SHAWORDS

ik shakhs ko sunaa thaa kabhi bolte hue — Nasir Basheer

HomeNasir BasheerGhazal
"ik shakhs ko sunaa thaa kabhi bolte hue us roz se labon pe hain taale paDe hue khaali lifaafe bhejte rahte hain ham use almaariyon mein band hain sab khat likhe hue manzil se duur rahne kaa dukh kis liye na ho ik umr ho gai hamein ghar se chale hue kaalak chhupaai jaa na saki jin se soch ki vo bhi pahan ke aae hain kapDe dhule hue shaayad ikaai zehn ki taqsim ho gai ham sher bhulne lage apne kahe hue"
Urdu

اک شخص کو سنا تھا کبھی بولتے ہوئے اس روز سے لبوں پہ ہیں تالے پڑے ہوئے خالی لفافے بھیجتے رہتے ہیں ہم اسے الماریوں میں بند ہیں سب خط لکھے ہوئے منزل سے دور رہنے کا دکھ کس لئے نہ ہو اک عمر ہو گئی ہمیں گھر سے چلے ہوئے کالک چھپائی جا نہ سکی جن سے سوچ کی وہ بھی پہن کے آئے ہیں کپڑے دھلے ہوئے شاید اکائی ذہن کی تقسیم ہو گئی ہم شعر بھولنے لگے اپنے کہے ہوئے

Hindi

इक शख़्स को सुना था कभी बोलते हुए उस रोज़ से लबों पे हैं ताले पड़े हुए ख़ाली लिफ़ाफ़े भेजते रहते हैं हम उसे अलमारियों में बंद हैं सब ख़त लिखे हुए मंज़िल से दूर रहने का दुख किस लिए न हो इक उम्र हो गई हमें घर से चले हुए कालक छुपाई जा न सकी जिन से सोच की वो भी पहन के आए हैं कपड़े धुले हुए शायद इकाई ज़ेहन की तक़्सीम हो गई हम शेर भूलने लगे अपने कहे हुए

ik shaḳhs ko sunā thā kabhī bolte hue
N
Nasir Basheer
Nasir Basheer
poet14 quotes

More by Nasir Basheer

View all →
Quote
"zanjir-e-intizaar se mujh ko rihaa kare ab ke baras to aan mile vo khudaa kare ik aur iinT gir gai divaar-e-umr ki har roz mujh se Dubtaa suraj kahaa kare aate hain aur log kudaalein sambhaal kar minaara-e-badan se kaho aasraa kare jab doston ke raabte bhi dushmanon se hon mushkil paDe to kis se koi mashvara kare kamzor huun par itnaa bhi kamzor main nahin dushman bhi raat din mire haq mein duaa kare jo aap devtaa vatan-e-shaairi kaa ho mujh aisaa kam-hunar use hairaan kyaa kare guzre hue din ek dafa aae hain zarur naasir bashir dil se kaho hausla kare"
N
Nasir Basheer
Quote
"vaaiz-e-tund-khu ko de baada-o-jaam saaqiyaa taaki vo hosh mein kare tujh se kalaam saaqiyaa saare khatib shahr ke tere khilaaf ho gae teraa nasib ho gai shohrat-e-aam saaqiyaa ham ko bhi kuchh pataa chale bazm mein kaun kaun hai aaj ataa-e-jaam ho naam-ba-naam saaqiyaa tu ne kahaa to ro diye tu ne kahaa to hans diye shahr ke saare baada-kash tere ghulaam saaqiyaa dasht tujhe dikhaaeinge khaak tiri uDaaeinge ahl-e-junun ne likh liyaa teraa bhi naam saaqiyaa ham ne sunaa hai teraa bhi chaaragaron mein naam hai tujh se paDegaa ek din ham ko bhi kaam saaqiyaa daftar-e-kotvaal mein likkhaa huaa hai aaj-kal teraa bhi naam saaqiyaa meraa bhi naam saaqiyaa"
N
Nasir Basheer
Quote
"faqih-e-shahr kaa lahja hai pur-jalaal bahut tabhi to shahr mein phailaa hai ishtiaal bahut vo ek shakhs ki mahrum-e-shaana-o-sar hai use hai jubba-o-dastaar kaa khayaal bahut vo pahle aag lagaataa hai phir bujhaataa hai use hai shoabda-baazi mein bhi kamaal bahut amir-e-shahr ki saari tijoriyaan khaali gadaa-e-shahr ke kashkol mein hai maal bahut muhaafizon ki zarurat tumhaare jaison ko hamaare jaison ko apne badan ki Dhaal bahut kahaan se siikh ke aae ho guftugu kaa hunar uThaa rahe ho sar-e-bazm tum savaal bahut usi ke haath pe baiat usi se ahd-e-vafaa tumhein yazid kaa jis par thaa ehtimaal bahut fazaa mein uDte parindon ko bhi nahin maalum ki baaghbaan ne bichhaae hain ab ke jaal bahut jo ho rahaa hai tamaashaa vahi dikhaataa hai kalaam hotaa hai 'naasir' kaa hasb-e-haal bahut"
N
Nasir Basheer

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb