Quote
"kis ke hisse mein hairat thi kis ko jashn manaanaa thaa kis ne harf kamaae the aur kis ko chup ho jaanaa thaa ek taraf be-naam thakan aur ek taraf aagaah safar pichhe gahri tanhaai thi aage ek zamaana thaa kuchh be-khvaab nafas aise the jin ke andar thi zanjir kuchh betaab nafas aise the jin ko baahar aanaa thaa saanson ki hiddat mein thi kyon aise lamhon ki takhliq khilnaa thaa ik pal mein jin ko ik pal mein murjhaanaa thaa miTTi ko sonaa kar ke rishton ki aag bujhaani thi khvaabon ko girvi rakh kar miTTi kaa qarz chukaanaa thaa"
