SHAWORDS

gudaaz-e-qalb na soz-e-davaam hai saaqi — Hasan Azimabadi

"gudaaz-e-qalb na soz-e-davaam hai saaqi saron mein mahshar-e-saudaa-e-khaam hai saaqi har ek rind yahaan tishna-kaam hai saaqi ye mai-kade kaa tire ehtimaam hai saaqi pilaa pilaa ki nizaam-e-kohan badal Daalun samand-e-umr bahut tez-gaam hai saaqi chalaa huun aaj liye azm-e-rah-navardi-e-shauq khayaal-e-ishrat-e-manzil haraam hai saaqi nazar nazar se numaayaan qiyaadaton kaa fusun qadam qadam pe siyaasat kaa daam hai saaqi vo dil jo thaa kabhi kaun-o-makaan se be-parvaa shikaar-e-kashmakash-e-subh-o-shaam hai saaqi hudud-e-aalam-e-imkaan se dam ulajhtaa hai yahaan to saans bhi lenaa haraam hai saaqi farogh-e-hasrat-e-parvaaz-o-justuju ki qasam junun khirad kaa abhi tak ghulaam hai saaqi bashart-e-izn sunaaungaa khalvaton mein tujhe abhi fasaana-e-gham naa-tamaam hai saaqi"
Urdu

گداز قلب نہ سوز دوام ہے ساقی سروں میں محشر سودائے خام ہے ساقی ہر ایک رند یہاں تشنہ کام ہے ساقی یہ میکدے کا ترے اہتمام ہے ساقی پلا پلا کہ نظام کہن بدل ڈالوں سمند عمر بہت تیز گام ہے ساقی چلا ہوں آج لئے عزم رہ نوردیٔ شوق خیال عشرت منزل حرام ہے ساقی نظر نظر سے نمایاں قیادتوں کا فسوں قدم قدم پہ سیاست کا دام ہے ساقی وہ دل جو تھا کبھی کون و مکاں سے بے پروا شکار کشمکش صبح و شام ہے ساقی حدود عالم امکاں سے دم الجھتا ہے یہاں تو سانس بھی لینا حرام ہے ساقی فروغ حسرت پرواز و جستجو کی قسم جنوں خرد کا ابھی تک غلام ہے ساقی بشرط اذن سناؤں گا خلوتوں میں تجھے ابھی فسانۂ غم ناتمام ہے ساقی

Hindi

गुदाज़-ए-क़ल्ब न सोज़-ए-दवाम है साक़ी सरों में महशर-ए-सौदा-ए-ख़ाम है साक़ी हर एक रिंद यहाँ तिश्ना-काम है साक़ी ये मय-कदे का तिरे एहतिमाम है साक़ी पिला पिला कि निज़ाम-ए-कोहन बदल डालूँ समंद-ए-उम्र बहुत तेज़-गाम है साक़ी चला हूँ आज लिए अज़्म-ए-रह-नवर्दी-ए-शौक़ ख़याल-ए-इशरत-ए-मंज़िल हराम है साक़ी नज़र नज़र से नुमायाँ क़ियादतों का फ़ुसूँ क़दम क़दम पे सियासत का दाम है साक़ी वो दिल जो था कभी कौन-ओ-मकाँ से बे-परवा शिकार-ए-कश्मकश-ए-सुब्ह-ओ-शाम है साक़ी हुदूद-ए-आलम-ए-इम्काँ से दम उलझता है यहाँ तो साँस भी लेना हराम है साक़ी फ़रोग़-ए-हसरत-ए-परवाज़-ओ-जुस्तुजू की क़सम जुनूँ ख़िरद का अभी तक ग़ुलाम है साक़ी बशर्त-ए-इज़्न सुनाऊँगा ख़ल्वतों में तुझे अभी फ़साना-ए-ग़म ना-तमाम है साक़ी

gudāz-e-qalb na soz-e-davām hai saaqī
H
Hasan Azimabadi
Hasan Azimabadi
poet11 quotes

More by Hasan Azimabadi

View all →
Quote
"aariz-o-zulf-e-yaar ki baatein jaise lail-o-nahaar ki baatein husn se tazkira mohabbat kaa aaine se ghubaar ki baatein kitni rangin hai apni shaam-e-firaaq pahron dil se hain yaar ki baatein kab na daar-o-rasan ne chheDi hain jurat-e-paaedaar ki baatein tum ho aur be-niyaazi-e-paiham ham hain aur eatibaar ki baatein miT chuke valvale bahaaron ke ab kahaan laala-zaar ki baatein dil pe ab shaaq hain bahut hamdam mausam-e-khush-gavaar ki baatein sun sako to zabaan-e-gul se suno daaman-e-taar-taar ki baatein haasil-e-umr ban gai hain 'hasan' husn-e-imaan-shikaar ki baatein"
H
Hasan Azimabadi
Quote
"saaz-e-dil par gungunaane kaa zamaana aa gayaa aa gayaa piine pilaane kaa zamaana aa gayaa pai-ba-pai saaghar lunDhaane kaa zamaana aa gayaa har qadam par laDkhaDaane kaa zamaana aa gayaa phir kisi ki yaad dil mein chuTkiyaan lene lagi phir taDapne tilmilaane kaa zamaana aa gayaa phir kisi ke aastaan par le chalaa zauq-e-sujud har qadam par sar jhukaane kaa zamaana aa gayaa miT gayaa shauq-e-talab mein sar-basar ehsaas-e-gham mushkilon par muskuraane kaa zamaana aa gayaa hai pas-e-parda jamaal-e-dil-nashin jalva-fagan dida-o-dil aazmaane kaa zamaana aa gayaa mil gai 'arz-e-tamannaa ki ijaazat mil gai harf-e-matlab bhuul jaane kaa zamaana aa gayaa"
H
Hasan Azimabadi
Quote
"hujum-e-shauq ne rusvaa kiyaa kyaa main kyaa kahne ko thaa aur kah gayaa kyaa gulon kaa khuun gulistaan ki tabaahi manaazir saamne aae hain kyaa kyaa junun-e-rah-ravi apnaa salaamat kareinge rahnumaai rahnumaa kyaa kanval ke phuul par shabnam ke qatre ghurur-e-husn ko aakhir huaa kyaa nazar mein thaa jamaal-e-sad-bahaaraan main su-e-gul palaT kar dekhtaa kyaa tumhaari be-rukhi allaah rakkhe miri betaabiyon kaa tazkira kyaa jise raushan kiyaa thaa khun-e-dil se 'hasan' bujhne lagaa vo bhi diyaa kyaa"
H
Hasan Azimabadi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer