SHAWORDS

ik chaand hai khoyaa khoyaa saa suuni chhat par tanhaa tanhaa — Bashir Badr

HomeBashir BadrGhazal
"ik chaand hai khoyaa khoyaa saa suuni chhat par tanhaa tanhaa main bhi huun idhar tanhaa tanhaa vo bhi hai udhar tanhaa tanhaa dil ki tanhaai aur baDhi mehmaanon ke aa jaane se ik tere aaj na hone se lagtaa hai ghar tanhaa tanhaa muddat se ret ke sahraa mein aaya na gayaa baadal koi kis desh gae saare panchhi sukhaa hai shajar tanhaa tanhaa murjhaae hue chehre pe hansi jab aai mujh ko yaad aaya bhuli-bhaTki shahzaadi kaa jangal mein safar tanhaa tanhaa nargis ke phulon mein chhup kar pariyon ki aankhein roti hain yuun raat-biraat akele mein jaao na udhar tanhaa tanhaa"
Urdu

اک چاند ہے کھویا کھویا سا سونی چھت پر تنہا تنہا میں بھی ہوں ادھر تنہا تنہا وہ بھی ہے ادھر تنہا تنہا دل کی تنہائی اور بڑھی مہمانوں کے آ جانے سے اک تیرے آج نہ ہونے سے لگتا ہے گھر تنہا تنہا مدت سے ریت کے صحرا میں آیا نہ گیا بادل کوئی کس دیش گئے سارے پنچھی سوکھا ہے شجر تنہا تنہا مرجھائے ہوئے چہرے پہ ہنسی جب آئی مجھ کو یاد آیا بھولی بھٹکی شہزادی کا جنگل میں سفر تنہا تنہا نرگس کے پھولوں میں چھپ کر پریوں کی آنکھیں روتی ہیں یوں رات برات اکیلے میں جاؤ نہ ادھر تنہا تنہا

Hindi

इक चाँद है खोया खोया सा सूनी छत पर तन्हा तन्हा मैं भी हूँ इधर तन्हा तन्हा वो भी है उधर तन्हा तन्हा दिल की तन्हाई और बढ़ी मेहमानों के आ जाने से इक तेरे आज न होने से लगता है घर तन्हा तन्हा मुद्दत से रेत के सहरा में आया न गया बादल कोई किस देश गए सारे पंछी सूखा है शजर तन्हा तन्हा मुरझाए हुए चेहरे पे हँसी जब आई मुझ को याद आया भूली-भटकी शहज़ादी का जंगल में सफ़र तन्हा तन्हा नर्गिस के फूलों में छुप कर परियों की आँखें रोती हैं यूँ रात-बिरात अकेले में जाओ न उधर तन्हा तन्हा

ik chāñd hai khoyā khoyā sā suunī chhat par tanhā tanhā
Bashir Badr
Bashir Badr
Bashir Badr
poet340 quotes

More by Bashir Badr

View all →
Quote
"hamaaraa dil savere kaa sunahraa jaam ho jaae charaaghon ki tarah aankhein jalein jab shaam ho jaae kabhi to aasmaan se chaand utre jaam ho jaae tumhaare naam ki ik khub-surat shaam ho jaae ajab haalaat the yuun dil kaa saudaa ho gayaa aakhir mohabbat ki haveli jis tarah nilaam ho jaae samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko havaaein tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jaae mujhe maalum hai us kaa Thikaanaa phir kahaan hogaa parinda aasmaan chhune mein jab naakaam ho jaae ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae"
Bashir BadrBashir Badr
Quote
"suraj chandaa jaisi joDi ham donon din kaa raaja raat ki raani ham donon jagmag jagmag duniyaa kaa mela jhuTaa sachchaa sonaa sachchi chaandi ham donon ik duuje se mil kar puure hote hain aadhi aadhi ek kahaani ham donon ghar-ghar dukh-sukh kaa ik dipak jale bujhe har dipak mein tel aur baati ham donon duniyaa ki ye maayaa kankar patthar hai aansu shabnam hiiraa moti ham donon chaaron or samandar baDhti chintaa hai lahar lahar lahraati kashti ham donon parbat-parbat baadal-baadal kiran-kiran ujle par vaale do panchhi ham donon main dahliz kaa dipak huun aa tez havaa raat guzaarein apni apni ham donon"
Bashir BadrBashir Badr

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari