"aankhon mein hain haqir jis-tis ke nazron se gir gae hain ham kis ke dil kaa hamdam ilaaj mat kar ab zakhm marham-pazir hain is ke kaun aataa hai aisaa hosh-rubaa sabr o taaqat yahaan se kyuun khiske dekhti hai ye kis ki aankhon ko kyuun khule hain ye chashm nargis ke bas kahin thak bhi aasiyaa-e-falak ho chuke surma ham to ab pis ke ji se rahte hain apne us pe nisaar dil se hote hain dost ham jis ke go nahin ab kabhi to ai pyaare ham bhi the yaar teri majlis ke tu to khush hai ki tere kuche mein ek taDpaa kare aur ik siske mar gae par bhi ye 'hasan' na munde muntazir chashm the tire kis ke"
ham na hanste hain aur na rote hain — Meer Hasan
"ham na hanste hain aur na rote hain umr hairat mein apni khote hain khaa ke gham khvaan-e-ishq ke mehmaan haath khun-e-jigar se dhote hain vasl hotaa hai jin ko duniyaa mein yaarab aise bhi log hote hain kos-e-rahlat hai jumbish-e-har-dam aah tis par bhi yaar sote hain dil lagaa us se mardum-e-dida saath apne hamein Dubote hain aah-o-naala se vo khafaa hai abas kaanTe ham apne haq mein buute hain yaad aati hain us ki jab baatein dil 'hasan' donon mil ke rote hain"
ہم نہ ہنستے ہیں اور نہ روتے ہیں عمر حیرت میں اپنی کھوتے ہیں کھا کے غم خوان عشق کے مہمان ہاتھ خون جگر سے دھوتے ہیں وصل ہوتا ہے جن کو دنیا میں یا رب ایسے بھی لوگ ہوتے ہیں کوس رحلت ہے جنبش ہر دم آہ تس پر بھی یار سوتے ہیں دل لگا اس سے مردم دیدہ ساتھ اپنے ہمیں ڈبوتے ہیں آہ و نالہ سے وہ خفا ہے عبث کانٹے ہم اپنے حق میں بوتے ہیں یاد آتی ہیں اس کی جب باتیں دل حسنؔ دونوں مل کے روتے ہیں
हम न हँसते हैं और न रोते हैं उम्र हैरत में अपनी खोते हैं खा के ग़म ख़्वान-ए-इश्क़ के मेहमान हाथ ख़ून-ए-जिगर से धोते हैं वस्ल होता है जिन को दुनिया में यारब ऐसे भी लोग होते हैं कोस-ए-रहलत है जुम्बिश-ए-हर-दम आह तिस पर भी यार सोते हैं दिल लगा उस से मर्दुम-ए-दीदा साथ अपने हमें डुबोते हैं आह-ओ-नाला से वो ख़फ़ा है अबस काँटे हम अपने हक़ में बूते हैं याद आती हैं उस की जब बातें दिल 'हसन' दोनों मिल के रोते हैं

More by Meer Hasan
View all →"aankhon se khuun apne ye kahtaa nahin na jaae par saath us ke lipTaa huaa dil kahin na jaae itni to chaahiye tujhe paas-e-shikasta-dil jo aave tere yaan so vo andohgin na jaae sabr-o-qaraar-o-hosh-o-khirad sab ke sab ye jaaein par daagh-e-ishq siine se ai ham-nashin na jaae dair-o-haram mein jaa ke jo chaahe phir aa sake par aave jo gali mein tiri vo kahin na jaae ham girya-naak hain ye sadaa se hai aib-posh aankhon se duur apne kahin aastin na jaae hai paara-e-aqiq jigar dekhiyo kahin ai chashm tere haath se aisaa nagin na jaae nikle na jaan tan se 'hasan' ki to tab talak jab tak tu us ke sar pe dam-e-vaapsin na jaae"
"dariyaa mein Duub jaave ki yaa chaah mein paDe ai ishq par na koi tiri raah mein paDe mat puchh jaur-e-gham se dil-e-naa-tavaan kaa haal bijli to dekhi hogi kabhi kaah mein paDe ik dam bhi dekh saktaa nahin ham ko us ke paas khaak us falak ke dida-e-bad-khvaah mein paDe jo dosti ke naam se rakhtaa ho dushmani divaana ho jo us ki koi chaah mein paDe aa jaa kahin shitaab ki maanind-e-naqsh-e-paa takte hain raah teri sar-e-raah mein paDe jalve do-chand hovein shab-e-maah ke abhi us maah-ru kaa aks agar maah mein paDe sulge hai nim-sokhta jaise dhuein ke saath jalte hain yuun ham apni 'hasan' aah mein paDe"
"aaj dil be-qaraar hai kyaa hai dard hai intizaar hai kyaa hai jis se jaltaa hai dil jigar vo aah shoala hai yaa sharaar hai kyaa hai ye jo khaTke hai dil mein kaanTaa saa mizha hai nok-e-khaar hai kyaa hai chashm-e-bad-dur teri aankhon mein nashsha hai yaa khumaar hai kyaa hai mere hi naam se khudaa jaane nang hai us ko aar hai kyaa hai jis ne maaraa hai daam dil pe mire khat hai yaa zulf-e-yaar hai kyaa hai kyuun garebaan teraa aaj 'hasan' is tarah taar-taar hai kyaa hai"
"nigah se chashm se naaz-o-adaa se khudaa mahfuz rakkhe har balaa se kisi ki bevafaai se mujhe kyaa main apne kaam rakhtaa huun vafaa se bahut maangin duaaein haath uThaa kar na niklaa kaam kuchh aakhir duaa se mujhe Dar hai kahin rusvaa na ho tu jo main rusvaa huaa teri balaa se 'hasan' detaa hai tu kyuun ji buton par milaa deinge tujhe kyaa ye khudaa se"
"is Dar se main ne zulf ki us ki na baat ki jaati hai duur duur tak aavaaz raat ki dekhaa jab aankh khol ke misl-e-habaab tab maalum kaaenaat hui kaaenaat ki us bulbul-e-chaman ki hui aaqibat ba-khair saae mein jis ne aan ke gul ke vafaat ki main huun sifaat hi ke tahayyur mein ham-nashin kyaa baat mujh se puchhe hai tu us ki zaat ki dil apnaa us ko dijiye yaa ji ko khoiye is ke sivaa tarah nahin koi najaat ki bolaa agar to qand-e-mukarrar hue vo lab aur chup rahaa to ye bhi hai surat nabaat ki vaaqif ho kyuun na shola-e-aatish se dil ke vo rahti hai baaghbaan ko khabar phuul paat ki shah chaal ho rahaa huun sanam tere ishq mein tu ne dikhaa ke rukh miri baazi hi maat ki zulf-e-araq-fishaan tiri jaan-bakhsh kyuun na ho tarkib us ne paai hai aab-e-hayaat ki us sar se ghair sar nahin vaaqif koi gharaz lazzat bayaan mein aati nahin teri laat ki chuun zindagi-o-marg hain aapas mein zid 'hasan' chashm-o-lab us ki zid hai hayaat o mamaat ki"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"