"vufur-e-shauq ki rangin hikaayatein mat puchh labon kaa pyaar nigah ki shikaayatein mat puchh kisi nigaah ki nas nas mein tairte nishtar vo ibtidaa-e-mohabbat ki raahatein mat puchh vo nim-shab vo javaan husn vo vufur-e-niyaaz nigaah o dil ne jo ki hain ibaadatein mat puchh hujum-e-gham mein bhi jiinaa sikhaa diyaa ham ko gham-e-jahaan ki hain kyaa kyaa inaayatein mat puchh ye sirf ek qayaamat hai chain ki karvaT dabi hain dil mein hazaaron qayaamatein mat puchh bas ek harf-e-baghaavat zabaan se niklaa thaa shahid ho gaiin kitni rivaayatein mat puchh ab aaj qissa-e-daaraa-o-jam kaa kyaa hogaa hamaare paas hain apni hikaayatein mat puchh nishaan-e-hiTlari-o-qaisari nahin miltaa jo ibraton ne likhi hain ibaaratein mat puchh nashaat-e-zist faqat ahl-e-gham ki hai miraas mileingi aur abhi kitni daulatein mat puchh"
farogh-e-dida-o-dil laala-e-sahar ki tarah — Ali Sardar Jafri
"farogh-e-dida-o-dil laala-e-sahar ki tarah ujaalaa bin ke raho sham-e-rahguzar ki tarah payambaron ki tarah se jiyo zamaane mein payaam-e-shauq bano daulat-e-hunar ki tarah ye zindagi bhi koi zindagi hai ham-nafaso sitaara ban ke jale bujh gae sharar ki tarah Daraa saki na mujhe tirgi zamaane ki andheri raat se guzraa huun main qamar ki tarah samundaron ke talaatum ne mujh ko paalaa hai chamak rahaa huun isi vaaste guhar ki tarah tamaam koh o tal o bahr o bar hain zer-e-nagin khulaa huaa huun main shaahin ke baal-o-par ki tarah tamaam daulat-e-kaunain hai khiraaj us kaa ye dil nahin kisi luuTe hue nagar ki tarah guzar ke khaar se ghunche se gul se shabnam se main shaakh-e-vaqt mein aayaa huun ik samar ki tarah main dil mein talkhi-e-zahraab-e-gham bhi rakhtaa huun na misl-e-shahd huun shirin na main shakar ki tarah khizaan ke dast-e-sitam ne mujhe chhuaa hai magar tamaam shoala o shabnam huun kaashmar ki tarah miri navaa mein hai lutf-o-surur-e-subh-e-nashaat har ek sher hai rindon ki shaam-e-tar ki tarah ye faatehaana ghazal asr-e-nau kaa hai aahang buland o past ko dekhaa hai dida-var ki tarah"
فروغ دیدہ و دل لالۂ سحر کی طرح اجالا بن کے رہو شمع رہ گزر کی طرح پیمبروں کی طرح سے جیو زمانے میں پیام شوق بنو دولت ہنر کی طرح یہ زندگی بھی کوئی زندگی ہے ہم نفسو ستارہ بن کے جلے بجھ گئے شرر کی طرح ڈرا سکی نہ مجھے تیرگی زمانے کی اندھیری رات سے گزرا ہوں میں قمر کی طرح سمندروں کے تلاطم نے مجھ کو پالا ہے چمک رہا ہوں اسی واسطے گہر کی طرح تمام کوہ و تل و بحر و بر ہیں زیر نگیں کھلا ہوا ہوں میں شاہیں کے بال و پر کی طرح تمام دولت کونین ہے خراج اس کا یہ دل نہیں کسی لوٹے ہوئے نگر کی طرح گزر کے خار سے غنچے سے گل سے شبنم سے میں شاخ وقت میں آیا ہوں اک ثمر کی طرح میں دل میں تلخیٔ زہراب غم بھی رکھتا ہوں نہ مثل شہد ہوں شیریں نہ میں شکر کی طرح خزاں کے دست ستم نے مجھے چھوا ہے مگر تمام شعلہ و شبنم ہوں کاشمر کی طرح مری نوا میں ہے لطف و سرور صبح نشاط ہر ایک شعر ہے رندوں کی شام تر کی طرح یہ فاتحانہ غزل عصر نو کا ہے آہنگ بلند و پست کو دیکھا ہے دیدہ ور کی طرح
फ़रोग़-ए-दीदा-ओ-दिल लाला-ए-सहर की तरह उजाला बिन के रहो शम-ए-रहगुज़र की तरह पयम्बरों की तरह से जियो ज़माने में पयाम-ए-शौक़ बनो दौलत-ए-हुनर की तरह ये ज़िंदगी भी कोई ज़िंदगी है हम-नफ़सो सितारा बन के जले बुझ गए शरर की तरह डरा सकी न मुझे तीरगी ज़माने की अँधेरी रात से गुज़रा हूँ मैं क़मर की तरह समुंदरों के तलातुम ने मुझ को पाला है चमक रहा हूँ इसी वास्ते गुहर की तरह तमाम कोह ओ तल ओ बहर ओ बर हैं ज़ेर-ए-नगीं खुला हुआ हूँ मैं शाहीं के बाल-ओ-पर की तरह तमाम दौलत-ए-कौनैन है ख़िराज उस का ये दिल नहीं किसी लूटे हुए नगर की तरह गुज़र के ख़ार से ग़ुंचे से गुल से शबनम से मैं शाख़-ए-वक़्त में आया हूँ इक समर की तरह मैं दिल में तल्ख़ी-ए-ज़हराब-ए-ग़म भी रखता हूँ न मिस्ल-ए-शहद हूँ शीरीं न मैं शकर की तरह ख़िज़ाँ के दस्त-ए-सितम ने मुझे छुआ है मगर तमाम शो'ला ओ शबनम हूँ काशमर की तरह मिरी नवा में है लुत्फ़-ओ-सुरूर-ए-सुब्ह-ए-नशात हर एक शेर है रिंदों की शाम-ए-तर की तरह ये फ़ातेहाना ग़ज़ल अस्र-ए-नौ का है आहंग बुलंद ओ पस्त को देखा है दीदा-वर की तरह

More by Ali Sardar Jafri
View all →"baiThe hain jahaan saaqi paimaana-e-zar le kar us bazm se uTh aae ham dida-e-tar le kar yaadon se tiri raushan mehraab-e-shab-e-hijraan DhunDheinge tujhe kab tak qindil-e-qamar le kar kyaa husn hai duniyaa mein kyaa lutf hai jiine mein dekhe to koi meraa andaaz-e-nazar le kar hoti hai zamaane mein kis tarah paziraai niklo to zaraa ghar se ik zauq-e-safar le kar raahein chamak uTTheingi khurshid ki mashal se hamraah sabaa hogi khushbu-e-sahar le kar makhmal si bichhaa deinge qadmon ke tale saahil dariyaa ubal aaeinge sad-mauj-e-guhar le kar pahnaaeinge taaj apnaa peDon ke ghane saae nikleinge shajar apne khush-rang samar le kar lapkeinge gale milne sarv aur sanobar sab uTheinge gulistaan bhi shaakh-e-gul-e-tar le kar hanste hue shahron ki aavaaz bulaaegi lab jaam ke chamkeinge sau shoala-e-tar le kar aflaak bajaaeinge saaz apne sitaaron kaa gaaeinge bahut lamhe anfaas-e-sharar le kar ye aalam-e-khaaki ik sayyaara-e-raushan hai aflaak se Takraa do taqdir-e-bashar le kar"
"aqide bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jaati hai magar zauq-e-junun ki shoala-saamaani nahin jaati khudaa maalum kis kis ke lahu ki laala-kaari hai zamin-e-ku-e-jaanaan aaj pahchaani nahin jaati agar yuun hai to kyuun hai yuun nahin to kyuun nahin aakhir yaqin mohkam hai lekin zid ki hairaani nahin jaati lahu jitnaa thaa saaraa sarf-e-maqtal ho gayaa lekin shahidaan-e-vafaa ke rukh ki taabaani nahin jaati pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan kaa muqaddar hai ki us zulf-e-pareshaan ki pareshaani nahin jaati har ik shai aur mahngi aur mahngi hoti jaati hai bas ik khun-e-bashar hai jis ki arzaani nahin jaati ye naghma naghma-e-bedaari-e-jamhur-e-aalam hai vo shamshir-e-navaa jis ki darakhshaani nahin jaati nae khvaabon ke dil mein shoala-e-khurshid-e-mahshar hai zamir-e-hazrat-e-insaan ki sultaani nahin jaati lagaate hain labon par mohr arbaab-e-zabaan-bandi ali-'sardaar' ki shaan-e-ghazal-khvaani nahin jaati"
"ham jo mahfil mein tiri sina-figaar aate hain rang-bar-dosh gulistaan-ba-kanaar aate hain chaak-dil chaak-jigar chaak-garebaan vaale misl-e-gul aate hain maanind-e-bahaar aate hain koi maashuq sazaavaar-e-ghazal hai shaayad ham ghazal le ke su-e-shahr-e-nigaar aate hain kyaa vahaan koi dil-o-jaan kaa talabgaar nahin jaa ke ham kucha-e-qaatil mein pukaar aate hain qaafile shauq ke rukte nahin divaaron se sainkaDon mahbas-o-zindaan ke dayaar aate hain manzilein dauD ke rahrav ke qadam leti hain bosa-e-paa ke liye raahguzaar aate hain khud kabhi mauj-o-talaatum se na nikle baahar paar jo saare zamaane ko utaar aate hain kam ho kyuun abru-e-qaatil ki kamaanon kaa khinchaao jab sar-e-tir-e-sitam aap shikaar aate hain"
"kitni aashaaon ki laashein sukhein dil ke aangan mein kitne suraj Duub gae hain chehron ke pile-pan mein bachchon ke miThe honTon par pyaas ki sukhi ret jami duudh ki dhaarein gaae ke than se gir gaiin naagon ke phan mein registaanon mein jalte hain paDe hue sau naqsh-e-qadam par aaj khiraamaan koi nahin hai ummidon ke gulshan mein chaknaa-chur huaa khvaabon kaa dilkash dilchasp aaina TeDhi tirchhi tasvirein hain TuTe-phuTe darpan mein paa-e-junun mein paDi hui hain hirs-o-havaa ki zanjirein qaid hai ab tak haath sahar kaa taariki ke kangan mein aankhon ki kuchh nauras kaliyaan nim-shagufta ghuncha-e-lab kaise kaise phuul bhare hain gulchinon ke daaman mein dast-e-ghaib ki tarah chhupaa hai zulm kaa haath sitam kaa vaar khushk lahu ki baarish dekhi ham ne kucha-e-barzan mein"
"khule hain mashriq-o-maghrib ki god mein gulzaar magar khizaan ko mayassar nahin yaqin-e-bahaar khabar nahin hai bamon ke banaane vaalon ko tamiz ho to mah-o-mehr-o-kahkashaan hain shikaar usi se tegh-e-nigah aab-daar hoti hai tujhe bataaun baDi shai hai jurat-e-inkaar kiye hain shauq ne paidaa hazaar viraane ik aarzu ne basaae hain laakh shahr-e-dayaar nashaat-e-subh-e-bahaaraan tujhe nasib nahin tire nigah mein hai biiti hui shabon kaa khumaar farokht hoti hai insaaniyat si jins-e-giraan jahaan ko phunk na degi ye garmi-e-baazaar yahi hai zinat-o-aaraaish urus-e-sukhan magar fareb bhi deti hai shokhi-e-guftaar"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"