SHAWORDS

har dam ruThe rahte ho — Nilofar Noor

HomeNilofar NoorGhazal
"har dam ruThe rahte ho tum bhi qismat jaise ho hans kar boli zinda huun jab jab puchhaa kaise ho tum ne mujh ko yaad kiyaa sach-much kitne jhuTe ho donon kaa dil TuuT gayaa ab kyon jhagDaa karte ho kyaa vo mujh se achchhi hai jis ki khaatir badle ho main bhi khush huun tum bhi khush main jhuTi tum jhuTe ho jaisaa duniyaa kahti hai achchhaa to tum vaise ho"
Urdu

ہر دم روٹھے رہتے ہو تم بھی قسمت جیسے ہو ہنس کر بولی زندہ ہوں جب جب پوچھا کیسے ہو تم نے مجھ کو یاد کیا سچ مچ کتنے جھوٹے ہو دونوں کا دل ٹوٹ گیا اب کیوں جھگڑا کرتے ہو کیا وہ مجھ سے اچھی ہے جس کی خاطر بدلے ہو میں بھی خوش ہوں تم بھی خوش میں جھوٹی تم جھوٹے ہو جیسا دنیا کہتی ہے اچھا تو تم ویسے ہو

Hindi

हर दम रूठे रहते हो तुम भी क़िस्मत जैसे हो हँस कर बोली ज़िंदा हूँ जब जब पूछा कैसे हो तुम ने मुझ को याद किया सच-मुच कितने झूटे हो दोनों का दिल टूट गया अब क्यों झगड़ा करते हो क्या वो मुझ से अच्छी है जिस की ख़ातिर बदले हो मैं भी ख़ुश हूँ तुम भी ख़ुश मैं झूटी तुम झूटे हो जैसा दुनिया कहती है अच्छा तो तुम वैसे हो

har dam rūThe rahte ho
Nilofar Noor
Nilofar Noor
Nilofar Noor
poet12 quotes

More by Nilofar Noor

View all →
Quote
"ain mumkin hai miri baat zaraa si nikle koi tasvir mire dil se tumhaari nikle aaj aangan mein tire hijr kaa suraj niklaa aaj mumkin hai mire zakhm se kirchi nikle us ne is shart pe rone ki ijaazat di hai aah nikle na labon se koi siski nikle jaan-kani vo ki farishte bhi panaahein maange aap aaein to miri aakhiri hichki nikle aise niklaa hai mire bakht kaa taaraa dekho haath se TuuT ke beva ke jyuun chuDi nikle koi aae mire jiine kaa sahaaraa ban kar shaakh se phuuT ke konpal koi aisi nikle aaj phir dil mein tire diid ki hasrat jaagi kaash phir kaam koi tujh se zaruri nikle"
Nilofar NoorNilofar Noor
Quote
"jis tarah haath ki chuDi kaa khanaknaa tai hai Thiik vaise hi mire dil kaa dhDaknaa tai hai lauT aae hain tujhe ghair ki qismat kar ke aaj ki raat to aankhon kaa chhalaknaa tai hai kaifiyat dil ki agar tu ne dikhaai mujh ko aaine phir to miraa tujh pe bhaDaknaa tai hai main ne alfaaz nahin dard piro rakhe hain ye ghazal sun ke miri jaan sisaknaa tai hai be-hisi ne to banaa Daalaa thaa patthar mujh ko is tabassum se to aanchal kaa Dhalaknaa tai hai kuchh khabar bhi hai tujhe dil ko jalaane vaale zakhm khilte hain to phir un kaa mahaknaa tai hai"
Nilofar NoorNilofar Noor
Quote
"mohabbaton mein hisaab hogaa ye tai kahaan thaa har ek lamha azaab hogaa ye tai kahaan thaa ye tai huaa thaa vafaa ki shama jalaa karegi andheraa ham pe itaab hogaa ye tai kahaan thaa khizaan na aaegi zindagi mein kabhi hamaari udaas belaa gulaab hogaa ye tai kahaan thaa hamaari nazrein savaal ban kar uThaa kareingi sukut-e-lab par javaab hogaa ye tai kahaan thaa yaqin dilaayaa thaa saath mil kar rahaa karoge ki beach apne chanaab hogaa ye tai kahaan thaa azaab hongi palak jhapakne talak ki duuri visaal apnaa bhi khvaab hogaa ye tai kahaan thaa ye phuul ban kar mahak uTheinge khayaal mere mizaaj itnaa kharaab hogaa ye tai kahaan thaa mujhe pukaareinge to kaheinge khushi milegi ki naam apnaa janaab hogaa ye tai kahaan thaa"
Nilofar NoorNilofar Noor
Quote
"use kahnaa ki jab jab aahaTon pe dil dhaDaktaa hai use kahnaa jahaan saaraa usi ko pyaar kahtaa hai use kahnaa zamaane se baghaavat kar nahin sakti use kahnaa magar tark-e-vafaa se Dar bhi lagtaa hai use kahnaa duaaon mein khudaa se tum ko maangaa hai use kahnaa khudaa dil ki duaaein khuub suntaa hai use kahnaa ki sadiyaan ho gaiin bichhDe hue tum se use kahnaa lahu aankhon se meri ab bhi bahtaa hai use kahnaa muqaddar kaa likhaa ab Tal nahin saktaa use kahnaa bhalaa qismat se koi apni laDtaa hai use kahnaa jise tum pyaar se kahte the 'nilufar' use kahnaa tumhein ye naam kyaa ab yaad rahtaa hai"
Nilofar NoorNilofar Noor

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer