Quote
"jangal bhi the dariyaa bhi saath chalaa ik rasta bhi mahrumi ne khvaabon kaa jhulas diyaa hai chehra bhi ruuTh gai khushbu meri chhoD gayaa hai saaya bhi tu har shakhs kaa dukh baanTe teraa dukh koi samjhaa bhi ik lamha thaa haasil-e-umr yaad nahin vo lamha bhi yaad-e-safar mein saath rahi yaad thi meraa rasta bhi suunaa shahr udaas gali gali mein thaa ik saaya bhi maazi mujh mein zinda hai main huun ruh-e-fardaa bhi"
A
Ali Wijdan