SHAWORDS

falak se gar balaaein aa rahi hain — Danish Hayat

HomeDanish HayatGhazal
"falak se gar balaaein aa rahi hain zaraa Thahro du'aaein aa rahi hain main samjhaa thaa ki miT jaaeingi yaadein magar taaza havaaein aa rahi hain yahaan ik baagh thaa basti se pahle parindon ki sadaaein aa rahi hain jo puchhaa qais ne lailaa kahaan hai kahaa tashrif laaein aa rahi hain"
Urdu

فلک سے گر بلائیں آ رہی ہیں ذرا ٹھہرو دعائیں آ رہی ہیں میں سمجھا تھا کہ مٹ جائیں گی یادیں مگر تازہ ہوائیں آ رہی ہیں یہاں اک باغ تھا بستی سے پہلے پرندوں کی صدائیں آ رہی ہیں جو پوچھا قیس نے لیلیٰ کہاں ہے کہا تشریف لائیں آ رہی ہیں

Hindi

फ़लक से गर बलाएँ आ रही हैं ज़रा ठहरो दु'आएँ आ रही हैं मैं समझा था कि मिट जाएँगी यादें मगर ताज़ा हवाएँ आ रही हैं यहाँ इक बाग़ था बस्ती से पहले परिंदों की सदाएँ आ रही हैं जो पूछा क़ैस ने लैला कहाँ है कहा तशरीफ़ लाएँ आ रही हैं

falak se gar balā.eñ aa rahī haiñ
Danish Hayat
Danish Hayat
Danish Hayat
poet18 quotes

More by Danish Hayat

View all →
Quote
"kisi kisi ko samajh aati hai kahaani bhi har ek shakhs pe khulte nahin ma'aani bhi ye log puchh rahe hain tumhaare baare mein main sochtaa huun suhulat hai be-zabaani bhi khalaa kaa ranj bhi hai khaak se mohabbat bhi zamin-zaad bhi huun aur aasmaani bhi ab is tarah to bichhaDne se kuchh nahin hogaa koi to raah nikaalo na darmiyaani bhi bas ek dasht hi divaar tak nahin aayaa hamaari samt safar kar rahaa hai paani bhi main jaantaa huun tiraa 'ishq bhi ai jaan-e-'hayaat' zarur chhoD ke jaaegaa ik nishaani bhi"
Danish HayatDanish Hayat
Quote
"vo husn aankh se dekhaa huaa yaqin mujhe agarche roz bataate the zaaerin mujhe main aap apnaa tamaasha tamaash-gaahon mein tamaashaa-gar kyon samajhtaa tamaashbin mujhe har ek ko main parakhtaa thaa dil ki aankhon se bahut qarib dikhaati thi durbin mujhe main aastin mein palte huon ko jaantaa huun so dushmanon mein samajh lein munaafiqin mujhe main raat un ki tarah khaak chhaantaa rahaa huun so dasht-zaad samajhte rahe makin mujhe main munkashif hi nahin ho rahaa thaa khud un par baghaur paDhte rahe the kai zahin mujhe"
Danish HayatDanish Hayat

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui