SHAWORDS

kahaa thaa main ne kyaa tu ne sunaa kyaa — Ali Wijdan

HomeAli WijdanGhazal
"kahaa thaa main ne kyaa tu ne sunaa kyaa magar is baat kaa tujh se gilaa kyaa jo mere karb se ghaafil rahaa thaa usi ko ab kahun dard-aashnaa kyaa yahi Thahri hai kashti Duub jaae to aise mein khudaa kyaa naakhudaa kyaa dilon ke raabte baaqi hain jaanaan to phir ye darmiyaan kaa faasla kyaa gali-kuchon mein sannaaTaa hai kaisaa 'ali-vijdaan' aashiq mar gayaa kyaa"
Urdu

کہا تھا میں نے کیا تو نے سنا کیا مگر اس بات کا تجھ سے گلا کیا جو میرے کرب سے غافل رہا تھا اسی کو اب کہوں درد آشنا کیا یہی ٹھہری ہے کشتی ڈوب جائے تو ایسے میں خدا کیا ناخدا کیا دلوں کے رابطے باقی ہیں جاناں تو پھر یہ درمیاں کا فاصلہ کیا گلی کوچوں میں سناٹا ہے کیسا علی وجدانؔ عاشق مر گیا کیا

Hindi

कहा था मैं ने क्या तू ने सुना क्या मगर इस बात का तुझ से गिला क्या जो मेरे कर्ब से ग़ाफ़िल रहा था उसी को अब कहूँ दर्द-आश्ना क्या यही ठहरी है कश्ती डूब जाए तो ऐसे में ख़ुदा क्या नाख़ुदा क्या दिलों के राब्ते बाक़ी हैं जानाँ तो फिर ये दरमियाँ का फ़ासला क्या गली-कूचों में सन्नाटा है कैसा 'अली-'विज्दान' आशिक़ मर गया क्या

kahā thā maiñ ne kyā tū ne sunā kyā
A
Ali Wijdan
Ali Wijdan
poet7 quotes

More by Ali Wijdan

View all →
Quote
"ai nish-e-ishq tere kharidaar kyaa hue thi jin ke dam se raunaq-e-baazaar kyaa hue bol ai havaa-e-shaam vo bimaar kyaa hue monis tire rafiq tire yaar kyaa hue ai jurm-e-ishq tere gunahgaar kyaa hue ai dost tere hijr ke bimaar kyaa hue rasm-e-vafaa kaa zikr to ab zikr rah gayaa vo paikar-e-vafaa vo vafaadaar kyaa hue ai kam-shanaas vaqt tujhe yaad tak nahin vo zakhm-e-jaan-o-dil ke talabgaar kyaa hue kaar-e-junun mein jin ke hue aam tazkire fasl-e-junun bataa vo khud-aazaar kyaa hue josh-o-nadim-o-faiz bhi baiThe hain haar ke pahunche the jo junun mein sar-e-daar kyaa hue zindaan-e-tirgi mein muqayyad hain aaj bhi paidaa hue the subh ke aasaar kyaa hue 'vijdaan' aashiqi mein ganvaani thi jaan bhi pyaare vo tere taur vo atvaar kyaa hue"
A
Ali Wijdan
Quote
"pahle bhi kaun saath thaa ab jo koi nahin rahaa vaqt sitam-zarif thaa vaqt kaa phir bhi kyaa gila kaisi ajiib shaam thi kaisaa ajiib vaaqia kahne ko kah rahe hain log main ne tujhe bhulaa diyaa qissa ye hai ki main tujhe dil se kahaan bhulaa sakaa tark-e-taalluqaat kaa baaqi hai ek marhala baaqi hai ab bhi zehn mein khvaabon kaa ek silsila ishq se nisbaton mein hai mere safar kaa raasta shaam hui to chal paDaa hijr-zadon kaa qaafila koh-kani se rabt hai naam-o-nasab kaa zikr kyaa"
A
Ali Wijdan

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud