SHAWORDS

gham-e-hayaat kahein dard-e-kaaenaat kahein — Saifi Premi

HomeSaifi PremiGhazal
"gham-e-hayaat kahein dard-e-kaaenaat kahein tumhaare naam se saare jahaan ki baat kahein baDaa ghazab hai jo ham raat ko bhi raat kahein uTho ki aaj to daar-o-rasan ki baat kahein kisi ke daavaa-e-tamkin pe harf aataa hai sanbhal ke aap zaraa mere vaaqiaat kahein udhar zabaan hai ki betaab-e-guftugu hai bahut idhar ye qaid nigaahon se dil ki baat kahein kisi ki yaad ki ab dil bhi rahguzaar nahin bhare jahaan mein kise apni kaaenaat kahein tumhaari bazm mein Dhalte rahe hain afsaane khataa muaaf agar ham bhi ek baat kahein hamin se tark-e-mohabbat hamin se husn-e-suluk ham is maqaam ko rasm-e-takallufaat kahein kisi ke husn-e-taghaaful se ab to paidaa hai vo ek baat jise jaan-e-iltifaat kahein isi kaa naam to ilhaam-e-sher hai 'saifi' ki apni baat mein saare jahaan ki baat kahein"
Urdu

غم حیات کہیں درد کائنات کہیں تمہارے نام سے سارے جہاں کی بات کہیں بڑا غضب ہے جو ہم رات کو بھی رات کہیں اٹھو کہ آج تو دار و رسن کی بات کہیں کسی کے دعویٰٔ تمکیں پہ حرف آتا ہے سنبھل کے آپ ذرا میرے واقعات کہیں ادھر زباں ہے کہ بیتاب گفتگو ہے بہت ادھر یہ قید نگاہوں سے دل کی بات کہیں کسی کی یاد کی اب دل بھی رہ گزار نہیں بھرے جہاں میں کسے اپنی کائنات کہیں تمہاری بزم میں ڈھلتے رہے ہیں افسانے خطا معاف اگر ہم بھی ایک بات کہیں ہمیں سے ترک محبت ہمیں سے حسن سلوک ہم اس مقام کو رسم تکلفات کہیں کسی کے حسن تغافل سے اب تو پیدا ہے وہ ایک بات جسے جان التفات کہیں اسی کا نام تو الہام شعر ہے سیفیؔ کہ اپنی بات میں سارے جہاں کی بات کہیں

Hindi

ग़म-ए-हयात कहें दर्द-ए-काएनात कहें तुम्हारे नाम से सारे जहाँ की बात कहें बड़ा ग़ज़ब है जो हम रात को भी रात कहें उठो कि आज तो दार-ओ-रसन की बात कहें किसी के दा'वा-ए-तम्कीं पे हर्फ़ आता है सँभल के आप ज़रा मेरे वाक़िआ'त कहें उधर ज़बाँ है कि बेताब-ए-गुफ़्तुगू है बहुत इधर ये क़ैद निगाहों से दिल की बात कहें किसी की याद की अब दिल भी रहगुज़ार नहीं भरे जहाँ में किसे अपनी काएनात कहें तुम्हारी बज़्म में ढलते रहे हैं अफ़्साने ख़ता मुआ'फ़ अगर हम भी एक बात कहें हमीं से तर्क-ए-मोहब्बत हमीं से हुस्न-ए-सुलूक हम इस मक़ाम को रस्म-ए-तकल्लुफ़ात कहें किसी के हुस्न-ए-तग़ाफ़ुल से अब तो पैदा है वो एक बात जिसे जान-ए-इल्तिफ़ात कहें इसी का नाम तो इल्हाम-ए-शे'र है 'सैफ़ी' कि अपनी बात में सारे जहाँ की बात कहें

ġham-e-hayāt kaheñ dard-e-kā.enāt kaheñ
Saifi Premi
Saifi Premi
Saifi Premi
poet10 quotes

More by Saifi Premi

View all →
Quote
"jaag uThe baam-o-dar charaagh jale kaun aaya idhar charaagh jale din ki paamaal fikr ko hai shart teri jaanib safar charaagh jale zulf-e-tufaan se yuun bhi chheD sahi vo bujhaae idhar charaagh jale din mein vo jism hai junun-afroz ik qayaamat magar charaagh jale vaaiz-o-mohtasib bhi jaam-ba-lab ham ko aae nazar charaagh jale aakhir-e-shab dilon pe hai bhaari ham-nafas taa sahar charaagh jale sarguzasht-e-vafaa hai tulaani bas yahi mukhtasar charaagh jale aaj mehmaan hai ek shab-afroz aarzuon kaa har charaagh jale zindagi shab-charaagh hai 'saifi' ab raqibon ke ghar charaagh jale"
Saifi PremiSaifi Premi
Quote
"sukut-e-husn mein bhi ek afsaana nazar aaya vahi zikr-e-vafaa lekin ba-unvaan-e-digar aaya sar-e-mizhgaan lahu misl-e-charaagh-e-rah-guzar aaya baDi mushkil se is duniyaa ko andaaz-e-sahar aaya nigaah-e-naaz mein behad fusun-e-parda-daari hai ki us mahfil se jo aaya nihaayat be-khabar aaya ise khun-e-shahidaan-e-vafaa kaa moajiza kahiye zamaane tak shuur-e-maslak-e-shaam-o-sahar aaya mizaaj-e-ishq ki khaatir abhi duniyaa nahin badli tiraa jalva ba-qaid-e-zauq har lahza nazar aaya kahin mauj-e-sitam shaamil na ho baad-e-bahaari mein hamein larzida larzida gulistaan bhi nazar aaya koi samjhe to ye mearaaj hai dard-e-rifaaqat ki mire hamraah manzil tak ghubaar-e-rahguzar aaya gham-e-dil ki nigahbaani bahut dushvaar hai 'saifi' ki har taaza nafas ehsaas-e-dil se baa-khabar aaya"
Saifi PremiSaifi Premi
Quote
"shab-e-taar se na ghabraa miri nau-bahaar anjum ki sahar ko dekhnaa hai hamein nuur kaa talaatum abhi zindagi ki jannat gham-e-zindagi mein hai gum kahin aarizon pe shabnam kahin nilgun tabassum tiri yaad jaam-o-minaa tiri yaad maah-o-anjum ki har ek talkhi-e-gham tiri yaad mein hui gum vahaan gardishein ruki hain vahaan zindagi mili hai jahaan jam gaiin nigaahein jahaan muskuraae ham tum vahi raushni se zid hai abhi zulmaton ke dil ko abhi aur sakht hogaa shab-o-roz kaa tasaadum vo nigaah-o-dil ki jannat vo dimaagh ki tahaarat vo tamaam rang-o-nikhat vo tamaam-tar tarannum ye fazaa-e-gham ghulegi kabhi ishq ki chamak se abhi sogvaar huun main abhi sogvaar ho tum abhi ehtiyaat hi se mire dil ke paas aanaa miri jaan-e-nau-bahaaraan miri maaya-e-tabassum kisi yaad-e-dil-rubaa kaa ye karam rahaa hai 'saifi' ki sulaa gai hai dil ko kabhi aab-o-taab-e-anjum"
Saifi PremiSaifi Premi
Quote
"tire jamaal ki zinat miri talab se hai miri hayaat mein khushbu tire sabab se hai numud-e-ishq-e-karam se kabhi ghazab se hai khumaar-e-chashm se hai shoala-haa-e-lab se hai kise dimaagh sar-e-raah un se baat kare dilon mein ek khalish khubi-e-adab se hai qadam ruke hain kisi shokh ajnabi ke liye ye zauq-e-did bhi kuchh tere zulf-o-lab se hai junun-e-ishq se izhaar-e-aashiqi maalum kise khabar ki koi mahv-e-naaz kab se hai ye ehtiyaat-e-mohabbat ki us sanam ke sivaa jahaan mein rasm-e-payaam-o-salaam sab se hai ham ahl-e-dil hain bahut be-niyaaz-e-gham 'saifi' ye taab-e-zist usi mahfil-e-tarab se hai"
Saifi PremiSaifi Premi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi