"gham le ke masarrat kaa samaan ham ne banaayaa ashkon se sitaaron kaa jahaan ham ne banaayaa be-qadr banaa rakkhaa thaa aghyaar ne jis ko is baar amaanat ko giraan ham ne banaayaa nazron mein to but-khaane kaa but-khaana thaa lekin dil de ke tumhein rashk-e-butaan ham ne banaayaa khud to na rahe anjuman-e-naaz ke qaabil haan tere liye dil kaa makaan ham ne banaayaa lo aag lagaa baiThe hamaare hi jigar mein mahfil mein jinhein shoala-bayaan ham ne banaayaa guftaar kaa maidaan tumhaaraa sahi lekin alfaaz ko shaayaan-e-zabaan ham ne banaayaa aadaab nae ham ne diye raah-ravi ko Thokar ko bhi ik sang-e-nishaan ham ne banaayaa be-kaifi-e-mahfil mein bhi ye shokhi-e-masti dil TuuTaa to ik ratl-e-giraan ham ne banaayaa honTon pe lagi muhr to nairang-e-nazar se ik maarka-e-lafz-o-bayaan ham ne banaayaa us ne hi bharaa zahr se paimaana hamaaraa 'jauhar' vo jise pir-e-mughaan ham ne banaayaa"
hain mo'taqid-e-saaqi yaaraan-e-haram kitne — Jauhar Siddiqui
"hain mo'taqid-e-saaqi yaaraan-e-haram kitne kaabe se khumistaan tak hain naqsh-e-qadam kitne vaaiz kaa gila kyaa jab sochaa na barahman ne ik dil ke banaane mein kaam aae sanam kitne us jaan-e-taghaaful ki taklif-e-tabassum se aansu hue jaate hain shaaista-e-gham kitne naamus-e-taalluq ki saugand zaraa socho bargashta ho tum kitne vaarafta hain ham kitne piine ki nahin lekin laghzish ki parakh hogi ab dekhiye mahfil mein khulte hain bharam kitne ye baat bataa kar ham kyon gham ko karein rusvaa hain ahl-e-karam kitne hain ahl-e-sitam kitne arbaab-e-alam aansu piite hi gae phir bhi dekho to zaraa 'jauhar' daaman hue nam kitne"
ہیں معتقد ساقی یاران حرم کتنے کعبے سے خمستاں تک ہیں نقش قدم کتنے واعظ کا گلہ کیا جب سوچا نہ برہمن نے اک دل کے بنانے میں کام آئے صنم کتنے اس جان تغافل کی تکلیف تبسم سے آنسو ہوئے جاتے ہیں شائستہ غم کتنے ناموس تعلق کی سوگند ذرا سوچو برگشتہ ہو تم کتنے وارفتہ ہیں ہم کتنے پینے کی نہیں لیکن لغزش کی پرکھ ہوگی اب دیکھیے محفل میں کھلتے ہیں بھرم کتنے یہ بات بتا کر ہم کیوں غم کو کریں رسوا ہیں اہل کرم کتنے ہیں اہل ستم کتنے ارباب الم آنسو پیتے ہی گئے پھر بھی دیکھو تو ذرا جوہرؔ دامن ہوئے نم کتنے
हैं मो'तक़िद-ए-साक़ी यारान-ए-हरम कितने का'बे से ख़ुमिस्ताँ तक हैं नक़्श-ए-क़दम कितने वाइज़ का गिला क्या जब सोचा न बरहमन ने इक दिल के बनाने में काम आए सनम कितने उस जान-ए-तग़ाफ़ुल की तकलीफ़-ए-तबस्सुम से आँसू हुए जाते हैं शाइस्ता-ए-ग़म कितने नामूस-ए-तअ'ल्लुक़ की सौगंद ज़रा सोचो बरगश्ता हो तुम कितने वारफ़्ता हैं हम कितने पीने की नहीं लेकिन लग़्ज़िश की परख होगी अब देखिए महफ़िल में खुलते हैं भरम कितने ये बात बता कर हम क्यों ग़म को करें रुस्वा हैं अहल-ए-करम कितने हैं अहल-ए-सितम कितने अर्बाब-ए-अलम आँसू पीते ही गए फिर भी देखो तो ज़रा 'जौहर' दामन हुए नम कितने

More by Jauhar Siddiqui
View all →"ye silsila-e-shokhi-e-jaanaana nayaa hai irshaad huaa hai ki ye divaana nayaa hai matlab to hai is se ki hai mai kitni puraani is se hamein kyaa kaam ki paimaana nayaa hai aaina-e-tajdid hai taarikh-e-mohabbat jis daur mein bhi suniye ye afsaana nayaa hai kis dhoke mein ho tum use kyon chheD rahe ho zanjir puraani sahi divaana nayaa hai aataa hai bahut der mein laghzish kaa saliqa saaqi se abhi shaikh kaa yaaraana nayaa hai ai sham' tiri sozish-e-derina ki ho khair kuchh aaj mazaaq-e-gham-e-parvaanaa nayaa hai ik 'umr ke baad ab huaa andaaza-e-vahshat jab us ne kahaa meraa ye divaana nayaa hai ye dekh ke rindaan-e-kuhan baiThe hue hain gham kyaa hai jo saaqi tiraa mai-khaana nayaa hai ab dil ki jagah phuul chaDhaate hain buton par is daur mein dastur-e-sanam-khaana nayaa hai daamaan-e-tabassum mein huaa jazb har aansu ab aalam-e-lutf-e-gham-e-jaanaana nayaa hai karte hain salaam aur baDe andaaz se 'jauhar' yaaron kaa mire tarz-e-harifaana nayaa hai"
"vahi ijz-e-bandagi hai vahi naaz-e-aastaana main yaqin kaise kar luun ki badal gayaa zamaana ye hamaaraa haq hai logo ye hamaari zid nahin hai jo ye gulsitaan rahegaa to rahegaa aashiyaana ye bahaar kaa hai mausam magar is ko kyaa kahein ham abhi andalib-e-gulshan ki navaa hai baaghiyaana miri azmat-e-vafaa se bhi vo mutmain nahin hain vahi jis ke jaur-e-paiham kaa hai mo'tarif zamaana mujhe tajrabaat-e-gham ne ye adaa sikhaai 'jauhar' na kisi se dushmani hai na kisi se dostaana"
"kaakul-o-rukh hi nahin shaam-o-sahar aur bhi hain ek tum hi nahin armaan-e-nazar aur bhi hain daagh-e-dil aur bhi hain zakhm-e-nazar aur bhi hain shoala-e-gul ke sivaa shoala-e-tar aur bhi hain husn vaale tiri in nichi nigaahon ki qasam mahfil-e-husn ke aadaab-e-nazar aur bhi hain ik gham-e-dost pe mauquf nahin betaabi markaz-e-silsila-e-dard-e-jigar aur bhi hain masjid-o-dair-o-kharaabaat pe kuchh khatm nahin dil salaamat to gulistaan-e-bashar aur bhi hain raahbar thak gae ab dekhiye kyaa hotaa hai qaafile ko abhi darpesh safar aur bhi hain rahnumaaon ke nishaanaat-e-qadam hi pe na chal ham-safar sham-e-sar-e-raah-guzar aur bhi hain zor-e-baazu pe nahin bas dil-e-insaan ki qasam chaahe insaan to rah-e-fath-o-zafar aur bhi hain"
"hai ishq mein nairangi-e-taslim-o-razaa aur kartaa huun agar shukr to samjhe hai gila aur rindon ki navaa aur hai saaqi ki navaa aur yaa-rab sar-e-mai-khaana koi mast ghaTaa aur afsaana-e-gham itnaa to dilchasp nahin thaa jab main ne kiyaa khatm to zaalim ne kahaa aur dil hila-e-inkaar-e-junun DhunD rahaa hai haan mere liye kuchh shikan-e-zulf-e-dotaa aur jab sabr kaa yaaraa hai to phir gham kaa maza kyaa gham hi miri qismat hai to ai mere khudaa aur manzil hai zaraa duur abhi kaif-e-balaa ki ai rind-e-khush-anjaam koi laghzish-e-paa aur hai kuchh to sabab kashmakash-e-shauq kaa aakhir tum ne hi kahaa aur ki main ne hi sunaa aur dil mahviyat-e-gham mein huaa subh-faraamosh ai shaikh-e-haram aaj muazzin ki sadaa aur yaa-rab miri niyyat ki khabar tujh ko to hogi main ye nahin kahtaa ki farishton ne likhaa aur kyaa jaane kahaan khatm ho ashkon ki kahaani phir un ke tabassum se ik afsaana chhiDaa aur mahrum-e-mohabbat ise kyaa samjhegaa 'jauhar' gulshan ki havaa aur hai daaman ki havaa aur"
"jab bhi tahzib-e-junun ke saath divaana chalaa pichhe pichhe saaya-e-gesu-e-jaanaana chalaa iltifaat-e-naaz kaa mauqa to aaya thaa magar haath se patthar bhi un ke be-niyaazaana chalaa sham-e-mahfil be-zabaan hai varna khul jaataa bharam kyaa kahein kis rang mein yaaron kaa afsaana chalaa rang-o-bu ko paanv chhune ki tamanna rah gai mere qadmon se lipaT kar yuun bhi viraana chalaa eatibaar-e-jalva-e-manzil hai us kaa naqsh-e-paa jo har ik naqsh-e-qadam se ho ke begaana chalaa muntazir hain log lekin chashm-e-saaqi ki qasam main to ik saaghar mein pi kar saaraa mai-khaana chalaa ham to do din saath bhi the varna ai 'jauhar' yahaan sang aur shishe mein kitni der yaaraana chalaa"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"