SHAWORDS

hashr kaisaa rahaa bapaa mujh mein — Neelma Naheed Durrani

"hashr kaisaa rahaa bapaa mujh mein koi rotaa rahaa sadaa mujh mein dil mein ik jang thi jo jaari rahi koi to shakhs thaa khafaa mujh mein maut aai to saath chhoD diyaa koi to de gayaa daghaa mujh mein dil bhi aankhon ki baat suntaa rahaa ik yahi to thaa bevafaa mujh mein"
Urdu

حشر کیسا رہا بپا مجھ میں کوئی روتا رہا سدا مجھ میں دل میں اک جنگ تھی جو جاری رہی کوئی تو شخص تھا خفا مجھ میں موت آئی تو ساتھ چھوڑ دیا کوئی تو دے گیا دغا مجھ میں دل بھی آنکھوں کی بات سنتا رہا اک یہی تو تھا بے وفا مجھ میں

Hindi

हश्र कैसा रहा बपा मुझ में कोई रोता रहा सदा मुझ में दिल में इक जंग थी जो जारी रही कोई तो शख़्स था ख़फ़ा मुझ में मौत आई तो साथ छोड़ दिया कोई तो दे गया दग़ा मुझ में दिल भी आँखों की बात सुनता रहा इक यही तो था बेवफ़ा मुझ में

hashr kaisā rahā bapā mujh meñ
Neelma Naheed Durrani
Neelma Naheed Durrani
Neelma Naheed Durrani
poet21 quotes

More by Neelma Naheed Durrani

View all →
Quote
"aisaa chehra mire bhi dhyaan mein thaa jo zamin mein na aasmaan mein thaa dil to khaali paDaa thaa sadiyon se ek saaya mire makaan mein thaa mujh mein shaamil thaa vo lahu ki tarah aankh mein dil mein aur jaan mein thaa naam kyaa thaa jo itnaa shirin thaa zaaiqa ab bhi is zabaan mein thaa dhund phaili hui thi chaaron taraf shor hi shor is jahaan mein thaa vo jo rahtaa thaa saath shaam-o-sahar is zamaan mein na us zamaan mein thaa meri aankhon ne jo bhi dekhaa thaa sher mein nazm mein bayaan mein thaa main bhi apni anaa mein qaid rahi vo bhi kuchh apni aan baan mein thaa"
Neelma Naheed DurraniNeelma Naheed Durrani

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui