SHAWORDS

guftugu ek pal ruki bhi nahin — Amit Bajaj

HomeAmit BajajGhazal
"guftugu ek pal ruki bhi nahin baat karni thi jo hui bhi nahin aise dekho to sab adhuraa hai vaise dekho to kuchh kami bhi nahin ham bujhaaeinge ham bujhaaeinge aag jo Thiik se lagi bhi nahin mujh se ik shikva hai zamaane ko chaal puchhi bhi aur chali bhi nahin rabt TuuTaa to TuuT jaane diyaa jism ke saath ruuh thi bhi nahin ham aur aap ik ghazal kaa charba hain vo ghazal jo abhi hui bhi nahin"
Urdu

گفتگو ایک پل رکی بھی نہیں بات کرنی تھی جو ہوئی بھی نہیں ایسے دیکھو تو سب ادھورا ہے ویسے دیکھو تو کچھ کمی بھی نہیں ہم بجھائیں گے ہم بجھائیں گے آگ جو ٹھیک سے لگی بھی نہیں مجھ سے اک شکوہ ہے زمانے کو چال پوچھی بھی اور چلی بھی نہیں ربط ٹوٹا تو ٹوٹ جانے دیا جسم کے ساتھ روح تھی بھی نہیں ہم اور آپ اک غزل کا چربہ ہیں وہ غزل جو ابھی ہوئی بھی نہیں

Hindi

गुफ़्तुगू एक पल रुकी भी नहीं बात करनी थी जो हुई भी नहीं ऐसे देखो तो सब अधूरा है वैसे देखो तो कुछ कमी भी नहीं हम बुझाएँगे हम बुझाएँगे आग जो ठीक से लगी भी नहीं मुझ से इक शिकवा है ज़माने को चाल पूछी भी और चली भी नहीं रब्त टूटा तो टूट जाने दिया जिस्म के साथ रूह थी भी नहीं हम और आप इक ग़ज़ल का चर्बा हैं वो ग़ज़ल जो अभी हुई भी नहीं

guftugū ek pal rukī bhī nahīñ
Amit Bajaj
Amit Bajaj
Amit Bajaj
poet24 quotes

More by Amit Bajaj

View all →
Quote
"daraa daraa ke mire saare Dar nikaaltaa hai 'ajab ‘ilaaj miraa chaaraagar nikaaltaa hai adhure-pan ki mukammal dalil huun lekin kasar nikaalne vaalaa kasar nikaaltaa hai tiraa khudaa bhi ho tujh jaisaa aur de tujh ko darakht aisaa jo gin kar samar nikaaltaa hai saron pe haath zehaanat baDhaa nahin saktaa ye aur baat ki andar kaa Dar nikaaltaa hai kisi ki yaad bhi ab taa-sahar nahin rahti khayaal hai ki pahar-do-pahar nikaaltaa hai fazaa koi bhi ho fitrat badal nahin sakti qafas mein qaid parinda bhi par nikaaltaa hai vo ghair mausami barsaat yaad hai tum ko aur ek shakhs jo khiDki se sar nikaaltaa hai 'amit' vo kaar-e-siyaasat ke masale ye hujum jo hal nikaal na paae khabar nikaaltaa hai"
Amit BajajAmit Bajaj
Quote
"jahaan raas mujhe aa gayaa jahaan ko main so moDtaa huun ab apni taraf kamaan ko main miri zamin ko jaise usi ne chhinaa ho kabhi kabhi to yuun taktaa huun aasmaan ko main yaqin kar ki tiri be-rukhi se pahle bhi kabhi bharaa nahin rakhtaa thaa phul-daan ko main zaraa si dhuup zaruri hai har kisi ke liye yahi bataa nahin paataa huun saaebaan ko main us ek lamhe mujhe yaad kyon nahin rahtaa adhuraa chhoD bhi saktaa huun imtihaan ko main khudaa kare koi kirdaar aisaa mil jaae ki daastaan mujhe khinche daastaan ko main 'amit-bajaaj’ ye fe’lun mafaa’ilun kyaa hai nahin samajhtaa hunar aisi khinch-taan ko main"
Amit BajajAmit Bajaj
Quote
"phuul us kaa istiaaraa thaa kabhi rang-o-bu ko ik sahaaraa thaa kabhi baarishein kahti hain biitaa kal miraa ye samandar paara-paara thaa kabhi vaqt ne ki ahmiyat kam vaqt ki ye zaraa saa kitnaa saaraa thaa kabhi chaar din bharpur ji aur phir bataa kyaa guzaare par guzaaraa thaa kabhi ab jo aayaa hai main us se kyaa kahun main ne kis kis ko pukaaraa thaa kabhi aaj bhi jiitaa huun bas ye soch kar us ne sab kuchh mujh pe haaraa thaa kabhi chhuT gayaa sab kuchh par itnaa yaad hai kyaa nahin thaa kyaa hamaaraa thaa kabhi kam-nazar har daur mein kahte hain ye kyaa nazar thi kyaa nazaaraa thaa kabhi aasraa paataa rahaa jitnaa 'amit' kyaa tu itnaa be-sahaaraa thaa kabhi"
Amit BajajAmit Bajaj
Quote
"kaisaa jaadu kaisaa fitna dhyaan mein rakkhaa gayaa dil mein kyaa aayaa ki dil insaan mein rakkhaa gayaa baavajud is ke ki kuchh le kar nahin jaaungaa main jaane kyaa kyaa kuchh mire saamaan mein rakhaa gayaa so saraabon kaa bharam rakhne ki khaatir yuun huaa ek nakhlistaan registaan mein rakkhaa gayaa raat-bhar jab royaa panchhi kaali chhat ko dekh kar ek niilaa aasmaan zindaan mein rakkhaa gayaa khaali kamre aur bhi chhoTe nazar aane lage jaise hi har chiiz ko daalaan mein rakkhaa gayaa jo nahin thaa kaam kaa vo ghar mein hi rakhnaa paDaa kaam ke saamaan ko dukaan mein rakkhaa gayaa naam sunte hi kisi kaa muskuraa detaa thaa vo zikr meraa bhi usi muskaan mein rakkhaa gayaa faaeda hote hi chal detaa main aisaa thaa nahin phir bhi jaane kyon mujhe nuqsaan mein rakkhaa gayaa us se thi ummid sochegaa mire baare mein bhi so usi ki sharton ko paimaan mein rakkhaa gayaa"
Amit BajajAmit Bajaj
Quote
"dikhaai ek se deinge so karnaa sun ke alag vo apni dhun ke alag hain ham apni dhun ke alag ham aise log qabaaein hain baDhte bachchon ki ki jin ko rakh diyaa jaataa hai pahle bun ke alag isi liye to judaai bhi khush-gavaar rahi bahut se gham the hamaare alag aur un ke alag ye naasehon ko main ab faarsi mein samjhaaun 'azaab kun ke alag hote hain makun ke alag unhin ke saath main kartaa huun ab jugalbandi kuchh ek log jo hote hain apni dhun ke alag gulon ko raundne vaalo unhein bhi yaad karo jo log kar gae talvon se khaar chun ke alag dil ik parinda hai khuraak us ki ek si rakh vagarna baarhaa maangegaa daane dunke alag jo guzri daane pe daana hi jaantaa hai 'amit' bhunaa hai ho ke alag yaa huaa hai bhun ke alag"
Amit BajajAmit Bajaj

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb