SHAWORDS

'ishq se jab mukaalima hogaa — Amjad Khan Tajwana

"'ishq se jab mukaalima hogaa rab hi jaane hamaaraa kyaa hogaa is liye hai pasand tanhaai hungaa main aur miraa khudaa hogaa jis taraf dekhtaa hai vo aksar us taraf koi to gayaa hogaa jis takalluf se mil rahaa hai mujhe zikr us ne miraa sunaa hogaa manzilein baa'd mein huiin ijaad pahle jab raasta banaa hogaa us ki aankhon mein khuun utraa hai haadisa koi to huaa hogaa pahle do dil judaa hue honge dariyaa aise nahin banaa hogaa saans lene mein hogi dushvaari shahr dhuein se jab bharaa hogaa itnaa khaamosh to nahin thaa kabhi us ko 'amjad' ne kuchh kahaa hogaa"
Urdu

عشق سے جب مکالمہ ہوگا رب ہی جانے ہمارا کیا ہوگا اس لئے ہے پسند تنہائی ہوں گا میں اور مرا خدا ہوگا جس طرف دیکھتا ہے وہ اکثر اس طرف کوئی تو گیا ہوگا جس تکلف سے مل رہا ہے مجھے ذکر اس نے مرا سنا ہوگا منزلیں بعد میں ہوئیں ایجاد پہلے جب راستہ بنا ہوگا اس کی آنکھوں میں خون اترا ہے حادثہ کوئی تو ہوا ہوگا پہلے دو دل جدا ہوئے ہوں گے دریا ایسے نہیں بنا ہوگا سانس لینے میں ہوگی دشواری شہر دھوئیں سے جب بھرا ہوگا اتنا خاموش تو نہیں تھا کبھی اس کو امجدؔ نے کچھ کہا ہوگا

Hindi

'इश्क़ से जब मुकालिमा होगा रब ही जाने हमारा क्या होगा इस लिए है पसंद तन्हाई हूँगा मैं और मिरा ख़ुदा होगा जिस तरफ़ देखता है वो अक्सर उस तरफ़ कोई तो गया होगा जिस तकल्लुफ़ से मिल रहा है मुझे ज़िक्र उस ने मिरा सुना होगा मंज़िलें बा'द में हुईं ईजाद पहले जब रास्ता बना होगा उस की आँखों में ख़ून उतरा है हादिसा कोई तो हुआ होगा पहले दो दिल जुदा हुए होंगे दरिया ऐसे नहीं बना होगा साँस लेने में होगी दुश्वारी शहर धूएँ से जब भरा होगा इतना ख़ामोश तो नहीं था कभी उस को 'अमजद' ने कुछ कहा होगा

'ishq se jab mukālima hogā
Amjad Khan Tajwana
Amjad Khan Tajwana
Amjad Khan Tajwana
poet20 quotes

More by Amjad Khan Tajwana

View all →
Quote
"raasta tabdil karne se rahaa dil miri taa'mil karne se rahaa dekhne ki un ko 'aadat hai tujhe apni aankhein seal karne se rahaa rabt ke fuqdaan par main kam-numaa ghaib ki tamsil karne se rahaa raas aai hon jise aazaadiyaan jabr ki takmil karne se rahaa tum ne jhuTlaanaa hai jhuTlaa do magar sach ko main tahlil karne se rahaa phunk dam taa'viz de murshid ki main daaere ko kiil karne se rahaa mat bataa tu sabr ke maa'ni mujhe main anaa ki Deal karne se rahaa paDh miraa chehra ki tujh par bhi khule aankh to main jhiil karne se rahaa"
Amjad Khan TajwanaAmjad Khan Tajwana
Quote
"kuchh tire khat sanbhaal rakkhe hain kitne gham hain jo paal rakkhe hain yunhi chehre pe jhurriyaan to nahin saath mein maah-o-saal rakkhe hain ye mire she'r qimti hain bahut in mein tere khayaal rakkhe hain 'ishq ke saath dard ke naate jitne rakkhe kamaal rakkhe hain haadse vaqt mein hain jitne bhi ham ne vo kal pe Taal rakkhe hain kitnaa mushkil thaa zindagi kaa safar saans ham ne bahaal rakkhe hain in fazaaon mein khauf hai 'amjad' kis shikaari ne jaal rakkhe hain"
Amjad Khan TajwanaAmjad Khan Tajwana

More on Dil

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer