SHAWORDS

har samt pukaaraa hai aavaaz nahin i — Asad Rizvi

HomeAsad RizviGhazal
"har samt pukaaraa hai aavaaz nahin i sannaaTaa hai sannaaTaa tanhaai hai tanhaai li fart-e-masarrat se barsaat ne angDaai jab chaand se chehre par kaali si ghaTaa chhaai kuchh aisi adaaon se gulshan mein bahaar i shabnam ne ghazal chheDi phulon ko hansi i dariyaa ke talaatum mein maujon ki ye raanaai bimaar si kashti mein maanjhi ki masihaai ye meri haqiqat hai ye meri shanaasaai main ek tamaashaa huun duniyaa hai tamaashaai"
Urdu

ہر سمت پکارا ہے آواز نہیں آئی سناٹا ہے سناٹا تنہائی ہے تنہائی لی فرط مسرت سے برسات نے انگڑائی جب چاند سے چہرے پر کالی سی گھٹا چھائی کچھ ایسی اداؤں سے گلشن میں بہار آئی شبنم نے غزل چھیڑی پھولوں کو ہنسی آئی دریا کے تلاطم میں موجوں کی یہ رعنائی بیمار سی کشتی میں مانجھی کی مسیحائی یہ میری حقیقت ہے یہ میری شناسائی میں ایک تماشا ہوں دنیا ہے تماشائی

Hindi

हर सम्त पुकारा है आवाज़ नहीं आई सन्नाटा है सन्नाटा तन्हाई है तन्हाई ली फ़र्त-ए-मसर्रत से बरसात ने अंगड़ाई जब चाँद से चेहरे पर काली सी घटा छाई कुछ ऐसी अदाओं से गुलशन में बहार आई शबनम ने ग़ज़ल छेड़ी फूलों को हँसी आई दरिया के तलातुम में मौजों की ये रानाई बीमार सी कश्ती में माँझी की मसीहाई ये मेरी हक़ीक़त है ये मेरी शनासाई मैं एक तमाशा हूँ दुनिया है तमाशाई

har samt pukārā hai āvāz nahīñ i
Asad Rizvi
Asad Rizvi
Asad Rizvi
poet24 quotes

More by Asad Rizvi

View all →
Quote
"kisi ko raaj-dulaare fareb dete rahe kisi ko jaan se pyaare fareb dete rahe yaqin miltaa rahaa thartharaate honTon se magar nazar ke ishaare fareb dete rahe tamaam raat mein chaltaa rahaa huun kaanTon par tamaam raat sitaare fareb dete rahe kanval khilaa thaa mohabbat kaa jis ke paani par vo jhiil us ke kinaare fareb dete rahe saraab bantaa gayaa pal mein har hasin manzar mujhe to saare nazaare fareb dete rahe vafaa na kartaa agar ik hasin to baat bhi thi 'asad' ko saare ke saare fareb dete rahe"
Asad RizviAsad Rizvi
Quote
"huruf arz talab ki surat guzarte lamhon kaa khvaab likhnaa hamaari aankhon ke saamne hi hamaare dil ki kitaab likhnaa kisi ki nazron ki narm baarish se jab bhi bhige badan ki miTTi sulagti saanson ke pairahan par hadis-e-husn-o-shabaab likhnaa hamaare honTon ki tishna-kaami tumhaari aankhon se jab bhi lapke kahin ye titli kahin pe ghuncha kahin shagufta gulaab likhnaa kabhi haqiqat se khel lenaa kabhi ulajhnaa majaaz se tum kabhi kisi se karam ki khvaahish kabhi kisi se azaab likhnaa mujhe tum itni bulandiyon par na laao ki main khudaa nahin huun miri haqiqat ke haashiye mein mire fasaane kaa baab likhnaa tum apne jiite gharon mein apne gharon ki saazish bhi karnaa shaamil ukhaDte khemon ki qimaton mein 'asad' fareb-e-tanaab likhnaa"
Asad RizviAsad Rizvi

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar