SHAWORDS

harf-e-shikva na lab pe laao tum — Aatish Bahawalpuri

"harf-e-shikva na lab pe laao tum zakhm khaa kar bhi muskuraao tum apne haq ke liye laDo be-shak dusron kaa na haq dabaao tum sab ise dil-lagi samajhte hain ab kisi se na dil lagaao tum maslahat kaa yahi taqaazaa hai vo na maanein to maan jaao tum apnaa saaya bhi ab nahin apnaa apne saae se khauf khaao tum maut manDlaa rahi hai shahron par jaa ke sahraa mein ghar banaao tum doston ko to khuub dekh chuke dushmanon ko bhi aazmaao tum raasti pe madaar ho jis kaa ab na vo baat lab pe laao tum jo bhalaa maangte the sar but kaa in buzurgon ko phir bulaao tum"
Urdu

حرف شکوہ نہ لب پہ لاؤ تم زخم کھا کر بھی مسکراؤ تم اپنے حق کے لیے لڑو بے شک دوسروں کا نہ حق دباؤ تم سب اسے دل لگی سمجھتے ہیں اب کسی سے نہ دل لگاؤ تم مصلحت کا یہی تقاضا ہے وہ نہ مانیں تو مان جاؤ تم اپنا سایہ بھی اب نہیں اپنا اپنے سائے سے خوف کھاؤ تم موت منڈلا رہی ہے شہروں پر جا کے صحرا میں گھر بناؤ تم دوستوں کو تو خوب دیکھ چکے دشمنوں کو بھی آزماؤ تم راستی پہ مدار ہو جس کا اب نہ وہ بات لب پہ لاؤ تم جو بھلا مانگتے تھے سر بت کا ان بزرگوں کو پھر بلاؤ تم

Hindi

हर्फ़-ए-शिकवा न लब पे लाओ तुम ज़ख़्म खा कर भी मुस्कुराओ तुम अपने हक़ के लिए लड़ो बे-शक दूसरों का न हक़ दबाओ तुम सब इसे दिल-लगी समझते हैं अब किसी से न दिल लगाओ तुम मस्लहत का यही तक़ाज़ा है वो न मानें तो मान जाओ तुम अपना साया भी अब नहीं अपना अपने साए से ख़ौफ़ खाओ तुम मौत मंडला रही है शहरों पर जा के सहरा में घर बनाओ तुम दोस्तों को तो ख़ूब देख चुके दुश्मनों को भी आज़माओ तुम रास्ती पे मदार हो जिस का अब न वो बात लब पे लाओ तुम जो भला माँगते थे सर बुत का इन बुज़ुर्गों को फिर बुलाओ तुम

harf-e-shikva na lab pe laao tum
Aatish Bahawalpuri
Aatish Bahawalpuri
Aatish Bahawalpuri
poet27 quotes

More by Aatish Bahawalpuri

View all →
Quote
"khamosh baiThe ho kyuun saaz-e-be-sadaa ki tarah koi payaam to do ramz-aashnaa ki tarah kahin tumhaari ravish khaar-o-gul pe baar na ho riyaaz-e-dahr se guzre chalo sabaa ki tarah niyaaz-o-ijz hi mearaaj-e-aadamiyyat hain baDhaao dast-e-sakhaavat bhi iltijaa ki tarah jo chaahte ho badalnaa mizaaj-e-tufaan ko to naakhudaa pe bharosaa karo khudaa ki tarah mujhe hamesha rah-e-zist ke doraahon par ik ajnabi hai jo miltaa hai aashnaa ki tarah tamaam umr rahaa saabiqa yazidon se mire liye to ye duniyaa hai karbalaa ki tarah umiid un se vafaa ki to khair kyaa kiije jafaa bhi karte nahin vo kabhi jafaa ki tarah ye dahr bhi to hai mai-khaana-e-alast-numaa raho yahaan bhi kisi rind-e-paarsaa ki tarah zabaan pe shikva-e-be-mehri-e-khudaa kyuun hai? duaa to maangiye 'aatish' kabhi duaa ki tarah"
Aatish BahawalpuriAatish Bahawalpuri
Quote
"mujhe un se mohabbat ho gai hai meri bhi koi qimat ho gai hai vo jab se multafit mujh se hue hain ye duniyaa khubsurat ho gai hai chaDhaayaa jaa rahaa huun daar par main bayaan mujh se haqiqat ho gai hai ravaan dariyaa hain insaani lahu ke magar paani ki qillat ho gai hai mujhe bhi ik sitamgar ke karam se sitam sahne ki aadat ho gai hai haqiqat ye hai ham kyaa uTh gae hain vafaa duniyaa se rukhsat ho gai hai gham-e-jaanaan mein jab se mubtalaa huun gham-e-dauraan se fursat ho gai hai ab un ki kufr-saamaani bhi 'aatish' dil-o-jaan par ibaarat ho gai hai"
Aatish BahawalpuriAatish Bahawalpuri
Quote
"aap ki hasti mein hi mastur ho jaataa huun main jab qarib aate ho khud se duur ho jaataa huun main daar par chaDh kar kabhi mansur ho jaataa huun main tuur par jaa kar kalim-e-tur ho jaataa huun main yuun kisi se apne gham ki daastaan kahtaa nahin puchhte hain vo to phir majbur ho jaataa huun main apni fitrat kyaa kahun apni tabiat kyaa kahun? dusron ke gham mein bhi ranjur ho jaataa huun main mujh ko 'aatish' baada-o-saaghar se ho kyaa vaasta? un ki aankhein dekh kar makhmur ho jaataa huun main"
Aatish BahawalpuriAatish Bahawalpuri
Quote
"zindagi guzri miri khushk shajar ki surat main ne dekhi na kabhi barg-o-samar ki surat khuub ji bhar ke rulaaein jo nazar mein un ki qimti hon mire aansu bhi guhar ki surat apne chehre se jo zulfon ko haTaayaa us ne dekh li shaam ne taabinda sahar ki surat is nae daur ki tahzib se allaah bachaae maskh hoti nazar aati hai bashar ki surat haram-o-dair se matlab na kalisaa se gharaz kaash ye bhi kahin hote tire ghar ki surat nek aamaal bhi auron ke nahin japte hain aib apne nazar aate hain hunar ki surat kyaa koi us pe bhi uftaad paDi hai 'aatish' abr barsaa hai mire dida-e-tar ki surat"
Aatish BahawalpuriAatish Bahawalpuri
Quote
"vo mere qalb ko chhedegaa kab gumaan mein thaa jo ek tiir mire dost ki kamaan mein thaa vo zer-e-saaya-e-altaaf-e-baaghbaan mein thaa jo aashiyaana zad-e-barq-e-be-amaan mein thaa figaar lai se huaa meri sina-e-nai bhi nafas nafas tiri chaahat kaa imtihaan mein thaa ye mo'jiza thaa yaqinan tiri mohabbat kaa jo auj-e-fikr-o-takhayyul mire bayaan mein thaa vo jis ne dhuup ki parchhaain tak nahin daabi use samajhte ho har lamha saaebaan mein thaa mukhaalifon ko bhi apnaa banaa liyaa tu ne 'ajib tarah kaa jaadu tiri zabaan mein thaa niyaaz-e-'ishq ne aakhir uThaa diyaa 'aatish' vo ek parda saa haael jo darmiyaan mein thaa"
Aatish BahawalpuriAatish Bahawalpuri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil