SHAWORDS

gham hansi mein chhupaa diyaa hogaa — Almas Shabi

HomeAlmas ShabiGhazal
"gham hansi mein chhupaa diyaa hogaa chashm-e-nam ne bataa diyaa hogaa bhuul jaane ki us ko aadat thi us ne mujh ko bhulaa diyaa hogaa ek khat thaa subut chaahat kaa vo bhi us ne jalaa diyaa hogaa raat chupke se le uDi thi havaa raaz dil kaa bataa diyaa hogaa hijr ke maare dil ko bhi us ne jaane kaise sulaa diyaa hogaa phir bulaayaa hai aaj naaseh ne gul kisi ne khilaa diyaa hogaa hai yaqin mujh ko zikr par mere vo faqat muskuraa diyaa hogaa"
Urdu

غم ہنسی میں چھپا دیا ہوگا چشم نم نے بتا دیا ہوگا بھول جانے کی اس کو عادت تھی اس نے مجھ کو بھلا دیا ہوگا ایک خط تھا ثبوت چاہت کا وہ بھی اس نے جلا دیا ہوگا رات چپکے سے لے اڑی تھی ہوا راز دل کا بتا دیا ہوگا ہجر کے مارے دل کو بھی اس نے جانے کیسے سلا دیا ہوگا پھر بلایا ہے آج ناصح نے گل کسی نے کھلا دیا ہوگا ہے یقیں مجھ کو ذکر پر میرے وہ فقط مسکرا دیا ہوگا

Hindi

ग़म हँसी में छुपा दिया होगा चश्म-ए-नम ने बता दिया होगा भूल जाने की उस को आदत थी उस ने मुझ को भुला दिया होगा एक ख़त था सुबूत चाहत का वो भी उस ने जला दिया होगा रात चुपके से ले उड़ी थी हवा राज़ दिल का बता दिया होगा हिज्र के मारे दिल को भी उस ने जाने कैसे सुला दिया होगा फिर बुलाया है आज नासेह ने गुल किसी ने खिला दिया होगा है यक़ीं मुझ को ज़िक्र पर मेरे वो फ़क़त मुस्कुरा दिया होगा

ġham hañsī meñ chhupā diyā hogā
Almas Shabi
Almas Shabi
Almas Shabi
poet8 quotes

More by Almas Shabi

View all →
Quote
"savaal kaise karun main is se javaab hai jo miri duaa kaa karegaa kaise vo bevafaai mujhe yaqin hai miri vafaa kaa na is se milne ki hai tamannaa na us ko paane ki aarzu hai diyaa mohabbat kaa jal rahaa hai jo ji mein aae kare havaa kaa jo baadalon par main chal rahi huun to aasmaanon ko chhu rahi huun ki saath mere hi chal rahaa hai vo haath thaame hue ghaTaa kaa main is ke sheron mein Dhal rahi huun vo meraa lahja badal rahaa hai main chup rahun aur kahun na kuchh bhi yahi taqaaza to hai hayaa kaa bhulaane baiThi huun saari duniyaa dhaDak rahaa hai vo mere dil mein jo duriyaan hain samundaron ki vo faasla hai bas ik sadaa kaa"
Almas ShabiAlmas Shabi
Quote
"jaane kis moD par main ne dekhaa nahin muD gayaa ham-safar main ne dekhaa nahin tum ko maalum ho to bataanaa mujhe rah gai main kidhar main ne dekhaa nahin vaqt ki siDhiyaan chaDhte dekhaa use vo gayaa phir kidhar main ne dekhaa nahin le ke aayaa thaa mere liye raushni jab gayaa chhoD kar main ne dekhaa nahin mil hi jaati kabhi koi manzil mujhe ik qadam lauT kar main ne dekhaa nahin tum gae saath us ke jidhar bhi kahin tum samajhnaa udhar main ne dekhaa nahin pyaar hai kis qadar us ko mujh se 'shabi' chuDiyaan toD kar main ne dekhaa nahin"
Almas ShabiAlmas Shabi
Quote
"us jabin par jo bal paDe shaayad ye kaleja nikal paDe shaayad saans rukne lagi hai siine mein tum kaho to ye chal paDe shaayad zabt se laal ho gaiin aankhein ek chashma ubal paDe shaayad ek bujhtaa diyaa mohabbat kaa tere milne se jal paDe shaayad baat ab jo tumhein bataani hai dil tumhaaraa uchhal paDe shaayad aansuon se dhuli hui aankhein dekh kar vo machal paDe shaayad baiTh kar baat kyuun nahin karte koi surat nikal paDe shaayad be-rukhi se nahin karo rukhsat raaste mein ajal paDe shaayad"
Almas ShabiAlmas Shabi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud