SHAWORDS

kaakul-o-rukh hi nahin shaam-o-sahar aur bhi hain — Jauhar Siddiqui

"kaakul-o-rukh hi nahin shaam-o-sahar aur bhi hain ek tum hi nahin armaan-e-nazar aur bhi hain daagh-e-dil aur bhi hain zakhm-e-nazar aur bhi hain shoala-e-gul ke sivaa shoala-e-tar aur bhi hain husn vaale tiri in nichi nigaahon ki qasam mahfil-e-husn ke aadaab-e-nazar aur bhi hain ik gham-e-dost pe mauquf nahin betaabi markaz-e-silsila-e-dard-e-jigar aur bhi hain masjid-o-dair-o-kharaabaat pe kuchh khatm nahin dil salaamat to gulistaan-e-bashar aur bhi hain raahbar thak gae ab dekhiye kyaa hotaa hai qaafile ko abhi darpesh safar aur bhi hain rahnumaaon ke nishaanaat-e-qadam hi pe na chal ham-safar sham-e-sar-e-raah-guzar aur bhi hain zor-e-baazu pe nahin bas dil-e-insaan ki qasam chaahe insaan to rah-e-fath-o-zafar aur bhi hain"
Urdu

کاکل‌ و رخ ہی نہیں شام و سحر اور بھی ہیں ایک تم ہی نہیں ارمان نظر اور بھی ہیں داغ دل اور بھی ہیں زخم نظر اور بھی ہیں شعلۂ گل کے سوا شعلۂ تر اور بھی ہیں حسن والے تری ان نیچی نگاہوں کی قسم محفل حسن کے آداب نظر اور بھی ہیں اک غم دوست پہ موقوف نہیں بیتابی مرکز سلسلۂ درد جگر اور بھی ہیں مسجد و دیر و خرابات پہ کچھ ختم نہیں دل سلامت تو گلستان بشر اور بھی ہیں راہبر تھک گئے اب دیکھیے کیا ہوتا ہے قافلے کو ابھی درپیش سفر اور بھی ہیں رہنماؤں کے نشانات قدم ہی پہ نہ چل ہم سفر شمع سر راہ گزر اور بھی ہیں زور بازو پہ نہیں بس دل انساں کی قسم چاہے انساں تو رہ فتح و ظفر اور بھی ہیں

Hindi

काकुल-ओ-रुख़ ही नहीं शाम-ओ-सहर और भी हैं एक तुम ही नहीं अरमान-ए-नज़र और भी हैं दाग़-ए-दिल और भी हैं ज़ख़्म-ए-नज़र और भी हैं शो'ला-ए-गुल के सिवा शो'ला-ए-तर और भी हैं हुस्न वाले तिरी इन नीची निगाहों की क़सम महफ़िल-ए-हुस्न के आदाब-ए-नज़र और भी हैं इक ग़म-ए-दोस्त पे मौक़ूफ़ नहीं बेताबी मरकज़-ए-सिलसिला-ए-दर्द-ए-जिगर और भी हैं मस्जिद-ओ-दैर-ओ-ख़राबात पे कुछ ख़त्म नहीं दिल सलामत तो गुलिस्तान-ए-बशर और भी हैं राहबर थक गए अब देखिए क्या होता है क़ाफ़िले को अभी दरपेश सफ़र और भी हैं रहनुमाओं के निशानात-ए-क़दम ही पे न चल हम-सफ़र शम-ए-सर-ए-राह-गुज़र और भी हैं ज़ोर-ए-बाज़ू पे नहीं बस दिल-ए-इंसाँ की क़सम चाहे इंसाँ तो रह-ए-फ़त्ह-ओ-ज़फ़र और भी हैं

kākul-o-ruḳh hī nahīñ shām-o-sahar aur bhī haiñ
Jauhar Siddiqui
Jauhar Siddiqui
Jauhar Siddiqui
poet15 quotes

More by Jauhar Siddiqui

View all →
Quote
"gham le ke masarrat kaa samaan ham ne banaayaa ashkon se sitaaron kaa jahaan ham ne banaayaa be-qadr banaa rakkhaa thaa aghyaar ne jis ko is baar amaanat ko giraan ham ne banaayaa nazron mein to but-khaane kaa but-khaana thaa lekin dil de ke tumhein rashk-e-butaan ham ne banaayaa khud to na rahe anjuman-e-naaz ke qaabil haan tere liye dil kaa makaan ham ne banaayaa lo aag lagaa baiThe hamaare hi jigar mein mahfil mein jinhein shoala-bayaan ham ne banaayaa guftaar kaa maidaan tumhaaraa sahi lekin alfaaz ko shaayaan-e-zabaan ham ne banaayaa aadaab nae ham ne diye raah-ravi ko Thokar ko bhi ik sang-e-nishaan ham ne banaayaa be-kaifi-e-mahfil mein bhi ye shokhi-e-masti dil TuuTaa to ik ratl-e-giraan ham ne banaayaa honTon pe lagi muhr to nairang-e-nazar se ik maarka-e-lafz-o-bayaan ham ne banaayaa us ne hi bharaa zahr se paimaana hamaaraa 'jauhar' vo jise pir-e-mughaan ham ne banaayaa"
Jauhar SiddiquiJauhar Siddiqui
Quote
"hain mo'taqid-e-saaqi yaaraan-e-haram kitne kaabe se khumistaan tak hain naqsh-e-qadam kitne vaaiz kaa gila kyaa jab sochaa na barahman ne ik dil ke banaane mein kaam aae sanam kitne us jaan-e-taghaaful ki taklif-e-tabassum se aansu hue jaate hain shaaista-e-gham kitne naamus-e-taalluq ki saugand zaraa socho bargashta ho tum kitne vaarafta hain ham kitne piine ki nahin lekin laghzish ki parakh hogi ab dekhiye mahfil mein khulte hain bharam kitne ye baat bataa kar ham kyon gham ko karein rusvaa hain ahl-e-karam kitne hain ahl-e-sitam kitne arbaab-e-alam aansu piite hi gae phir bhi dekho to zaraa 'jauhar' daaman hue nam kitne"
Jauhar SiddiquiJauhar Siddiqui
Quote
"ye silsila-e-shokhi-e-jaanaana nayaa hai irshaad huaa hai ki ye divaana nayaa hai matlab to hai is se ki hai mai kitni puraani is se hamein kyaa kaam ki paimaana nayaa hai aaina-e-tajdid hai taarikh-e-mohabbat jis daur mein bhi suniye ye afsaana nayaa hai kis dhoke mein ho tum use kyon chheD rahe ho zanjir puraani sahi divaana nayaa hai aataa hai bahut der mein laghzish kaa saliqa saaqi se abhi shaikh kaa yaaraana nayaa hai ai sham' tiri sozish-e-derina ki ho khair kuchh aaj mazaaq-e-gham-e-parvaanaa nayaa hai ik 'umr ke baad ab huaa andaaza-e-vahshat jab us ne kahaa meraa ye divaana nayaa hai ye dekh ke rindaan-e-kuhan baiThe hue hain gham kyaa hai jo saaqi tiraa mai-khaana nayaa hai ab dil ki jagah phuul chaDhaate hain buton par is daur mein dastur-e-sanam-khaana nayaa hai daamaan-e-tabassum mein huaa jazb har aansu ab aalam-e-lutf-e-gham-e-jaanaana nayaa hai karte hain salaam aur baDe andaaz se 'jauhar' yaaron kaa mire tarz-e-harifaana nayaa hai"
Jauhar SiddiquiJauhar Siddiqui
Quote
"vahi ijz-e-bandagi hai vahi naaz-e-aastaana main yaqin kaise kar luun ki badal gayaa zamaana ye hamaaraa haq hai logo ye hamaari zid nahin hai jo ye gulsitaan rahegaa to rahegaa aashiyaana ye bahaar kaa hai mausam magar is ko kyaa kahein ham abhi andalib-e-gulshan ki navaa hai baaghiyaana miri azmat-e-vafaa se bhi vo mutmain nahin hain vahi jis ke jaur-e-paiham kaa hai mo'tarif zamaana mujhe tajrabaat-e-gham ne ye adaa sikhaai 'jauhar' na kisi se dushmani hai na kisi se dostaana"
Jauhar SiddiquiJauhar Siddiqui
Quote
"hai ishq mein nairangi-e-taslim-o-razaa aur kartaa huun agar shukr to samjhe hai gila aur rindon ki navaa aur hai saaqi ki navaa aur yaa-rab sar-e-mai-khaana koi mast ghaTaa aur afsaana-e-gham itnaa to dilchasp nahin thaa jab main ne kiyaa khatm to zaalim ne kahaa aur dil hila-e-inkaar-e-junun DhunD rahaa hai haan mere liye kuchh shikan-e-zulf-e-dotaa aur jab sabr kaa yaaraa hai to phir gham kaa maza kyaa gham hi miri qismat hai to ai mere khudaa aur manzil hai zaraa duur abhi kaif-e-balaa ki ai rind-e-khush-anjaam koi laghzish-e-paa aur hai kuchh to sabab kashmakash-e-shauq kaa aakhir tum ne hi kahaa aur ki main ne hi sunaa aur dil mahviyat-e-gham mein huaa subh-faraamosh ai shaikh-e-haram aaj muazzin ki sadaa aur yaa-rab miri niyyat ki khabar tujh ko to hogi main ye nahin kahtaa ki farishton ne likhaa aur kyaa jaane kahaan khatm ho ashkon ki kahaani phir un ke tabassum se ik afsaana chhiDaa aur mahrum-e-mohabbat ise kyaa samjhegaa 'jauhar' gulshan ki havaa aur hai daaman ki havaa aur"
Jauhar SiddiquiJauhar Siddiqui
Quote
"jab bhi tahzib-e-junun ke saath divaana chalaa pichhe pichhe saaya-e-gesu-e-jaanaana chalaa iltifaat-e-naaz kaa mauqa to aaya thaa magar haath se patthar bhi un ke be-niyaazaana chalaa sham-e-mahfil be-zabaan hai varna khul jaataa bharam kyaa kahein kis rang mein yaaron kaa afsaana chalaa rang-o-bu ko paanv chhune ki tamanna rah gai mere qadmon se lipaT kar yuun bhi viraana chalaa eatibaar-e-jalva-e-manzil hai us kaa naqsh-e-paa jo har ik naqsh-e-qadam se ho ke begaana chalaa muntazir hain log lekin chashm-e-saaqi ki qasam main to ik saaghar mein pi kar saaraa mai-khaana chalaa ham to do din saath bhi the varna ai 'jauhar' yahaan sang aur shishe mein kitni der yaaraana chalaa"
Jauhar SiddiquiJauhar Siddiqui

More on Maa

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud