SHAWORDS

ham ne dekhe zindagi mein chand aise sar-phire — Badr Jamali

HomeBadr JamaliGhazal
"ham ne dekhe zindagi mein chand aise sar-phire dushmanon mein jo payaam-e-dosti le kar phire vaae ye taht-e-shu'ur apnaa balaa saa ban gayaa apni aankhon mein baDe naadidani manzar phire jab bhi vo aae khuli aish-o-tarab ki chaandni din mire zulmat-kade ke is tarah aksar phire kyaa koi shahr-e-tamannaa phir ujaD kar bas gayaa jaabiraan-e-vaqt kyon khanjar liye ghar ghar phire shab ko aksar ham-safar thi ThanDi ThanDi chaandni din ko ham jaltaa huaa suraj liye sar par phire niind kyaa aati shab-e-hijraan ke is maahaul mein ham kabhi baiThe kabhi uTThe kabhi uTh kar phire dam ghanimat hai 'jamaali' aap kaa is daur mein ab zamaane mein kahaan hain aap jaise sar-phire"
Urdu

ہم نے دیکھے زندگی میں چند ایسے سرپھرے دشمنوں میں جو پیام دوستی لے کر پھرے وائے یہ تحت شعور اپنا بلا سا بن گیا اپنی آنکھوں میں بڑے نادیدنی منظر پھرے جب بھی وہ آئے کھلی عیش و طرب کی چاندنی دن مرے ظلمت کدہ کے اس طرح اکثر پھرے کیا کوئی شہر تمنا پھر اجڑ کر بس گیا جابران وقت کیوں خنجر لئے گھر گھر پھرے شب کو اکثر ہم سفر تھی ٹھنڈی ٹھنڈی چاندنی دن کو ہم جلتا ہوا سورج لئے سر پر پھرے نیند کیا آتی شب ہجراں کے اس ماحول میں ہم کبھی بیٹھے کبھی اٹھے کبھی اٹھ کر پھرے دم غنیمت ہے جمالیؔ آپ کا اس دور میں اب زمانے میں کہاں ہیں آپ جیسے سرپھرے

Hindi

हम ने देखे ज़िंदगी में चंद ऐसे सर-फिरे दुश्मनों में जो पयाम-ए-दोस्ती ले कर फिरे वाए ये तहत-ए-शु'ऊर अपना बला सा बन गया अपनी आँखों में बड़े नादीदनी मंज़र फिरे जब भी वो आए खुली ऐश-ओ-तरब की चाँदनी दिन मिरे ज़ुल्मत-कदे के इस तरह अक्सर फिरे क्या कोई शहर-ए-तमन्ना फिर उजड़ कर बस गया जाबिरान-ए-वक़्त क्यों ख़ंजर लिए घर घर फिरे शब को अक्सर हम-सफ़र थी ठंडी ठंडी चाँदनी दिन को हम जलता हुआ सूरज लिए सर पर फिरे नींद क्या आती शब-ए-हिज्राँ के इस माहौल में हम कभी बैठे कभी उठ्ठे कभी उठ कर फिरे दम ग़नीमत है 'जमाली' आप का इस दौर में अब ज़माने में कहाँ हैं आप जैसे सर-फिरे

ham ne dekhe zindagī meñ chand aise sar-phire
Badr Jamali
Badr Jamali
Badr Jamali
poet20 quotes

More by Badr Jamali

View all →
Quote
"ham gham-e-zamaana se yuun nazar milaaeinge mushkilein paDeingi jab aur muskuraaeinge phir bahaar aaegi phuul muskuraaeinge phir junun ke afsaane ham ko yaad aaeinge zaahiri tapaak un kaa de gayaa hamein dhokaa ye samajh rahe the ham dil se dil milaaeinge aasmaan ke sah paaro tez-gaam sayyaaro an-qarib tum se bhi ham qadam milaaeinge jaadui khirad hai vo ye junun ki manzil hai tum idhar na aaoge ham udhar na jaaeinge vo hazaar Thukraae ham se ruuTh bhi jaae zindagi ko khud baDh kar ham gale lagaaeinge aaj to 'jamaali' ko bazm se uThaate hain ek din zarur us ko aap phir bulaaeinge"
Badr JamaliBadr Jamali
Quote
"kab zulf-e-dotaa un ki pareshaan nahin hai kab vahshat-e-dil kaa miri saamaan nahin hai yaadon ko lagaae hue siine se guzar jaa ye raah-e-mohabbat hai kuchh aasaan nahin hai duniyaa mein mujhe daulat-e-jaaved hai haasil kyaa dil mein mire aap kaa armaan nahin hai ai baada-kasho zarf ki kuchh baat karo aaj saaqi kaa yahaan aam ab ehsaan nahin hai kyaa puchhte ho tamkanat-e-husn kaa aalam ab jaise karam kaa koi imkaan nahin hai kuchh roz se har neshtar-e-gham hai gavaaraa kyaa ye nigah-e-mast kaa ehsaan nahin hai armaan umang hausla ummid bhi is mein kaashaana-e-dil dosto viraan nahin hai yuun milte hain mujh se vo sar-e-bazm 'jamaali' jaise miri un se koi pahchaan nahin hai"
Badr JamaliBadr Jamali
Quote
"baDi hasin-o-tarab-zaa kitaab paDhtaa huun main un kaa qissa-e-auj-e-shabaab paDhtaa huun kabhi kabhi to main ik satr bhi nahin paDhtaa kabhi kitaab ke baa'd-az-kitaab paDhtaa huun khat un kaa haath mein hai dil pe be-khudi taari main khat kahaan khat-e-jaam-e-sharaab paDhtaa huun nazar se un ki milaa kar nazar sar-e-mahfil main har savaal kaa apne javaab paDhtaa huun ridaa-e-laala-o-gul bhi kitaab kaa hai varaq main is mein qissa-e-husn-o-shabaab paDhtaa huun kabhi to yuun bhi miri zindagi lagi hai mujhe ki jaise main kisi majnun kaa khvaab paDhtaa huun isi mein mujh ko milaa mere dard kaa darmaan isi liye to main ummul-kitaab paDhtaa huun jo khat bhi likhkhun to fauran javaab aataa hai main roz un kaa javaab-ul-javaab paDhtaa huun kise hai shauq 'jamaali' ghazal sunaane kaa ba-hukm-e-sadr-e-fazilat-maaab paDhtaa huun"
Badr JamaliBadr Jamali
Quote
"abhi tak tishna-e-takmil meri zindagaani hai abhi tak intizaar-e-dost ki baaqi kahaani hai ye apni zindagi ramz-e-man-o-tu ki kahaani hai na kuchh qurb-e-makaani hai na kuchh bo'd-e-zamaani hai murattab kar rahaa huun daastaan husn-e-gurezaan ki tabi'at mein ba-ru-e-kaar dariyaa ki ravaani hai tumhaaraa husn bhi kaamil hamaaraa 'ishq bhi qaabil na is kaa koi ham-sar hai na is kaa koi saani hai 'jamaali' yaas-o-hasrat ke sivaa kuchh bhi nahin paayaa ye apni zindagi bargashta qismat ki kahaani hai"
Badr JamaliBadr Jamali

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb