"kisi se apni khabar ham vasul kyaa karte khud aainon kaa bhi ehsaan qubul kyaa karte vo khet khet rahin jin ki khaar-daar safein unhi mein phuul the do chaar phuul kyaa karte tamaam jaanon ke dushman tamaam haath hue ye ummatein thiin ab un ke rasul kyaa karte ye koi umr thi teri mohabbaton vaali saron ki raakh mein shaamil ye dhuul kyaa karte tumhaare jaisaa koi naqsh har nigaar mein thaa magar the ham bhi bahut baa-usul kyaa karte unhein ki jin se baDi choT kar gai thi hayaat ab aur pursish-e-gham se malul kyaa karte jahaan thaa toDnaa dastur kaa bhi ik dastur vahaan hamaare tumhaare usuul kyaa karte ham aise log jo khvaabon ke chalne vaale the sahar se ajr-e-masaafat vasul kyaa karte"
hosh mein aauun to sochun abhi dekhaa kyaa hai — Ehsan Akbar
"hosh mein aauun to sochun abhi dekhaa kyaa hai phir ye puchhun ki ye pardaa hai to jalva kyaa hai donon aankhon mein hai ik jalva to do aankhein kyuun putliyon kaa ye tamaashaa saa vagar na kyaa hai to ne pahchaan liye apni khudaai ke nuqush aaina jis ne taaaruf ye karaayaa kyaa hai zindagi-bhar paDhi taqdir ki khufiya tahrir lauh-e-marqad se paDhun aage kaa likkhaa kyaa hai main huun takhliq tiri soz kaa ham-maani huun tu hai maani to tiraa lafz se rishta kyaa hai har-nafas peT kaa indhan hai yahaan par ai fan hai jo haasil tiraa duniyaa hi to duniyaa kyaa hai"
ہوش میں آؤں تو سوچوں ابھی دیکھا کیا ہے پھر یہ پوچھوں کہ یہ پردا ہے تو جلوہ کیا ہے دونوں آنکھوں میں ہے اک جلوہ تو دو آنکھیں کیوں پتلیوں کا یہ تماشا سا وگر نہ کیا ہے تو نے پہچان لئے اپنی خدائی کے نقوش آئینہ جس نے تعارف یہ کرایا کیا ہے زندگی بھر پڑھی تقدیر کی خفیہ تحریر لوح مرقد سے پڑھوں آگے کا لکھا کیا ہے میں ہوں تخلیق تری سوز کا ہم معنی ہوں تو ہے معنی تو ترا لفظ سے رشتہ کیا ہے ہر نفس پیٹ کا ایندھن ہے یہاں پر اے فن ہے جو حاصل ترا دنیا ہی تو دنیا کیا ہے
होश में आऊँ तो सोचूँ अभी देखा क्या है फिर ये पूछूँ कि ये पर्दा है तो जल्वा क्या है दोनों आँखों में है इक जल्वा तो दो आँखें क्यूँ पुतलियों का ये तमाशा सा वगर न क्या है तो ने पहचान लिए अपनी ख़ुदाई के नुक़ूश आईना जिस ने तआरुफ़ ये कराया क्या है ज़िंदगी-भर पढ़ी तक़दीर की ख़ुफ़िया तहरीर लौह-ए-मरक़द से पढ़ूँ आगे का लिक्खा क्या है मैं हूँ तख़्लीक़ तिरी सोज़ का हम-मा'नी हूँ तू है मा'नी तो तिरा लफ़्ज़ से रिश्ता क्या है हर-नफ़स पेट का ईंधन है यहाँ पर ऐ फ़न है जो हासिल तिरा दुनिया ही तो दुनिया क्या है

More by Ehsan Akbar
View all →"khabar nahin ki koi kis ke intikhaab mein hai magar jo shakhs kal ubhregaa mere khvaab mein hai jahaan vaalon ke laakhon idhar udhar ke javaab hayaat kaa to savaal aadmi ke baab mein hai hamein na gherti shaayad ye chaar-divaari magar ye khaak jo is aalam-e-kharaab mein hai khud apne par jo gae hain vo tifl kaun se hain vo nasl kaisi hai jis kaa jahaan azaab mein hai nae jahaan ke meamaar pahle guzreinge phir us ke baad vo duniyaa jo sirf khvaab mein hai ajab se naqsh main divaar-o-dar pe dekhtaa huun bas aane vaale hain jin kaa sukhan kitaab mein hai"
"phir mujhe kaun-o-makaan dasht-o-bayaabaan se lage khud ko dekhaa hai to aaine pareshaan se lage vaqt kaTtaa rahaa thaa ahd-e-huzuri ki firaaq zakhm lagte rahe chaahe kisi unvaan se lage zindagi mere izaafe mujhe vaapas kar de jhaaD de khaar jo naahaq tire daamaan se lage kuchh to thi saadgi kuchh be-khabari be-hunari kuchh hamein ishq ke hangaame bhi aasaan se lage ziist ham haar ke bhi haath milaaein tujh se apne ye hausle kitne tujhe arzaan se lage"
"phir mujhe kaun-o-makaan dasht-o-bayaabaan se lage ru-ba-ru kaun thaa jo aaine hairaan se lage kuchh thi kam-hauslagi apni thi kuchh be-basari kuchh hamein ishq ke hangaame bhi aasaan se lage zindagi mere izaafe mujhe vaapas kar de jhaaD de khaar jo naahaq tire daamaan se lage vaqt kaTtaa rahaa thaa ahd-e-huzuri ki firaaq zakhm lagte rahe chaahe kisi unvaan se lage ziist ham haar ke bhi haath milaaein tujh se apne ye hausle shaayad tujhe be-jaan se lage"
"kulaah-e-kaj badal jaati hai yaa afsar badaltaa hai abhi khultaa nahin kyaa vaqt kaa tevar badaltaa hai ye dekhaa hai ki mehvar istavaa uupar badaltaa hai falak sadiyon puraani nilgun chaadar badaltaa hai dilon mein soz-e-gham vaale dhuein bhi aarzuein bhi ajam vaalaa musalmaan har sadi mein ghar badaltaa hai nishaan-karda gharon ko chhoD bhaage ghar jo lauTe hain to dekhaa pichhli shab dahliz kaa number badaltaa hai har ik firaun ke ahvaal-e-gharqaabi judaagaana kabhi dariyaa badaltaa hai kabhi lashkar badaltaa hai zamaana ehtiraaman ghuum jaataa hai usi jaanib jo achchhaai ko ik insaan ratti bhar badaltaa hai ham ab maghrib ke dast-aamoz duniyaa ko nahin lagte ug aaein baal-o-par apne to baal-o-par badaltaa hai koi darvaaza bhitar ki taraf khultaa nahin 'ehsaan' vahi andar ki kaalak hai faqat baahar badaltaa hai"
"har ek gaam pe had har qadam dar-o-divaar fazaa-e-shahr bani besh-o-kam dar-o-divaar yahi the sahn-e-fazaa aur yahi ghar aangan thaa tum aae ho to hue muhtsham dar-o-divaar ham apne dard havaaon se bhi nahin kahte uThaae phirte hain khud apne gham dar-o-divaar ye reg-zaar hai aur is ki apni duniyaa hai yahaan hamesha rahe kam se kam dar-o-divaar havaa vatan ki palaT aai baadbaan ke saath vahi yahaan bhi fazaa aashram dar-o-divaar nazar ke aage nahin par nazar mein zinda hain schōl baste gharaunde qalam dar-o-divaar gae jahaan bhi vahin shahr bas gayaa 'ehsaan' azal se apne rahe ham-qadam dar-o-divaar"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"