"hijr ke daur mein haalaat badal jaate hain phuul mar jaate hain sab paat badal jaate hain tu ne dekhaa hai kabhi dard ke sahraaon mein dhuup baDhne lage tab saath badal jaate hain ham pe vo vaqt hai ab chaahe khushi aae ki gham aankh nam hoti hai jazbaat badal jaate hain main ne logon ko bhi mausam kaa muqallid paayaa baat hoti hi nahin haath badal jaate hain tum abhi aae ho tum baanT lo chaahat ke varaq vaqt ke saath khayaalaat badal jaate hain pahle thaa bhuuk kaa Dar ab hai ridaa khatre mein kyaa khabar thi hamein khatraat badal jaate hain ye to fitrat hai buraa in ko na kahnaa 'shaakir' tu ne dekhaa nahin din raat badal jaate hain"
is dil ko agar teraa sahaaraa nahin miltaa — M. Usman Shakir
"is dil ko agar teraa sahaaraa nahin miltaa qismat ko koi chaand sitaara nahin miltaa gheraa hai kisi khauf ne is tarah se dil ko miltaa hai jo ik baar dobaara nahin miltaa kuchh tum bhi mohabbat mein ho taqdir ke qaael kuchh mujh ko bhi chalne kaa ishaara nahin miltaa yuun Duub gayaa huun tiri aankhon ke bhanvar mein ab mere safine ko kinaara nahin miltaa kirdaar hain tabdil kahaani to vahi hai afsaane mein ab naam hamaaraa nahin miltaa dipak ki tarah shaam se ham jalne lage hain is aag kaa par koi sharaara nahin miltaa 'shaakir' tiri qismat mein hain be-kaar sadaaein jis shakhs ko bhi tu ne pukaaraa nahin miltaa"
اس دل کو اگر تیرا سہارا نہیں ملتا قسمت کو کوئی چاند ستارہ نہیں ملتا گھیرا ہے کسی خوف نے اس طرح سے دل کو ملتا ہے جو اک بار دوبارہ نہیں ملتا کچھ تم بھی محبت میں ہو تقدیر کے قائل کچھ مجھ کو بھی چلنے کا اشارہ نہیں ملتا یوں ڈوب گیا ہوں تری آنکھوں کے بھنور میں اب میرے سفینے کو کنارہ نہیں ملتا کردار ہیں تبدیل کہانی تو وہی ہے افسانے میں اب نام ہمارا نہیں ملتا دیپک کی طرح شام سے ہم جلنے لگے ہیں اس آگ کا پر کوئی شرارہ نہیں ملتا شاکرؔ تری قسمت میں ہیں بیکار صدائیں جس شخص کو بھی تو نے پکارا نہیں ملتا
इस दिल को अगर तेरा सहारा नहीं मिलता क़िस्मत को कोई चाँद सितारा नहीं मिलता घेरा है किसी ख़ौफ़ ने इस तरह से दिल को मिलता है जो इक बार दोबारा नहीं मिलता कुछ तुम भी मोहब्बत में हो तक़दीर के क़ाएल कुछ मुझ को भी चलने का इशारा नहीं मिलता यूँ डूब गया हूँ तिरी आँखों के भँवर में अब मेरे सफ़ीने को किनारा नहीं मिलता किरदार हैं तब्दील कहानी तो वही है अफ़्साने में अब नाम हमारा नहीं मिलता दीपक की तरह शाम से हम जलने लगे हैं इस आग का पर कोई शरारा नहीं मिलता 'शाकिर' तिरी क़िस्मत में हैं बे-कार सदाएँ जिस शख़्स को भी तू ने पुकारा नहीं मिलता

More by M. Usman Shakir
View all →"hai hijr phailaa huaa aur raushni kam hai mohabbaton ke liye ek zindagi kam hai tiraa visaal alaamat hai mere jiine ki aur ab ke jiine ki ummid aur bhi kam hai na vo firaaq na nafrat na intihaa-e-gham miri hayaat mein har ek tirgi kam hai tum apni niim si aankhon se hi pilaa Daalo mire labon pe piyaalon ki tishnagi kam hai mire mizaaj se miltaa nahin hai teraa mizaaj tire mizaaj mein shaayad ki aashiqi kam hai ajiib badlaa huaa lag rahaa hai vo 'shaakir' aur us ke lahje mein bhi ab ki be-rukhi kam hai"
"tum bhi jashn-e-bahaar kar dekho khud ko phir sogvaar kar dekho jaane vaale kabhi nahin aate chaaho to intizaar kar dekho hijr kaa vaqt kaaTnaa mushkil tum sitaare shumaar kar dekho teri aankhon mein meri surat hai naqli chehra utaar kar dekho ham ne ek umr haar maani hai ab ke tum bhi to haar kar dekho dard 'shaakir' bas aise samjhoge hasratein apni maar kar dekho"
"mire sukhan ko nayaa moD dene aayaa thaa sahaaraa de ke mujhe chhoD dene aayaa thaa ye kyaa ajab hai ki maangi thi ham ne jis se bhiik vo chaahaton kaa mahal phoD dene aayaa thaa main jis ke vaaste ab tak azaab-e-jaan jhelun vo khush-nasib mujhe toD dene aayaa thaa kisi ne us ko mohabbat mein dard bakhshaa thaa vo bevafaai mujhe moD dene aayaa thaa vo jaate jaate mujhe kirchiyon mein baanT gayaa jo kah rahaa thaa mujhe joD dene yaa thaa"
"tire firaaq ke qisse tire visaal ke dukh bhulaa na paae ham ab tak vo maah-o-saal ke dukh tire baghair hamein zindagi se kyaa lenaa yahi bahut hai jo kaT jaaein tujh kamaal ke dukh havvaa ki beTi hui qatl bhaai ke haathon koi na samjhegaa hiron ke maahivaal ke dukh vo bachpanaa vo mohabbat bhulaae kab ham ne vo sukhe phuul tire khat aur us rumaal ke dukh rahe hain aaj talak ye mire taaaqub mein tere uruuj ki baatein mere zavaal ke dukh tumhaari ziist mein 'shaakir' kami rahegi sadaa kabhi bides ke dhakke kabhi nihaal ke dukh"
"jo hamaare vaaste sab diin the imaan the un ke haathon mein faqat ghairon ke hi divaan the phir kahaa us ne ki jab viraan kar degi tumhein zindagi is ko bataa ham to sadaa viraan the ye nahin ki dard-e-dil dard-e-jigar kaa khauf thaa us ke jaane se hamein kuchh aur bhi nuqsaan the jaane kyon saare jahaan kaa dard is dil ko milaa is jahaan mein ham se achchhe aur bhi insaan the zindagi ko DhunDne aae hain ham tere jahaan apni basti mein to har jaa maut ke imkaan the ham ne kab chaahaa thaa ke ham is tarah laachaar hon ye bhi ham pe doston ke jaa-ba-jaa ehsaan the"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"