"jahaan chheD de koi un kaa fasaana hama-rang lafzon ki jannat sajaanaa tumhaare hamaare hi dam se hai raushan dil-o-jaan ki ranginiyon kaa zamaana ye kaisi adaa hai ba-tarz-e-mohabbat kabhi yaad rakhnaa kabhi bhuul jaanaa hamein chaahiye sirf teraa tasavvur agarche ye duniyaa hai tasvir-kHaana har ik tere husn-e-tasavvur kaa shaidaa ho adnaa-o-aalaa ki naadaan-o-daanaa tulu-e-sahar hai ki tum saamne ho ye kundan saa mukhDaa ye gesu ye shaana tire daur ne tujh se maangi mohabbat mohabbat ne bakhshaa tujhe muskuraanaa"
gham-e-dil ko badal jaane ki zid hai — Daur Afridi
"gham-e-dil ko badal jaane ki zid hai magar khushiyon ko Tal jaane ki zid hai bigaDti jaa rahi hai meri duniyaa magar mujh ko sambhal jaane ki zid hai har ik tufaan ko pichhe chhoD aauun havaadis se nikal jaane ki zid hai miri fitrat badal jaae to kaise tiri baaton ko khul jaane ki zid hai tire zaanu pe meraa sar hai lekin muqaddar ko machal jaane ki zid hai mire jazbaat ko taskin denaa samundar ko ubal jaane ki zid hai khilaaf-e-zor-e-fitrat 'daur' behtar magar fikron ko pal jaane ki zid hai"
غم دل کو بدل جانے کی ضد ہے مگر خوشیوں کو ٹل جانے کی ضد ہے بگڑتی جا رہی ہے میری دنیا مگر مجھ کو سنبھل جانے کی ضد ہے ہر اک طوفاں کو پیچھے چھوڑ آؤں حوادث سے نکل جانے کی ضد ہے مری فطرت بدل جائے تو کیسے تری باتوں کو کھل جانے کی ضد ہے ترے زانو پہ میرا سر ہے لیکن مقدر کو مچل جانے کی ضد ہے مرے جذبات کو تسکین دینا سمندر کو ابل جانے کی ضد ہے خلاف زور فطرت دورؔ بہتر مگر فکروں کو پل جانے کی ضد ہے
ग़म-ए-दिल को बदल जाने की ज़िद है मगर ख़ुशियों को टल जाने की ज़िद है बिगड़ती जा रही है मेरी दुनिया मगर मुझ को सँभल जाने की ज़िद है हर इक तूफ़ाँ को पीछे छोड़ आऊँ हवादिस से निकल जाने की ज़िद है मिरी फ़ितरत बदल जाए तो कैसे तिरी बातों को खुल जाने की ज़िद है तिरे ज़ानू पे मेरा सर है लेकिन मुक़द्दर को मचल जाने की ज़िद है मिरे जज़्बात को तस्कीन देना समुंदर को उबल जाने की ज़िद है ख़िलाफ़-ए-ज़ोर-ए-फ़ितरत 'दौर' बेहतर मगर फ़िक्रों को पल जाने की ज़िद है

More by Daur Afridi
View all →"vo tere gham ko pahchaane nahin hain abhi apnon mein begaane nahin hain hazaaron mahfilein aisi hain jin mein hamaare gham ke afsaane nahin hain jo bhar jaaein vo paimaane hi samjho jo khaali hain vo paimaane nahin hain tire kuche ki raunaq hai hamin se tire kuche mein divaane nahin hain zaraa ban-Than to le ai zindagaani baraae-husn viraane nahin hain jahaan-e-dilrubaai allaah allaah jahaan tum ho to farzaane nahin hain vahaan hi talkhiyaan piitaa rahaa huun jahaan ai 'daur' maikhaane nahin hain"
"tire nigaah-e-karam jab bikhar gai hogi kisi gharib ki duniyaa sanvar gai hogi tujhi ko DhunDhti phirti hain dar-ba-dar aankhein azal ke roz tujhi par nazar gai hogi sukut-e-saaz-e-do-aalam sunaai detaa hai tire firaaq mein duniyaa Thahar gai hogi sahar ke chaahne vaale kaa kyaa huaa hogaa ba-naam-e-tira-shabi jab sahar gai hogi vo ik khabar ki jo rusvaaiyon kaa baais thi hazaar rang mein vo ik khabar gai hogi sahar ke narm-o-khunuk dudhiyaa ujaalon mein tire jamaal ki rangat bikhar gai hogi ye shash-jihat hai tire qaatilon kaa des to phir tire khulus ki arthi kidhar gai hogi"
"main ne chaahat ke giit gaae the sunne vaale magar paraae the umr bhar ko khushi kaa rog lagaa ek do din ko muskuraae the raahatein hi na kar sake haasil raahaton ke mahal banaae the mere khvaabon ki raushni mein kabhi in labon par labon ke saae the kis ne khinchein jafaa ki talvaarein kis ne armaan ke khuun bahaae the bah rahi hain nashaat ki nadiyaan kyaa ishaare the kyaa kinaae the main ne chaahat ke aasmaan par dost chaand taaron ke daf bajaae the haae vo din jo tere saath gae naghma-o-nur mein nahaae the"
"in ke aariz pe ashkon ke dhaare jaise phulon ko shabnam sanvaare gham na kar is jahaan-e-talab mein TuuT jaate hain aksar sahaare tum ne mantiq se ulfat ko samjhaa tum hi jiite chalo ham hi haare gham ki zahmat mein kyaa kuchh na biiti raat kaaTi hai gin gin ke taare chhoD kar mujh ko bahr-e-alam mein teri kashti gai hai kinaare is ko fakhr-e-mohabbat na kyon ho 'daur' dil mein rahaa hai tumhaare"
"kaun hai us ke baankpan ki tarah husn hai husn-e-anjuman ki tarah main ne makhmur us ko dekhaa hai raat jaagi hui dulhan ki tarah jaage jaage tire badan ke khutut khil-khilaate hue chaman ki tarah ik mire chaand ke na hone se chaandni raat hai kafan ki tarah ishq shaaista-e-junun niklaa tere maathe ki ik shikan ki tarah koi taarikh-e-ishq dohraa duun zindagaani hai kohkan ki tarah koi ban-Than ke ghar se niklaa hai zindagi ke hasin chalan ki tarah pairahan aur aise unvaan se rang-o-gulhaa-e-pairahan ki tarah kaisi viraaniyaan mein 'daur' yahaan zindagi hai ujaaD ban ki tarah"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"