SHAWORDS

husn-e-maasum agar raaz-e-nihaan tak pahunche — Arshad Siddiqui

"husn-e-maasum agar raaz-e-nihaan tak pahunche gham kaa meaar khudaa jaane kahaan tak pahunche ishq mein yuun to sabhi sud-o-ziyaan tak pahunche kam hain aise jo mire azm-e-javaan tak pahunche ham pahunchne ko to har vahm-o-gumaan tak pahunche tum vahaan ho ki nazar bhi na jahaan tak pahunche vo musibat jise duniyaa gham-e-dil kahti hai main na rokun to khudaa jaane kahaan tak pahunche tum kahin jaa ke chhupo daavat-e-nazzaara to do phir ye maqdur-e-nazar hai ki jahaan tak pahunche hukm hai chaahe gulistaan kaa gulistaan jal jaae haath lekin na koi barq-e-tapaan tak pahunche tum rah-e-ishq mein lillaah miraa saath na do silsila gham kaa khudaa jaane kahaan tak pahunche uf vo nazrein jo mohabbat kaa bharam rakh na sakein haae vo kaif jo ehsaas-e-garaan tak pahunche raaz-e-ulfat main chhupaataa to huun lekin 'arshad' Dar hai ehsaas ki talkhi na zabaan tak pahunche"
Urdu

حسن معصوم اگر راز نہاں تک پہنچے غم کا معیار خدا جانے کہاں تک پہنچے عشق میں یوں تو سبھی سود و زیاں تک پہنچے کم ہیں ایسے جو مرے عزم جواں تک پہنچے ہم پہنچنے کو تو ہر وہم و گماں تک پہنچے تم وہاں ہو کہ نظر بھی نہ جہاں تک پہنچے وہ مصیبت جسے دنیا غم دل کہتی ہے میں نہ روکوں تو خدا جانے کہاں تک پہنچے تم کہیں جا کے چھپو دعوت نظارہ تو دو پھر یہ مقدور نظر ہے کہ جہاں تک پہنچے حکم ہے چاہے گلستاں کا گلستاں جل جائے ہاتھ لیکن نہ کوئی برق تپاں تک پہنچے تم رہ عشق میں للہ مرا ساتھ نہ دو سلسلہ غم کا خدا جانے کہاں تک پہنچے اف وہ نظریں جو محبت کا بھرم رکھ نہ سکیں ہائے وہ کیف جو احساس گراں تک پہنچے راز الفت میں چھپاتا تو ہوں لیکن ارشدؔ ڈر ہے احساس کی تلخی نہ زباں تک پہنچے

Hindi

हुस्न-ए-मा'सूम अगर राज़-ए-निहाँ तक पहुँचे ग़म का मेआ'र ख़ुदा जाने कहाँ तक पहुँचे इश्क़ में यूँ तो सभी सूद-ओ-ज़ियाँ तक पहुँचे कम हैं ऐसे जो मिरे अज़्म-ए-जवाँ तक पहुँचे हम पहुँचने को तो हर वहम-ओ-गुमाँ तक पहुँचे तुम वहाँ हो कि नज़र भी न जहाँ तक पहुँचे वो मुसीबत जिसे दुनिया ग़म-ए-दिल कहती है मैं न रोकूँ तो ख़ुदा जाने कहाँ तक पहुँचे तुम कहीं जा के छुपो दावत-ए-नज़्ज़ारा तो दो फिर ये मक़्दूर-ए-नज़र है कि जहाँ तक पहुँचे हुक्म है चाहे गुलिस्ताँ का गुलिस्ताँ जल जाए हाथ लेकिन न कोई बर्क़-ए-तपाँ तक पहुँचे तुम रह-ए-इश्क़ में लिल्लाह मिरा साथ न दो सिलसिला ग़म का ख़ुदा जाने कहाँ तक पहुँचे उफ़ वो नज़रें जो मोहब्बत का भरम रख न सकें हाए वो कैफ़ जो एहसास-ए-गराँ तक पहुँचे राज़-ए-उल्फ़त मैं छुपाता तो हूँ लेकिन 'अरशद' डर है एहसास की तल्ख़ी न ज़बाँ तक पहुँचे

husn-e-ma.asūm agar rāz-e-nihāñ tak pahuñche
Arshad Siddiqui
Arshad Siddiqui
Arshad Siddiqui
poet15 quotes

More by Arshad Siddiqui

View all →
Quote
"na payaam chaahte hain na kalaam chaahte hain miri raat ke andhere tiraa naam chaahte hain jo jigar ko khaak kar de jo dimaagh phunk Daale mire pyaase honT aisaa koi jaam chaahte hain vo ho shughl-e-baada-noshi ki tavaaf-e-ku-e-jaanaan gham-e-zindagi ke maare koi kaam chaahte hain hamein miT ke bhi ye hasrat ki bhaTakte us gali mein vo hain kaise log yaa rab jo qayaam chaahte hain tiri yaad teri aahaT tiraa chehraa teraa vaada koi shama ho magar ham sar-e-shaam chaahte hain ham isi liye hain 'arshad' abhi tishna-masarrat ki jo un labon se chhalke vahi jaam chaahte hain"
Arshad SiddiquiArshad Siddiqui
Quote
"sarishk-e-gham simaT kar dil ke armaanon ko le Duube ye saahab-khaana apne saath mehmaanon ko le Duube dikhaa kar khvaab-e-khush-aainda firdaus-khayaali ke nae shaddaad ham maa'sum insaanon ko le Duube banaate rah gae tanzim-e-nau ke barhaman khaake buton ke hausle tab tak sanam-khaanon ko le Duube na jaane kah diyaa shabnam ne kyaa aankhon hi aankhon mein ki ghunche thartharaae aur gulistaanon ko le Duube khumaar-e-chashm-e-saaqi is qadar tauba-shikan tauba ye do saaghar na jaane kitne paimaanon ko le Duube sahar hone se pahle aisi ik angDaai ai saaqi jo paimaanon se ubhre aur mai-khaanon ko le Duube fazaaon ko umid-e-rang-o-bu thi jin se ai 'arshad' vo ghunche aaj khilte hi gulistaanon ko le Duube"
Arshad SiddiquiArshad Siddiqui
Quote
"yuun to bahut hasin hai bahaar-e-chaman ki yaad dil par magar hai naqsh isi anjuman ki yaad ham khud gham-e-hayaat se sina-figaar hain ai dosto dilaao na us gul-badan ki yaad is inthaa-e-talkhi-e-dauraan ke baavajud taaza hai aaj bhi kisi shirin-dahan ki yaad phir ji mein hai ki khaaiye koi nayaa fareb phir aa rahi hai ik but-e-vaada-shikan ki yaad rangin baadalon ke ye TukDe ye chaandni aksar dilaa gae hain tire baankpan ki yaad uljhan gham-e-hayaat ki kuchh aur baDh gai aai hai jab bhi zulf shikan-dar-shikan ki yaad 'arshad' dayaar-e-ghair mein sab kuchh luTaa ke ham dil se lagaae phirte hain apne vatan ki yaad"
Arshad SiddiquiArshad Siddiqui
Quote
"fazaaein kaif-e-bahaaraan se jab mahakti hain to dil mein choTein tiri yaad ki kasakti hain shafaq ke rang bhi un kaa javaab laa na sake kisi ke chehre pe jo surkhiyaan damakti hain jinhein tumhaaraa tabassum milaa hai vo nazrein fazaa mein nuur ke naghme bikher sakti hain kabhi kabhi to sitaaron ke narm saae mein kisi ke jism ki parchhaaiyaan chamakti hain qadam qadam pe bichhaati hai jaal tira-shabi nafas nafas pe nai bijliyaan chamakti hain jahaan vo aankhein miraa intizaar karti thiin ab un darichon se maayusiyaan Tapakti hain sukut-e-shab mein tire intizaar kaa aalam ki jaise duur kahin paaelein khanakti hain unhin kaa naam kahin masti-e-bahaar na ho kali ke siine mein jo nikhatein dhaDakti hain ho intizaar kisi kaa magar miri nazrein na jaane kyuun tiri aamad ki raah takti hain jab un ke aane ki ummid hi nahin 'arshad' to phir nigaahein khalaaon mein kyuun bhaTakti hain"
Arshad SiddiquiArshad Siddiqui
Quote
"inqilaab-e-sahar-o-shaam ki kuchh baat karo dosto gardish-e-ayyaam ki kuchh baat karo jaam-o-minaa to kahin aur se le aaeinge mai-kasho saaqi-e-gulfaam ki kuchh baat karo ghair ki subh-e-darakhshaan kaa tasavvur kab tak apni kajlaai hui shaam ki kuchh baat karo phir jalaanaa mah-o-khurshid ki mahfil mein charaagh pahle apne hi dar-o-baam ki kuchh baat karo kyaa ye TuuTe hue paimaane liye baiThe ho baada-nosho sitam-e-aam ki kuchh baat karo zikr-e-firdaus-o-iram kal pe uThaa rakhte hain aaj to aariz-e-asnaam ki kuchh baat karo main to khair apni vafaaon pe huun naazaan lekin vo jo tum par hai us ilzaam ki kuchh baat karo talkhi-e-kaam-o-dahan se kahin gham dhulte hain zaalimo talkhi-e-ayyaam ki kuchh baat karo itnaa sannaaTaa ki ehsaas kaa dam ghuTtaa hai subh kaa zikr karo shaam ki kuchh baat karo vahi 'arshad' ki jalaataa hai jo aandhi mein charaagh haan usi shaair-e-badnaam ki kuchh baat karo"
Arshad SiddiquiArshad Siddiqui
Quote
"main pursish-e-gham-e-furqat ki daad detaa huun tiri latif nadaamat ki daad detaa huun malaal-e-tark-e-maraasim to kuchh nahin lekin is ehtiyaat-e-mohabbat ki daad detaa huun kahaan bahisht kahaan zindagi magar naaseh main tere husn-e-aqidat ki daad detaa huun tabaahiyaan bhi mohabbat ko raas aa na sakin sitam-zarifi-e-fitrat ki daad detaa huun o muskuraa ke nigaahon ko pherne vaale main tere azm-e-baghaavat ki daad detaa huun mire khulus ko lafzon se naapne vaalo tumhaare husn-e-basirat ki daad detaa huun kisi se suntaa huun jab dushmani kaa zikr 'arshad' to doston ki inaayat ki daad detaa huun"
Arshad SiddiquiArshad Siddiqui

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb