam mujh ko saunp kar dekhtaa rahtaa hai mere khvaab vo main huun arzaan saahilon ki ret saa aur koi gauhar-e-naayaab vo duur tak 'faaruq' tapti ret hai ab yahaan aate nahin sailaab vo"
Farooq EngineerFarooq Engineer
Quote
"ab ehtiraam hi kahiye use ki Dar ke gae tire dayaar mein saare savaar utar ke gae hai barg-o-baar kaa girnaa to qarz mausam kaa havaa-e-tund parinde kahaan shajar ke gae ho shahr shahr khamoshi kaa kuchh sabab shaayad magar vo shor-o-shaghab bhi to bahr-o-bar ke gae miri hi jaan ke dushman hain shaahkaar mire mire khilaaf karishme mire hunar ke gae har ik savaal kaa dete hain saaf saaf javaab vo kyaa gae ki bahaane agar magar ke gae kisi ke haath mein patthar kahaan vo sahn mein peD hamaare ahd se mausam shajar hajar ke gae hamein bhi kucha-e-qaatil kaa thaa chalan maalum isi liye to gali mein tiri sanvar ke gae to apne chaak-e-garebaan kaa aa gayaa hai khayaal tamaashaa dekhne jab log idhar-udhar ke gae na ishq hai vo na ghaalib na aastaan na vafaa usi ke saath hi qisse bhi sang-o-sar ke gae safar mein der talak ham-safar thaa ghar faaruq nazar mein duur talak aks baam-o-dar ke gae"
Farooq EngineerFarooq Engineer
Quote
"subh kaa dhokaa huaa hai shaam par chaand ko dekhaa achaanak baam par juz mire suraj parinde aadmi sab nikal jaate hain apne kaam par baaryaabi ke liye jaaein magar dil ThiThak jaataa hai pahle gaam par par lage khushbu ko tere zikr se muskuraae phuul tere naam par be-zarurat ghar se niklein aur phir shai kharidein koi mahnge daam par khaamushi achchhi hai lekin is qadar kuchh to bolein aap is kohraam par ai junun ye ji mein aataa hai kabhi vaqf kar dein khud ko tere naam par aankh mein 'faaruq' aansu aa gae kyaa fasaana aa gayaa anjaam par"
Farooq EngineerFarooq Engineer
Quote
"ye baat alag dil ko tiri yaad ne baandhaa is said ko varna kahaan sayyaad ne baandhaa kucha ye koi aur hi aabaad karegaa saamaan jo ab ke dil-e-barbaad ne baandhaa is shahr ko ab chhoD ke kyaa jaaun ki mujh ko rokaa hai kisi aah ne fariyaad ne baandhaa jo us ki talab hai vahi ab meri talab hai kis sehr se mujh ko mire ham-zaad ne baandhaa hamvaar hui raah na rasta hi khulaa hai baazu se to taaviz bhi afraad ne baandhaa ik koh-e-giraan toD diyaa par nahin toDaa paimaan-e-vafaa jab kisi farhaad ne baandhaa shaagird ke ab sher se hotaa hai baraamad mazmun bahut pahle jo ustaad ne baandhaa 'faaruq' nazar ho gai markuz usi par kyaa khuub adaaon se pari-zaad ne baandhaa"
Farooq EngineerFarooq Engineer

More on Yaad

View all →
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari