Quote
"kabhi na sochaa thaa main ne uDaan bharte hue ki ranj hogaa zamin par mujhe utarte hue ye shauq-e-ghota-zani to nayaa nahin phir bhi utar rahaa huun main gahraaiyon mein Darte hue havaa ke rahm-o-karam par charaagh rahne do ki Dar rahaa huun nae tajrabaat karte hue na jaane kaisaa samundar hai ishq kaa jis mein kisi ko dekhaa nahin Duub ke ubharte hue main us gharaane kaa chashm o charaagh huun jis ki hayaat guzri hai khvaabon mein rang bharte hue main sab se miltaa rahaa hans ke is tarah ki mujhe kisi ne dekhaa nahin TuTte bikharte hue 'faraagh' aise bhi insaan main ne dekhe hain jo sach ki raah mein paae gae hain marte hue"
