Quote
"ham gham-e-zamaana se yuun nazar milaaeinge mushkilein paDeingi jab aur muskuraaeinge phir bahaar aaegi phuul muskuraaeinge phir junun ke afsaane ham ko yaad aaeinge zaahiri tapaak un kaa de gayaa hamein dhokaa ye samajh rahe the ham dil se dil milaaeinge aasmaan ke sah paaro tez-gaam sayyaaro an-qarib tum se bhi ham qadam milaaeinge jaadui khirad hai vo ye junun ki manzil hai tum idhar na aaoge ham udhar na jaaeinge vo hazaar Thukraae ham se ruuTh bhi jaae zindagi ko khud baDh kar ham gale lagaaeinge aaj to 'jamaali' ko bazm se uThaate hain ek din zarur us ko aap phir bulaaeinge"
