Quote
"vahshaton kaa sar-o-saamaan hamein honaa hai mustaqbil dasht-o-bayaabaan hamein honaa hai ham to dilli bhi nahin hain ki kai baar luTein ek hi baar mein viraan hamein honaa hai ham ko ab naam-o-nasab se na pukaare koi ik nae daur ki pahchaan hamein honaa hai is liye ham se hi mansub hai ye karb-o-balaa ai zamin teraa nigahbaan hamein honaa hai chehra paDhte hi koi dil ki kahaani paDh le zindagi itnaa kab aasaan hamein honaa hai"
