"bahut khuub naqsha mire ghar kaa hai koi khvaab phir bhi nae ghar kaa hai jo tere sivaa dil mein koi nahin to kyuun shor is mein bhare ghar kaa hai fazaa hai moattar havaa hai khunuk yaqinan ye rasta tire ghar kaa hai zamaane ki dil ko havaa lag gai vagarna ye laDkaa bhale ghar kaa hai safar zindagi hai to 'faaruq' phir khayaal aise mein kis liye ghar kaa hai"
phuul khushbu chaandni mahtaab vo — Farooq Engineer
"phuul khushbu chaandni mahtaab vo par miri khaatir hai koi khvaab vo apni apni uljhanon mein yaar gum ab kahaan hai halqa-e-ahbaab vo is qadar betaab aakhir kis liye ye nahin hai ai dil-e-be-taab vo bujh gayaa kuchh dil bhi ab ke hijr mein aur chehre par kahaan hai taab vo ek sahraa ki tarah main tishna-lab ek naddi ki tarah sairaab vo dushman-e-jaan hai magar achchhaa lagaa jaantaa hai kuchh adab aadaab vo jaagne kaa kaam mujh ko saunp kar dekhtaa rahtaa hai mere khvaab vo main huun arzaan saahilon ki ret saa aur koi gauhar-e-naayaab vo duur tak 'faaruq' tapti ret hai ab yahaan aate nahin sailaab vo"
پھول خوشبو چاندنی مہتاب وہ پر مری خاطر ہے کوئی خواب وہ اپنی اپنی الجھنوں میں یار گم اب کہاں ہے حلقۂ احباب وہ اس قدر بیتاب آخر کس لیے یہ نہیں ہے اے دل بے تاب وہ بجھ گیا کچھ دل بھی اب کے ہجر میں اور چہرے پر کہاں ہے تاب وہ ایک صحرا کی طرح میں تشنہ لب ایک ندی کی طرح سیراب وہ دشمن جاں ہے مگر اچھا لگا جانتا ہے کچھ ادب آداب وہ جاگنے کا کام مجھ کو سونپ کر دیکھتا رہتا ہے میرے خواب وہ میں ہوں ارزاں ساحلوں کی ریت سا اور کوئی گوہر نایاب وہ دور تک فاروقؔ تپتی ریت ہے اب یہاں آتے نہیں سیلاب وہ
फूल ख़ुश्बू चाँदनी महताब वो पर मिरी ख़ातिर है कोई ख़्वाब वो अपनी अपनी उलझनों में यार गुम अब कहाँ है हल्क़ा-ए-अहबाब वो इस क़दर बेताब आख़िर किस लिए ये नहीं है ऐ दिल-ए-बे-ताब वो बुझ गया कुछ दिल भी अब के हिज्र में और चेहरे पर कहाँ है ताब वो एक सहरा की तरह मैं तिश्ना-लब एक नद्दी की तरह सैराब वो दुश्मन-ए-जाँ है मगर अच्छा लगा जानता है कुछ अदब आदाब वो जागने का काम मुझ को सौंप कर देखता रहता है मेरे ख़्वाब वो मैं हूँ अर्ज़ां साहिलों की रेत सा और कोई गौहर-ए-नायाब वो दूर तक 'फ़ारूक़' तपती रेत है अब यहाँ आते नहीं सैलाब वो

More by Farooq Engineer
View all →"gul-o-gulzaar guhar chaand sitaare bachche rang-o-bu nuur ke paikar hain ye saare bachche aaine hain ki damakte hue chehre in ke aise shaffaaf ki dariyaaon ke dhaare bachche kitne maasum ke ye saanp pakaDnaa chaahein kitne bhole hain ki chhute hain sharaare bachche aane vaalon ko bataa dete hain ghar ki baatein kab samajhte hain ye aankhon ke ishaare bachche khud se das-bis baras aur baDe lagte hain ghar banaate hue dariyaa ke kinaare bachche gaanv jaataa huun to chaupaal kaa ik buDhaa darakht baahein phailaa ke ye kahtaa ki aa re bachche ab na vo khel khilaune na sharaarat 'faaruq' kitne khaamosh akele hain hamaare bachche"
"ab ehtiraam hi kahiye use ki Dar ke gae tire dayaar mein saare savaar utar ke gae hai barg-o-baar kaa girnaa to qarz mausam kaa havaa-e-tund parinde kahaan shajar ke gae ho shahr shahr khamoshi kaa kuchh sabab shaayad magar vo shor-o-shaghab bhi to bahr-o-bar ke gae miri hi jaan ke dushman hain shaahkaar mire mire khilaaf karishme mire hunar ke gae har ik savaal kaa dete hain saaf saaf javaab vo kyaa gae ki bahaane agar magar ke gae kisi ke haath mein patthar kahaan vo sahn mein peD hamaare ahd se mausam shajar hajar ke gae hamein bhi kucha-e-qaatil kaa thaa chalan maalum isi liye to gali mein tiri sanvar ke gae to apne chaak-e-garebaan kaa aa gayaa hai khayaal tamaashaa dekhne jab log idhar-udhar ke gae na ishq hai vo na ghaalib na aastaan na vafaa usi ke saath hi qisse bhi sang-o-sar ke gae safar mein der talak ham-safar thaa ghar faaruq nazar mein duur talak aks baam-o-dar ke gae"
"subh kaa dhokaa huaa hai shaam par chaand ko dekhaa achaanak baam par juz mire suraj parinde aadmi sab nikal jaate hain apne kaam par baaryaabi ke liye jaaein magar dil ThiThak jaataa hai pahle gaam par par lage khushbu ko tere zikr se muskuraae phuul tere naam par be-zarurat ghar se niklein aur phir shai kharidein koi mahnge daam par khaamushi achchhi hai lekin is qadar kuchh to bolein aap is kohraam par ai junun ye ji mein aataa hai kabhi vaqf kar dein khud ko tere naam par aankh mein 'faaruq' aansu aa gae kyaa fasaana aa gayaa anjaam par"
"kyaa jaane kis liye vo itnaa badal rahaa hai phulon kaa jism lekin kaanTon pe chal rahaa hai gar ho tiraa ishaara sairaab ho ye sahraa palkon pe ek aansu kab se machal rahaa hai kyaa pyaas ki thi shiddat dekhaa hai sab ne ab tak tapti hui zamin se chashma ubal rahaa hai khud ko bachaaein kyaa ab us ki karein hifaazat basti sulag rahi hai jangal bhi jal rahaa hai chehra vo aankh mein hai dil kaa qaraar 'faaruq' paani mein chaand utraa bachcha bahal rahaa hai"
"ye baat alag dil ko tiri yaad ne baandhaa is said ko varna kahaan sayyaad ne baandhaa kucha ye koi aur hi aabaad karegaa saamaan jo ab ke dil-e-barbaad ne baandhaa is shahr ko ab chhoD ke kyaa jaaun ki mujh ko rokaa hai kisi aah ne fariyaad ne baandhaa jo us ki talab hai vahi ab meri talab hai kis sehr se mujh ko mire ham-zaad ne baandhaa hamvaar hui raah na rasta hi khulaa hai baazu se to taaviz bhi afraad ne baandhaa ik koh-e-giraan toD diyaa par nahin toDaa paimaan-e-vafaa jab kisi farhaad ne baandhaa shaagird ke ab sher se hotaa hai baraamad mazmun bahut pahle jo ustaad ne baandhaa 'faaruq' nazar ho gai markuz usi par kyaa khuub adaaon se pari-zaad ne baandhaa"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"